Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Barson Ki Jaan Pahchan Thi

Barson Ki Jaan Pahchan Thi Ek Roj Usne Tod Di,
Hoshiyar Hum Bhi Kam Nahi Umeed Hamne Chhod Di,

Ganth Padi Hain Kis Tarah Yeh Baat Hai Kuchh Is Tarah,
Woh Dor Tuti Bar Bar Har Bar Hamne Jod Di,

Usne Kaha Kaise Ho Tum Bas Maine Lab Khole Hi The,
Aur Baat Duniya Ki Taraf Jaldi Se Usne Mod Di.

Vote This Post DownVote This Post Up +1

Jakham Dil Mein Jahan Mehkata Hai

Jakham Dil Mein Jahan Mehkata Hai,
Isi Kyari Mein Tha Gulab Koi,

Rat Bajti Thi Door Sahnayi,
Roya Pikar Bahut Sharab Koi,

Dil Ko Ghere Hain Rojgar Ke Gham,
Raddi Mein Kho Gayi Kitab Koi,

Kon Sa Jakham Kis Ne Diya Hai,
Iska Rakhe Kahan Hisaab Koi,

Fir Main Sunane Laga Hu Is Dil Ki,
Aane Wali Hai Fir Musibat Koi.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Chodhavi Raat Hai Toh Khidki Ke

Chodhavi Raat Hai Toh Khidki Ke Gira Do Parde,
Koun Jane Ki Woh Naraj Hi Raat Se Ho Jaaye,

Ek Khusboo Ki Tarah Fialate Hain Mahfil Mein,
Aise Alfaj Ada Jo Tere Lab Se Ho Jaayein,

Na Koi Ishq Hai Baaki Na Koi Parcham Hai,
Log Deewane Bhala Kis Ke Sabab Se Ho Jaayen,

Baat Toh Chhed Mere Dil Koi Kissa Toh Suna,
Kya Ajab Unke Bhi Jajbat Ajab Se Ho Jaayen.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Dil Ka Har Dard Kho Gaya Jaise

Dil Ka Har Dard Kho Gaya Jaise,
Main Toh Pathar Ka Ho Gaya Jaise,

Daag Baki Nahi Ke Nishan Kahun,
Koi Deevar Dho Gaya Jaise,

Jagta Jahan Gham Ki Dhoop Mein Tha,
Chhav Paate Hi So Gaya Jaise.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Zindagi Ki Aandhi Mein Jahan Ka

Zindagi Ki Aandhi Mein Jahan Ka Ped Tanha,
Tumse Kuchh Sahar Tha Aaj Hu Magar Tanha,

Tum Fijul Baaton Ka Dil Par Bojh Mat Lena,
Hum Toh Khair Kar Lenge Zindagi Basar Tanha,

Ek Khilona Jogi Se Kho Gaya Tha Bachpan Mein,
Dhundhata Fir Ausko Woh Nagar Nagar Tanha,

Jhutpute Ka Aalam Hai Jaane Koun Aadam Hai,
Ik Kabr Par Rota Hai Muh Ko Dhanpkar Tanha,

Jakham Ghayal Lamhon Ko Niti Sambhale Hai,
Anginat Marijon Mein Ek Doctor Tanha.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka

Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka,
Tha Jo Deevana Mar Gaya Kab Ka,

Dhundhta Tha Jo Ek Nayi Duniya,
Lotke Apne Ghar Gaya Kab Ka,

Woh Jo Laya Tha Humko Dariya Tak,
Par Akele Utar Gaya Kab Ka,

Uska Jo Haal Hai Wohi Jaane,
Apna Toh Jakham Bhar Gaya Kab Ka,

Khwab Dar Khwab Tha Jo Tana Bana,
Ab Kahan Hai Bikhar Gaya Kab Ka.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai

Fir Khamoshi Ne Saaj Chheda Hai,
Fir Khayalat Ne Lee Angdayi,

Kisliye Mahfil Sajayee Jaaye,
Pursukun Ho Gayi Hai Tanhayi,

Ek Se Ek Ghatna Huyi Lekin,
Na Gayi Tere Gham Ki Yatnayi,

Koi Shikwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithe Baithe Bas Aankh Bhar Aayi.

Vote This Post DownVote This Post Up +1

Na Khushi De Toh Kuchh Dilasha

Na Khushi De Toh Kuchh Dilasha,
Dost Jaise Ho Mujhko Bahla De,

Chetna Se Mili Hai Tanhai,
Aa Meri Jaan Mujhko Dhoka De,

Ab Toh Poorti Ki Bhi Shart Nahi,
Zindagi Ab Toh Ek Tamanna De,

Eh Safar Itna Bekar To Na Jaa,
Na Ho Manjil Kahin Toh Pahuncha De,

Tark Karna Hai Gar Taallk Toh,
Khud Na Jaa Tu Kisi Se Kahla De.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Main Kud Bhi Kab Yeh Kahta Hu

Main Khud Bhi Kab Yeh Kahta Hu Ki Sabab Nahi,
Tu Sach Hai Mujhko Chhod Bhi De Toh Ajab Nahi,

Vapas Jo Chaho Jana Toh Ja Sakte Ho Magar,
Ab Itni Door Aa Gaye Hum Dekho Ab Nahi,

Dhan Ka Jaruraton Ka Jamane Ka Dosto,
Karte Toh Hum Bhi Hain Magar Itna Adab Nahi,

Mera Pyar Hai Toh Hamesha Ke Vaste,
Tera Karam Nahi Hai Ki Ab Hai Aur Ab Nahi,

Duniya Se Kya Shikayaten Logon Se Kya Gila,
Humko Hi Zindagi Se Nibhane Ka Dhang Nahi.

Vote This Post DownVote This Post Up +1

Hamare Dil Mein Ab Kadwahat Nahi Hai

Hamare Dil Mein Ab Kadwahat Nahi Hai,
Magar Woh Baat Pahle Si Nahi Hai,

Mujhe Maayush Bhi Bhi Karti Nahi Hai,
Yahi Aadat Teri Achhi Nahi Hai,

Bahut Se Faayde Hain Maslehat Mein,
Magar Dil Ki Toh Yeh Marji Nahi Hai,

Har Ek Ki Dastaa Sunate Hain Jaise,
Kabhi Hamne Mohabbat Ki Nahi Hai,

Hai Ek Darwaja Bin Deewar Duniya,
Chhutkara Gham Se Yahan Koi Nahi Hai.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Dard Kuchh Din Toh Mehmaan Thahre

Dard Kuchh Din Toh Mehmaan Thahre,
Hum Hathi Hain Ke Mejbaan Thahre,

Sirf Tanhai Sirf Virani,
Yeh Najar Jab Uthe Jahan Thahre,

Koun Se Jakham Par Padav Kiya,
Dard Ke Kaafile Kahan Thahre,

Kaise Dil Mein Khusi Basa Loo Main,
Kaise Muthi Mein Yeh Dhuan Thahre,

Thi Kahin Niyat Kahi Sahas,
Hum Kahin Inke Darmiyan Thahre.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Sukhi Tehni Tanha Chidiya

Sukhi Tehni Tanha Chidiya Feeka Chand,
Aakhon Ka Sehra Mein Ek Nami Ka Chand,

Us Maathe Ko Chume Kitne Din Beete,
Jis Maathe Ki Khatir Tha Ik Teeka Chanda,

Pehle Tu Lagti Thi Kitni Begana,
Kitna Dhundhla Hota Hai Pehli Ka Chand,

Kam Ho Kaise In Khushiyon Se Tera Gham,
Lehron Mein Kab Behta Hai Nadi Ka Chand,

Aao Ab Hum Iske Bhi Tukde Kar Lein,
Dhaka, Rawalpindi Aur Dilli Ka Chand.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Na Mile Muntazir Jo Vo To Ham

Na Mila Muntazir Jo Vo To Ham Hain Sharmindaa,
Ke Hamnein Der Laga Dee Palat Ke Aane Mein.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mujhe Dushmano Se Bhi Khudari Ki

मुझे दुश्मनों से भी खुद्दारी की उम्मीद रहती है,
सर किसी का भी हो कदमों में अच्छा नहीं लगता.

Vote This Post DownVote This Post Up -1

Badal Gayi Hai Zindagi

बदल गई है ज़िंदगी, बदल गये हैं लोग भी,
ख़ुलूस का जो था कभी, वो अब सिला नहीं रहा !

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kabhi Yun Bhi Toh Ho Yeh Badal

कभी यूँ भी तो हो ये बादल ऐसा टूट के बरसे,
मेरे दिल की तरह मिलने को तुम्हारा दिल भी तरसे !

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Narm Awaaz, Bhali Baatein

Narm Awaaz, Bhali Baatei’n, Mohzab Lehze’n,
Pehli Baarish Mein Hi Yeh Rang Utar Jaatey Hain.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Iss Shehar Mein Jeene Ke

इस शहर में जीने के अंदाज़ निराले हैं
होंटों पे लतीफ़े हैं आवाज़ में छाले हैं !

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Yaad Usse Bhi Ek Adhura Afsana Toh Hoga

याद उसे भी एक अधूरा अफ़्साना तो होगा,
कल रस्ते में उसने हमको पहचाना तो होगा.

Vote This Post DownVote This Post Up -1

Hum Bhi Kaafi Tej The

हम भी काफी तेज़ थे पहले वो भी थी होशियार बहुत ,
पहले दोनों खेल रहे थे लेकिन अब है प्यार बहुत !

Vote This Post DownVote This Post Up 0