Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Raqeebon ke liye acha thikaana ho gaya paida,
Khuda aabaad rakhe main to kehata hun jahnnam ko.
Raah mein baitha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe,
Aadmi ban jaaunga kuchh thokrein khaane ke baad.
Namak bhar kar mere zakhmon mein tum kya muskurate ho,
Mere zakhmon ko dekkho muskurana is ko kehate hain.
Na dekhna kabhi aaina bhool kar dekho,
Tumhare husn ka paida jawaab kar dega.
Na dekh honge rind-e-la-ubaali tum ne bekhud se,
Ki aise log ab aankhon se ojhal hote jaate hain.
Maut aa rahi hai waade pe yaa aa rahe ho tum,
Kam ho raha hai dard dil-e-be-karaar ka.
Jawaab soch ke wo dil mein muskuraate hain,
Abhi jabaan pe meri sawaal bhi to na tha.
Jaadoo hai ya tilism tumhaari jabaan mein,
Tum jhut kah rahe the mujhe etibaar tha.
Na kah saqi bahar aane ke din hain,
jigar ke daag chil jane ke din hain,
ada si khub ada aane ke din hain,
abhi to dur sharmane ke din hain,
gareban dhundhate hain hath mere,
chaman mein phul khil jane ke din hain,
tumhen raz-e-muhabbat kya batayen,
tumhare khelane khane ke din hain,
ghatayen udi udi kah rahi hai,
may-e-angur khinchavane ke din hain.
Dard-e dil mein kami na ho jaaye,
dosti dushmani na ho jaaye.
Tum meri dosti ka dum na bharo,
aasmaan muddai na ho jaaye.
Baithta hun humesha rindon mein,
kahin zaahid wali na ho jaaye.
Apne khu-e-wafa se darta hun,
aashiqi bandagi na ho jaaye. !!
Ye dil kabhi na muhabbat mein kamayab hua,
mujhe kharab kiya, aap bhi kharab hua,
ajal men, zist mein turabat men, hashr mein zalim,
tere sitam ke liye main hi intakhab hua,
nigah-e-mast ko saqi ke kon de ilzam,
mera nasib ki rusava mera shabab hua,
hamare ishq ke das-bis ne bhi dad na di,
kisi ka husn zamane mein intakhab hua,
fana ka dawa hazaron ko tha zamane mein,
habab ne mujhe dekha to aab-ab hua.
Shamm-e-mazaar thi na koi sogwaar tha,
tum jis pe ro rahe the woh kis ka mazaar tha.
Tadpunga umar bhar dil-e-marhoom ke liye,
kambakht na-muraad ladkpan ka yaar tha.
Jaadu hai ya tilism tumhari zubaan main,
tum jhooth keh rahe the mujhe aitbaar tha.
Kya kya humaare sajde ki ruswaaiyaan hui,
naqsh-e-qadam kisi ka sare rahguzaar tha. !!
Dee kasam wasl mein us but ko khuda ki to kaha,
Tujh ko aata hai khuda yaad hamare hote.
Band tha darwaaza bhi aur ghar mein bhi tanhaa tha mein,
Tu ne kuch mujh se bola tha ya aap hi bola tha mein.
Hai Amjad aaj tak woh shakhs dil main,
Ke jo uss waqt bhi mera naheen thaa..
Tum se bicharr kar pehron sochtaa rehtaa hoon,
Ab mein kyon aur kis ki khatir zindaa hoon..
Amjad woh aankhain jheel si gehri to hain magar,
Un mein koi bhi akss bhi mere naam ka nahin.
Woh jo geet tum ne suna nahin,
Meri umar bhar ka reyaaz tha,
Mere dard ki thi daastaan,
Jisey tum hansi mein urraa gaye..
Mile kese sadiyon ki pyaas aur pani, zara phir se kehna,
Barri dilrubaa hai yeh saari kahani, zara phir se kehna..