Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Asoolon par jahaaN aanch aaye takraana zaroori hai,
Jo zinda ho to fir zinda nazar aana zaroori hai,
Mujhe bujhaa de, meraa dard mukhtasar kar de
Magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de
Meri talaash ko be-naam-o-be-safar kar de
Main teraa raastaa chhoruuN to dar-ba-dar kar de
Judaaiyon ki ye raaten to kaatni hongi
Kahaaniyon ko koi kaise mukhtasar kar de
Tere khayaal ke haathon kuch aisaa bikhraa hun
Ke jaise bachchaa kitaaben idhar-udhar kar de.
Muhabbat meiN buri niyat se kuchh socha naheeN jaata,
Kaha jaata hai usko bewafa samjha naheeN jaata.
Apne har ek lafz ka khud aainaa ho jaaunga
Us ko chhota keh ke mein kaise bada ho jaaunga
Tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
Mein gira to mas’ala bankar khada ho jaaunga
Mujh ko chalne do, akela hai abhi mera safar
Raasta roka gayaa to qafila ho jaaunga
Sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
Ek tere kehne se kya main be-wafa ho jaaunga?
Tujhe paane ki koshish meiN kuch itna kho chuka hooN maiN
Ki tu mil bhi agar jaye to ab milne ka gham hoga,
Aate aate mera naam saa reh gaya
Us ke honton pe kuchh kanpta reh gaya
Wo mere samne hi gaya aur mein
Raste ki tarah dekhta reh gaya
Jhooth waale, kahin se kahin badh gaye
Aur mein tha ke sach bolta rehgaya
Aandhiyon ke irade to achchhe n the
Ye diya kaise jalta huwa reh gaya?
Garaj Baras Fir Pyasi Dharti Ko Pani De Moula,
Chidiyaon Ko Dana Bachhon Ko Gurdhani De Moula,
Do Aur Do Ka Jod Hamesha Char Kahan Hota Hai,
Soch Samajh Walon Ko Thodi Nadani De Moula,
Fir Rohan Kar Jahar Ka Pyala Chamka Nayi Saliben,
Jhuton Ko Duniya Mein Sach Ko Aabha De Moula,
Fir Murat Se Bahar Aakar Charon Or Bikhar Ja,
Fir Mandir Ko Koi Mira Deewani De Moula.
Koi Kisi Se Khush Ho, Aur Woh Bhi Aksar Ho,
Yeh Baat Toh Galat Hai,
Rista Libash Bankar Maila Nahin Hua Ho,
Yeh Baat Toh Galat Hai,
Har Baat Uski Achhi, Lagti Hai Dil Ko Sachhi,
Fir Bhi Thodi Hai Kachhi,
Jo Uska Haadisa Hai, Mera Bhi Tajurba Ho,
Yeh Baat Toh Galat Hai.
Kahin Chhat Thi Deevao Darr The Kahin,
Mila Mujhko Ghar Ka Pata Dera Se,
Diya Toh Bahut Zindagi Ne Mujhko,
Magar Jo Diya Woh Diya Dera Se,
Hua Na Kuchh Kaam Aasha Se,
Gujre Raat Din Kuchh Is Tarah.
Yeh Sab Itefakat Ka Khel Hai,
Yahi Hai Judayi Yahi Mel Hai,
Main Mud Mud Ke Dekha Kiya Door Tak,
Bani Woh Khamoshi Sada Der Se,
Saja Din Bhi Roshan Huya Raat Bhi,
Bhare Jaam Lahraayi Barsat Bhi.
Sirf Aankho Se Hi Duniya Nahin Dekhi Jaati,
Dil Ki Dhadkan Ko Bhi Aankh Bana Ke Dekho,
Pathron Mein Bhi Jubaa Hoti Hai Dil Hote Hain,
Apne Ghar Ke Dar O Deewar Saja Kar Dekho,
Faasla Najron Ka Dokha Bhi Ho Sakta Hai,
Chand Jab Chamke Jara Haath Badhakar Dekho,
Woh Sitara Hai Chamkane Do Yun Hi Raaton Mein,
Kya Jaruri Hai Use Jism Banakar Dekho.
Kuchh to majbooriyan rahi hongi,
Yoon koi bewafa nahin hota.
Aankho Ki Roshani Se Hai Har Pathar Aaina,
Har Aaine Mein Khud Ki Gunahgar Dekhiye,
Har Aadmi Mein Hote Hain Das Bees Aadmi,
Jisko Bhi Dekhna Ho Kayi Baar Dekhna.
Ek din tujhse milne jaroor aaunga,
Zindgi mujh ko tera pata chaahiye.
Yaad Aata Hai Suna Tha Pahle,
Koi Apna Bhi Khuda Tha Pahle,
Jism Banane Mein Use Der Lagi
Ik Ujala Sa Hua Tha Pahle,
Phool Jo Baag Ki Sobha Thahra,
Meri Aankhon Mein Khila Tha Pahle.
Jis par humari aankh ne moti bichhaye raat bhar,
Bheja wahi kaagaz humne likha kuchh bhi nahin.
Mumkin Hai Safar Ho Aasan Ab Sath Bhi Chalkar Dekhein,
Kuchh Tum Bhi Badalkar Dekho Kuchh Hum Bhi Badalkar Dekhen,
Aankhon Mein Koi Chehra Ho Har Pag Pe Ek Pahra Ho,
Jangle Se Chalein Basti Mein Duniya Ko Sambhalkar Dekho,
Do Char Kadam Har Rasta Pahle Ki Tarah Lagta Hai,
Shayad Koi Manjar Badle Kuchh Dur Oh Chalkar Dekhen,
Ab Vakt Bacha Hai Kitna Jo Aur Ladein Duniya Se,
Duniya Ki Nasihat Par Bhi Thoda Sa Amal Karein.
Dushmani jam kar karo lekin ye gunjaaish rahe,
Jab kabhi hum dost ho jaayen to sharminda na hon.
Jis Se Milkar Bhi Na Milane Ki Kasak Baaki Hai,
Usi Anjaan Pahchan Ki Har Mulakat Likho,
Is Kahani Ka Toh Anjaam Wohi Hai Ki Jo Tha,
Tum Jo Chaho Toh Mohabbat Ki Shuruat Likho.
Kabhi hum bhi is ke kareeb the, dilo jaan se badh ke aziz the,
Magar aaj aese mila hai wo, kabhi pahle jaise mila na ho.