Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho,
Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho,
Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal,
Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho,
Riston Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai,
Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho,
Duniya Ke Kahne Sunane Par Insaniyat Na Chhod,
Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho.
Dene waale ne diya sab kuch ajab andaaz se,
Saamne duniya padi hai aur utha sakte nahin.
Ajeeb shakhs hai naraaz hoke hansta hai,
Main chahta hoon khafa ho, to khafa hi lage.
Main dhoondta hun jise wah wahan nahin milta,
Nai jameen naya aasmaan nahin milta.
Koi to sood chukaaye, koi to jimma le,
Us inkilaab ka jo aaj tak udhaar sa hai.
Kya jaane kisi ki pyaas bujhane kidhar gayi,
Us sar pe jhoom ke jo ghataayen gujar gayi.
Isi mein ishq ki kismat badal bhi sakti thi,
Jo waqt beet gaya mujh ko aazmaane mein.
Rahein na rind ye waaiz ke bas ki baat nahin,
Tamaam shehar hai do chaar das ki baat nahin.
Muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigaah,
Jo khush to ho gaya magar aansoo nikal pade.
Bahaar aaye to mera salaam keh dena,
Mujhe to aaj talab kar liya hai sehara.
Basti mein pane hindu musalmaan jo bas gaye,
Insaan ki shql dekhne ko ham taras gaye.
Baras padi thi jo rukh se naqaab uthaane mein,
Wo chandani hai abhi tak mere gareeb-khaane mein.
Jis tarah has rahan hun main pee pee ke garm ashq,
Yun dusara hase to kaleza nikal pade.
Belche laao kholo jameen ki tahein,
Main kahan dafan hun kuchh pata to chale.
Ped ke kaatne waalon ko ye maaloom to tha,
Jism jal jaayenge jab sar pe na saaya hoga.
Jhuki jhuki si nazar be-qaraar hai ki nahin,
Daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin.
Jo ik khuda nahin milata to itna maatam kyun,
Mujhe khud apne kadam ka nishaan nahin milta.
Ab jis taraf se chaahe gujar jaaye kaaranva,
Veeraniyan to sab mire dil mein utar gai.