Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Naukaron Par Jo Gujarti Hai

Naukaron par jo gujarti hai mujhe maloom hai,
Bas karam kije mujhe bekaar rehane dijiye.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Naaz Kya Is Pe Jo Badala Hain

Naaz kya is pe jo badala hain zamaane ne tumhein,
Mard hain wo jo zamaane ko badal dete hain.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mira Mohtaaz Hona To Miri

Mira mohtaaz hona to miri haalat se zaahir hain,
Magar haan dekhana hain aap ka haajat-rawa hona.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Meri Ye Bechaniyan Aur Unka

Meri ye bechaniyan aur un ka kehana naaz se,
hans ke tum se bol to lete hain aur ham kya karein.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Lipat Bhi Ja Na Ruk Akbar

Lipat bhi ja na ruk ‘Akbar’ gajab ki byuti hain,
Nahin nahinpe na jaa ye haya ki duty hain.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kya Wo Khwahish Ki Jise Dil Bhi

Kya wo khwahish ki jise dil bhi samjhata ho hakeer,
Aarjoo wo hain jo seene mein rahe naaz ke saath.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kuch Tarz-E-Sitam Bhi Hain

Kuchh tarz-e-sitam bhi hain kuchh andaz-e-wafa bhi,
Khulta nahin haal un ki tabiyat ka zara bhi.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kis Naaz Se Kehate Hain Wo

Kis naaz se kehate hain wo jhunjala ke shab-e-wasl,
tum to hamein karwat bhi badalne nahin dete.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kheencho Na Kamaanon Ko

Kheencho na kamaanon ko na talwaar nikaalo,
Jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jo Waqt-E-Khatna Mai Cheekha To

Jo waqt-e-khatna mai cheekha to naai ne kaha hans kar,
Musalmani mein taakat khoon ke behane se aati hain.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Hue Is Qadar Mohjjab Kabhi Ghar Ka

Hue is qadar mohjjab kabhi ghar ka munh na dekha,
Kati umar hotalon mein mare aspataal jaa kar.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jawani Ki Dua Ladakon Ko Na-Haq

Jawani ki dua ladakon ko na-haq log dete hain,
Yahi ladke mitaate hain jawaani ko jawan ho kar.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jab Mein Kehta Hun Ki Ya Allah

Jab mein kehata hun ki ya Allah mera haal dekh,
Hukm hota hin ki apna nama-e-aaamaal dekh.

Vote This Post DownVote This Post Up +1

Jaan Shaayad Farishte Chhod Bhi Dein

Jaan shaayad farishte chhod bhi dein,
doktar fees ko na chhodenge.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Ishq Najuk-Mijaaj Hain Behad

Ishq najuk-mijaaj hain behad,
Akl ka bojh utha nahin sakta.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Ishq Ke Ijhaar Mein Har Chand

Ishq ke ijhaar mein har chand ruswaai to hain,
Par karun kya tabiat aap par aai to hain.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jo Kaha Main Ne Ki Pyaar Aata Hain

Jo kaha main ne ki pyaar aata hain mujh ko tum par,
Hans ke kehane lagaa aur aap ko aata kya hain.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Iss Kadar Tha Khatmalo Ka

इस क़दर था खटमलों का चारपाई में हुजूम,
वस्ल का दिल से मेरे अरमान रुख़्सत हो गया!

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Reeza Reeza Bekhar Geya Insaan

Reeza reeza bekhar geya insaan,
DIL ke viraniyan jatane ko.

Vote This Post DownVote This Post Up +2
Category: Ada Jafri Shayari

Na Gubar Mein Na Gulab Mein

Na Gubar Mein Na Gulab Mein Mujhe Dekhana,
Mere Dard Ke Aab-O-Tab Mein Mujhe Dekhana.

Vote This Post DownVote This Post Up +1
Category: Ada Jafri Shayari