Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Wo jiske liye humne saari hadein todd di “Faraz”,
Aaj usne keh diya apni hadd me raha karo.
Ehsaas ke andaaz badal jaate hain “Faraz”,
Warna aanchal bhi usi dhaage se banta hai aur Kafan bhi.
Mile sza jo mujhe wo kisi khata pe nahi “Faraz”,
Mujh pe jurm saabit hua jo wafa ka tha.
Mujhe apne Qirdaar pe itna to yaqeen hai “Faraz”,
Koi mujhe chorr to sakta hai, Magar bhula nahi sakta.
Mai bachpan me hi rehta to acha tha “Faraz”,
Hazaaron hasratein barbaad ki maine jawan hokar.
Humne chaha tha ek aise shaksh ko “Faraz”,
Jo aaine se bhi naazuk tha, Magar tha patthar ka.
Ye masoomiyat ka kaun sa andaaz hai “Faraz”,
Parr kaat ke kehne lage, Ab tum aazaad ho.
Mere doston ki pehchaan itni musqil nahi “Faraz”,
Wo hasna bhool jate hain, Mujhe rote dekh kar.
Wo Zehar deta to duniya ki nazaron me aa jata “Faraz”,
So usne yun kiya ke waqt pe dwa na di.
Hazoom-E-Gam meri fitrat badal nahi sakti “Faraz”,
Main kya karoon mujhe aadat hai muskurane ki.
Tum mujhe Rooh me basa lo “Faraz”,
Dil-O-Jaan ke rishte to aksar toot jaya karte hain.
Tum mujhe Rooh me basa lo “Faraz”,
Dil-O-Jaan ke rishte to aksar toot jaya karte hain.
Samandar me le jaa kar fareb mat dena “Faraz”,
Tu kahe to kinaare pe doob jaon main.
Ajab chirag hun din raat jal raha hun “Faraz”
Mai thakk gaya hun hawa se kaho bujhaye mujhe.
Bada naaz tha unko apne parde pe “Faraz”,
Kal raat wo khawab me Sar-E-Aam chale aaye.
Teri is bewafai per fida hoti hai jaan apni “Faraz”,
Khuda jane agar tujhme wafa hoti to kya hota.
Hamare sabar ki inteha kya puchte ho “Faraz”,
Wo hum se lipat ke ro rahe the kisi aur ke liye.
Wo apne faayde k liye aa mile the hum se “Faraz”,
Hum naadaan samjhe k humari duaon me asar hai.
Zamane ke sawalon ko mai hans ke taal doon “Faraz”,
Lekin nami aankho ki kehte hai mujhe tum yaad aate ho.
Ishq ki raah me do hain manzilein “Faraz”,
Ya dil me utar jana, Ya dil se utar Jana.