Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Ishq me peet ke aane ke liye kafi hoon,
Main nihattha hi zamane ke liye kaafi hoon,
Har hakikat ko meri, khaak samjhne wale,
Main teri neend udaane ke liye kaafi hoon,
Ek akhbaar hoon, aukaat hi kya meri,
Magar shahar me aag lagaane ke liye kaafi hoon.
Saanson ki seediyon se utar aayi jindgee,
Bhujte hue diye ki tarah jal rahe hain hum,
Umron ki dhuo, jisam ka dariya shukh gayi,
Hain hum bhi aaftaab, magar dhal rahe hain hum.
Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyo hain,
Itna darte hain to ghar se nikalte kyo hain,
Mod hota hain jawani ka sambhalne ke liye,
Aur sab log yahi aake fisalte kyo hain.
Nai hawaon ki sohabat bigaad deti hain,
Kabootron ko khul cchat bigaad deti hain,
Jo jurm karte hain itne bure nahi hote,
Sazaa na de ke adaalat bigaad deti hain.
Ban ke ik hadasa bazaar me aa jayega,
Jo nahi hoga wo akhbaar me aa jayega,
Chor uchkkon ki karo kadr, ki maloom nahi,
Kaun, kab, kon si sarkaar me aa jayega.
Jaa ke koi kah de, sholon se chingaari se,
Phool is bar khile hain badi taeyari se,
Baadshaahon se bhi feke hue sikke na liye,
Humne khaeraat bhi maangi hain to khuddari se.
Tufaano se aankh milayon, saelabon pe war karo,
Mallaho ka chakkar chodo, taer kar dariya paar karo,
Phoolon ki dukaane kholo, khushbu ka vyaapar karo,
Ishq khata hain, to ye khata aek baar nahi, sau baar karo.
Safar ki had hain waha tak ki kuch nishaan rahe,
Chale chalon ki jaha tak ye aasaman rahe,
Ye kya uthaaye kadam aur aa gayi manjil,
Maza to tab hain ke paeron mein kuch thakaan rahe.
Juba to khol, nazar to mila, jawaab to de,
Mein kitni baar luta hun, mujhe to hisaab to de,
Tere badan ki likhawat mein hain utaar chadhav,
Mein tujhko kaise padhunga, mujhe kitaab to de.
Lave deeyon ki hawa mein uchhalte rahna,
Gulo ke rang pe tezab daalte rahna,
Mein noor ban ke jamaane mein fel jaaunga,
Tum aaftaab mein keede nikalte rahna.
Roz taaron ko numaish mein khalal padta hain,
Chaand pagal hain andhere mein nikal padta hain,
Uski yaad aayi hain saanson, jara dhire chalo,
Dhadknon se bhi ibaadat mein khalal padta hain.
Ye sahara jo na ho to preshaan ho jaaye,
Mushkile jaan hi lele agar aasan ho jaaye,
Ye kuch log fariston se bane firte hain,
Mere hatthe kabhi chad jaaye ti insaan ho jaaye.
Kam sab gerjaruri hain, jo sab karte hain,
Aur hum kuch nahi karte, gajab karte hain,
Aap ki nazaron mein, sooraj ki hain jitni ajmat,
Hum charaagon ka bhi, utna hi adab karte hain.
Sarhadon par tanaav he kya,
Jara pata to karo chunaav hain kya,
Shaharon me to baaroodo ka mausam hain,
Gaonv chalo amroodon ka mausam hain.
Ishq ne goothe the jo gajre nukile ho gaye,
Tere haathon me to ye kangan bhi dheele ho gaye,
Phool bechare akele rah gaye hain shaakh par,
Gaonv ki sab titaliyon ke haath peele ho gaye.
Jawaan aankhon ke jugnoo chamak rahe honge,
Ab apne gaonv me amrood pak rahe honge,
Bhulade mujhko magar, meri ungaliyon ke nishaan,
tere badan pe abhi tak chamak rahe honge.
Naye safar ka naya inetzaam kah denge,
Hawa ko dhup, charaagon ko shaam kah denge,
Kisi se hatth bhi chhupa kar milaiye,
Warna maulvi saahab ise bhi haraam kah denge.
Jawaniyon me jawani ko dhul karte hain,
Jo log bhul nahi karte, bhul karte hain,
Agar Anaarkali hain sabab bagaavat ka.
Salim hum teri sharten kabool karte hain.
har ek harf ka andaaz badal rakha hain,
Aaj se humne tera naam gazal rakha hain,
Maine shaahon ki mohabbt ka bharm tod diya,
Mere kamre me bhi ek Tajmahal rakha hain.
Kabhi mahak ki tarah hum gulon se udate hain,
kabhi dhuyen ki tarah parvaton se udate hain,
Ye kechiya hume udne se khaak rokengi,
Ki hum paron se nahi housalon se udate hain.