Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Akhiri Tis Azamane Ko Ji To Chaha Tha Muskurane Ko.
Yeh fakhar to haasil hai buray hain ke bhalay hain,
Do chaar qadam hum bhi tere saath chale hain.
Badle To Nahin Hain Woh Dil-O-Jaan Ke Qarinay,
Aankhon Ki Jalan, Dil Ki Chubhan Ab Bhi Wohi Hai.
Yaad rakh Hum bhi isi Roo-e-zameen par ek din,
Tera ye Zulam kisi ko bhi Na Sehne denge,
Sirf Thodi si Madad Ghaib se mil jaane de,
Hum Tujhe Duniya ke Naqshe pe na rehne denge.
Ek Neewale Ke Liye Maine Jise Maar Diya,
Woh Parinda Bhi Kai Roz Ka Bhukha Nikla.
ये जो कलम दवात लिये कंधों पे फिरा करते हैं,
मर भी जाएं तो भी शायर नही होने वाले..
सारे हवा में घोल दी है नफरतें और हवास अहल ए सियासत ने
मगर न जाने क्यों पानी कुँए का आज तक मीठा निकलता है.
हाय वो दौरे ज़िन्दगी, जिसका लक़ब शबाब था,
कैसी लतीफ़ नींद थी, कैसा हसीं ख़्वाब था…..
यह तो ठीक है तेरी जफ़ा भी है एक अता मेरे वास्ते,
मेरी दुआओं की कसम तुझे, कभी मुस्कुरा के भी देख ले.
एक हालत पर न रहने पायी दिल की हसरते,
तुमने जब देखा नए अंदाज से देखा मुझे.
ख़ुद अपने आपको शादाब करना चाहता है,
ये कलम का फ़क़ीर आपको आदाब करना चाहता है !
ग़ज़ल और शायरी की सल्तनत पर आज भी क़ब्ज़ा हमारा है
इसलिए तो हम अपने नाम के आगे अभी राना लगाते हैं.
मेरी नेकियाँ गिनने की नौबत ही नहीं आएंगी,
मैंने जो माँ पे लिखा है वही काफ़ी होगा…
Kuchh roz se hum sirf yahi soch rahe hain,
ab hum ko kisi baat ka ghum kyon nahin hota.
Patthar hun toh kyon todne waale nahin aate,
sar hun toh tere saamne kham kyon nahin hota.
Jab maine hi shahzaadi ki tasweer banaai,
darbaar mein ye haath kalam kyon nahin hota.
Paani hai toh kyon zaanib-e dariya nahin jaata,
aansoo hai toh tezaab mein zam kyon nahin hota. !!
Halaanky humein laut ke jana bhi nahin hai,
kashti magar iss baar jalaana bhi nahin hai.
Talwaar na chhoone ki kasam khayi hai lekin,
dushman ko kaleje se lagana bhi nahin hai.
Ye dekh ke maqtal mein hansi aati hai mujh ko,
saccha mere dushman ka nishaana nahin hai.
Main hun.. mera baccha hai.. khilono ki dukaan hai,
ab mere paas koi bahaanaa bhi nahin hai.
Pehle ki tarah aaj bhi hain teen hi shaayar,
ye raaz magar sab ko bataana bhi nahin hai. !!
Fazan mein ghol di hai nafratein ahal-e-siyasat ne,
magar pani kuyen se ab tak mitha nikalta hai.
Woh ja raha hai ghar se janaaza buzurg ka,
aangan mein ek darakht puraana nahin raha.
Gum se fursat hi kahan hai ki tujhe yaad karun,
Itni laashen hain ton kandha nahin badla jata,
Umar ek talkh haqeeqat hai dosto phir bhi,
Jitne tum badle ho Utna nahin badla jata.
मियाँ मैं शेर हूँ ,शेरों की गुर्राहट नहीं जाती,
मैं लहजा नर्म भी कर लूँ तो झुंझलाहट नहीं जाती,
मैं एक दिन बेख्याली में कहीं सच बोल बैठा था,
मैं कोशिश कर चुका हूँ ,मुंह की कड़वाहट नहीं जाती!
Mohabbat mein tumhe aansoo bahaana nahin aaya,
banaaras mein rahe aur paan khana nahin aaya.
Na jaane log kaise mom kar dete hain patthar ko,
humein toh aap ko bhi gudgudana nahin aaya.
Shikaari kuchh bhi ho itna sitam achchha nahin hota,
abhi toh chonch mein chidiya ke daana tak nahin aaya.
Ye kaise raaste se le ke tum mujh ko chale aaye,
kahan ka maikada, ek chaaikhana tak nahin aaya. !!