Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Gurbat ki thandi chhanv mein yaad aai us ki dhoop,
Kadr-e-watan hui hamein tarq-e-watan ke baad.
Gar doobana hi apna muqaddar hai to suno,
Doobaenge ham jaroor magar nakhuda ke saath.
Bas ik jhijhak hai yahi haal-e-dil sunaane mein,
Ki tera zikr bhi aayega is fasane mein.
Insaan ki khwaahishon ki koi intiha nahin,
Do gaz jameen bhi chaahiye do gaz kafan ke baad.
Parda e noor manke chhaye hain
Aansuon ki tarah machalte khwab,
Bikhre sishon par gir ke toot jaaye
Neend mein nange paanv chalte khwab,
Aisi sunsan dopahar mein kahan
Chand taaron ki tarah chalte khwab,
Bistre e dil par khoon ugalte khwab
Raat bhar karvatein badlate khwab.
Pyar ki chhanv mein do dil jo jara mil baithe
Bajm mein gajle huyi sahar mein afsane chale,
Subah fir apne hi teshe se kiran futhegi
Raat aayi kisi dukhan ke mahak chalein,
Ras mein dubi huyi in aankhon ki jumbish jaise
May se labrej chhalkate huye paimane chale,
Aakhiri baar giribaa gale lag ja mere
Fir mahkate huye rumalon ke najrane chale.
Raat bhigi toh thake sahar ko yaad aane lage
Neend ke gaanv jo aabad hain palkon tale,
Doctor khwab ke nakhun the halahal mein bujhe
Hasba mamul badi jor se hum cheekh pade,
Jaise sachmuch ho badi neend mein us shokh ki yaad
Aisa seene mein bani leti hai aankhe meeche.
Agar main lotna chahu toh kya lout main sakta hu
Woh duniya sath jo mere chali thi ab kahan hogi,
Parinde apni chonchon mein sab taare chhupa lenge
Jawani char din ki chandani hai fir kahan hogi,
Hawayen royengi sar fod lengi in pahadon se
Kabhi jab badlon mein chand ki doli ravaa hogi,
Kise maalun tha hum log ik bistar par soyenge
Hifajat ke liye talvaar apne darmiyan hogi.
Is tarah saath nibhana hai dushwar sa
Main bhi talvar sa tu bhi talvar sa,
Khubsurat si paanvo mein janjirein ho
Ghar mein baitha rahu main giraftar sa,
Gudiya bachhe ko becha kharida gaya
Ghar sajaya gaya raat bazar sa,
Aankhon mein raha dil mein utarkar nahi dekha,
Kishti ke musafir ne samundar nahi dekha.
Woh Ek Shakhs Ke Jis Ko Ghazal Bhi Kehte Hai,
Usi Ke Naam Se Jeena, Usi Se Marna Hai.
Baat kya hai ke mashoor logon ke ghar
Mout ka sogh hota hai tyohar sa,
Jina jina utarta hua aaina
Uska lahja anokha khanak dar sa,
Woh aligad ki shamein kahan kho gayi
Ab woh shayar kahan hai tahardaar sa,
Apna range gajal uske rukhsar sa,
Dil chamkane lagta hai rukhe yaar sa.
Wo Bhi Bahut Akela Hai Shayad Meri Tarah,
Uss Ko Bhi Koi Chahne Wala Nahi Mila.
Bhigi huyi aankhon ka yeh manjar na milega
Ghar chhod kar mat jaao kahin ghar na milega,
Fir yaad bahut aayegi julfon ki ghani shyam
Jab dhoop mein shaya koi sar par na milega,
Aansu ko kabhi os ka katra na samjhana
Aisa tumhe chahat ka samander na milega,
Use Kisi Ki Mohabbat Ka Aitbar Nahi,
Use Zamane Ne Shayad Bahut Sataya Hai.
Sishe Ka Taaj Sar Par Rakhe Aa Rahi Thi Raat,
Takraayi Hum Se Chand Sitare Bikhar Gaye,
Chaha Tha Maine Chand Ki Palko Ko Chum Loo,
Hoton Par Mere Subah Ke Taare Bikhar Gaye,
Woh Khusk Hot Ret Se Nam Mangate Rahe,
Jiski Dariya Mein Kayi Dariya Gujar Gaye,
Jhuka Sajar Laraj Uthe Jaise Ki Dar Gaye,
Kuchh Chandani Ke Phool Jami Par Bikhar Gaye.
Wo Maathe Ka Mataala Ho Ki Hontho Ke Do Misre,
Bachpan Se Ghazal Hi Meri Mehbooba Rahi Hai.
Har Bejuban Gull Mein Mahkane Lage Hain Hum,
Pise Gaye Toh Aur Mahkane Lage Hain Hum,
Garibi Bura Nasha Hai Isi Ka Asar Na Ho,
Ab Baat Baat Par Jo Bahkane Lage Hain Hum,
Mitti Ki Baas Apne Sarir Ki Badan Ki Bandi Thi,
Yeh Tera Paas Aana Hai Ki Mahkane Lage Hain Hum,
Wo Ghazal waalon Ka Usloob Samajhte Honge,
Chaand Kehte Hai Kise, Khoob Samajhte Honge.