Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Gulab, khwab, dwa, jahar, jaam, kya kya hain,
mein aa gay hun bata intzaam kya kya hain,
Fakir, shaah, kalndar, imaam, kya kya hain,
Tujhe pata nahi tera gulam kya kya hain.
Masjidon Ke Sahan Tak Jana Bahut Dushvar Tha,
Der Se Nikala To Mere Raste Mein Dar Tha,
Apne Hi Phailao Ke Nashe Mein Khoya Tha,
Darakht Aur Har Masum Tahani Par Phalon Ka Bar Tha.
Suraj, sitaare, chaand mere saath me rahe,
jab tak tumhare haath mere haath me rahe,
Shaakhon se toot jaaye wo patte nahi hain hum,
Aandhi se koi kah de ki aukaat me rahe.
Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalate Q Hain,
Itna Darate Hain To Phir Ghar Se Nikalate Q Hain,
Main Na Jugnu Hun Diya Hun Na Koi Tara Hun,
Roshni Wale Mere Naam Se Jalate Q Hain.
Jagne ki bhi jagane ki bhi aadat ho jaye,
Kash tujh ko bhi kisi shayer se mohbbt ho jaye,
Door hum kitne dinno se hain ye kabhi gaur kiya,
Fir na kehna jo ayanat me khayanat ho jaye.
Intezamat Naye Sire Se Sambhale Jayen,
Jitne Kamzarf Hain Mehafil Se Nikle Jayen,
Mera Ghar Aag Ke Lapaton Mein Chupa Hai,
Lekin Jab Maza Hai Tere Aangan Mein Ujale Jayen.
Aankhon mein paani rakho, hothon pe chingaari rakho,
Jinda rahna hai to tarkibe bahut saari rakho,
Raha ke patthar se badh ke kuch nahi hain manjilen,
Raaste aawaz dete hain safar jaari rakho.
Dosti Jab Kisi Se Ke Jaye,
Dushmanon Ke Bhi Raye Li Jaye,
Maut Ka Zeher Hai Fizaon Mein,
Ab Kahan Ja Ke Sans Li Jaye.
Ab hum makaan ke tala lagaane wale hain,
Pata chala hain ki mehaman aane wale hain.
Har Ek Chehare Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho,
Ye Zindagi To Hai Rahamat Ise Saza Na Kaho,
Na Jane Kon Si Majaburiyon Ka Qaidi Ho,
Wo Sath Chod Gaya Hai To Bevafa Na Kaho.
Zindagi yun hui basar tanha,
qafila sath aur safar tanha,
apne saye se chaunk jate hain,
umr guzri hai is qadar tanha,
raat bhar bolate hain sannate,
raat kate koi kidhar tanha,
din guzarata nahi hai logon mein,
raat hoti nahi basar tanha,
hum ne daravaze tak to dekha tha,
phir na jane gaye kidhar tanha.
इक उर्म हुई मैं तो हंसी भूल चुका हूँ,
तुम अब भी मेरे दिल को दुखाना नही भूले ।
“ये तुमने ठीक कहा है, तुम्हें मिला ना करूं
मगर मुझे ये बता दो कि क्यों उदास हो तुम?”
महदूद हैं दुआएँ मेरे अख्तियार में,
हर साँस हो सुकून की तू सौ बरस जिये!
बहोत अंदर तक जला देती है, वो शिकायतें जो बयाँ नही होती..
अपने होठों से चुन रहा हूँ तुम्हारी सासों की आयतों को,
कि जिसम के इस हसीन काबे पे रूह सजदे बिछा रही है।
गुल से लिपटी हुई तितली को गिराकर देखो,
आँधियों तुमने दरख्तों को गिराया होगा।
“पूछ कर अपनी निगाहों से बता दे मुझको,
मेरी राहों के मुकद्दर में सहर है कि नही..”
बहुत मुश्किल से करता हूँ,
तेरी यादों का कारोबार,
मुनाफा कम है,
पर गुज़ारा हो ही जाता है…