Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Sahi Par Ruk Gaye The Jara Der Ke Liye

Sahi Par Ruk Gaye The Jara Der Ke Liye,
Aankhon Se Dil Mein Kitne Samander Utar Gaye,

Jin Par Likhi Huyi Thi Mohabbat Ki Dastaa,
Woh Chak Chak Purje Hawa Mein Bikhar Gaye,

Paya Jo Muskarate Huye Kah Uthi Bahar,
Jo Jakham Pichhle Sal Lagaye Gaye The Bhar Gaye,

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Yun Hi Be-Sabab Na Phira Karo

Yun Hi Be-Sabab Na Phira Karo,
Koi Shaam Ghar Bhi Raha Karo,
Wo Ghazal Ki Sachhi Kitaab Hai,
Use Saari Raat Padha Karo.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Zindagi Par Isse Badhkar Tanz

Zindagi par is se badhkar tanz kya hoga Faraz,
Uska ye kehana ki tu shaayar hai, deewana nahin.

Zindagi Par Isse Badhkar Tanz
Vote This Post DownVote This Post Up +1

Wo Zindagi Ho Ki Duniya Faraz Kya Kije

Wo zindagi ho ki duniya Faraz kya kije,
Ki jisse ishq karo bewafa nikalti hai.

Wo Zindagi Ho Ki Duniya Faraz Kya Kije
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jee Mein Jo Aati Hai Kar Gujaron

Jee mein jo aati hai kar gujaron kahin aisa na ho,
Kal pasheman hon ki kyon dil ka kaha maana nahin.

Jee Mein Jo Aati Hai Kar Gujaron
Vote This Post DownVote This Post Up +1

Tum Taqalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjhte Ho Faraz

Tum taqalluf ko bhi ikhlaas samjhte ho ‘Faraz’,
Dost hota nahin har haath milaane waala.

Tum Taqalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjhte Ho Faraz
Vote This Post DownVote This Post Up +1

Jab Bhi Dil Khol Ke Roye Honge

Jab bhi dil khol ke roye honge,
log aaram se soye honge,
Wo safeene jinhein toofaan na mile,
nakhudaaon ne dubooye honge.

Jab Bhi Dil Khol Ke Roye Honge
Vote This Post DownVote This Post Up +2

Ungaliyaan Aaj Tak Isi Soch Mein

Ungaliyaan aaj tak isi soch mein gum hai ‘Faraz’,
Usne kaise naye haath ko thaama hoga.

Ungaliyaan Aaj Tak Isi Soch Mein
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Ghar Se Nikale The Ki Duniya Ne

Ghar se nikale the ki duniya ne pukara tha ‘Faraz’,
Ab jo fursat mile duniya se to ghar jaayen kahin.

Ghar Se Nikale The Ki Duniya Ne
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jhele Hain Jo Dukh Tune

Jhele hain jo dukh tune ‘Faraz’ apni jagah hain,
Par tum pe jo gujari hai wo auron se kam hai.

Jhele Hain Jo Dukh Tune
Vote This Post DownVote This Post Up -1

Kitna Aasan Tha Tere Hizra Mein

Kitna aasaan tha tere hizra mein marna jaana,
Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate.

Kitna Aasan Tha Tere Hizra Mein
Vote This Post DownVote This Post Up -1

Itna Tasalsul To Meri Saanson Mein

Itna tasalsul to meri saanson mein bhi nahin Faraz,
Jis rawaani se wo shakhs mujhe yaad aata hai.

Itna Tasalsul To Meri Saanson Mein
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Shiddate Dard Se Sharminda Nahin

Shiddate dard se sharminda nahin meri wafa Faraz,
Dost gehare hain to phir jakhm bhi gehare honge.

shiddat-e-dard-se-sharminda-nahi
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kaun Pareshan Hota Hai

Kaun pareshan hota hai tere gham se Faraz,
Wo apni hi kisi baat pe roya hoga.

Kaun Pareshan Hota Hai
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Dil Ki Rishton Ki Najaakat

Dil ki rishton ki najaakat wo kya jaane Faraz,
Narm lafzon se bhi lag jaati hain chote aksar.

Vote This Post DownVote This Post Up +1

Sau Baar Marna Chaaha Nigaahon Mein

Sau baar marna chaaha nigaahon mein doob kar Faraz,
Wo nigaah jhuka lete hain humein marne nahin dete.

Sau Baar Marna Chaaha Nigaahon Mein
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mujhse Har Baar Nazarein

Mujh se har baar nazarein chura leta hai wo Faraz,
Maine kaagaz par bhi bana ke dekhi hain aankhein uski.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Zindagi To Apne Kadmo Pe Chalti Hai Faraz

Zindagi to apne kadmo pe chalti hai Faraz,
Auron ke sahaare to zanaaze utha karte hain.

Zindagi To Apne Kadmo Pe Chalti Hai Faraz
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Chadte Sooraj Ke Pujari To

Chadhte Sooraj ke pujari to laakhon hai Faraz,
Doobte waqt humne sooraj ko bhi tanha dekha.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Waise To Thik Rahunga Mai

Waise to thik rahunga mai us se bichad ke “Faraz”,
Bas dil ki sochta hoon, Dhadakna chor na de.

Waise To Thik Rahunga Mai
Vote This Post DownVote This Post Up 0