Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Issi khayaal se guzri hai shaam-e-dard aksar,
Ke dard hadh se jo guzre ga muskuraa doon ga..
Khushi ka gham hai na gham ki khushi ab to,
Bohat udaas guzarti hai zindagi ab to.
Kho gayi subah ki umeed aur ab yoon lagta hai,
Hum nahi hon ge ke jab hon ge ujaale Mohsin..
Bicharr ke tujh se kisi taur behell na saka,
Nishaaniyan bhi teri mere paas kitni theen..
Phir jaag utha hai dil me purane dilon ka dard,
Jee chahta hai phir koi taaza ghazal kahoon..
Ik junoon be-maani, ik yaqeen la-haasil,
Kya mila humen mohsin uss ki arzuu kar ke.
Meri Awargi Mai Kuch Dhakhal Tumhara Bhi Hai Mohsin,
Tumhari Yad Ati Hai Tu Hame Ghar Acha Nahi Lagtaa.
Zameen pr chal na saka aasmaan se bhi geya,
Kattay jo par to parinda urraan se bhi geya,
Kisi ke hath se nikla hua woh teer hoon main,
Hadaf ko chuu na saka aur kamaan se bhi geya,
Tabaah kar gayin mujhe pakkay ghar ki khawhishen,
Main apne gaaon ke kachay makaan se bhi geya,
Aag main kuuda bhi to kya mila mujhe mohsin,
Usay bacha na saka aur apni jaan se bhi geya.
Laga na dil ko kya sunaa nahin tu ne,
Jo kuch ke Meer ka is aashqui ne haal kiya.
Sharminda honge, jaaney bhi do imtihaan ko,
Rakhe ga tum ko kon aziz, apni jaan se..
Sakht kaafir tha, jis ne pehle “Mir”,
Mazhab-e-ishq ikhteyaar kiya..
Aane ke waqt tum to kahin ke kahin rahe,
Ab aye tum to fayda! hum hi nahin rahe.
Zulmat-e-shab ko sitaaron se sanwaara hum ne,
Kitni raton ko tujhe uthe ke pukara hum ne,
Jab kabhi hath se umeed ka daaman choota,
Le liya aap ke daaman ka sahara hum ne,
Yoon to dunya bhi mukhaalif hai hamari warna,
Rukh badaltey huye dekha hai tumhara hum ne,
Hum zamaney se bhi takraa gaye teri khaatir,
Jo na karna tha kiya woh bhi ganwaara hum ne,
Ae Taqi, Gham nahin yeh jaan rahe ya na rahe,
Paa liya un nighaaon ka ishaara hum ne.
Ab karke faramosh to na’shaad* karo ge,
Per hum jo na hon ge to bohat yaad karo ge.
Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya,
Dekha iss beemari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya,
Ehed-e-jawani ro ro kaata, peeri main li aankhen muund,
Yaani raat bohat they jaage subh hui araam kiya,
Naahaq hum majbooron pr yeh tohmat hai mukhtaari ki,
Chahte hain so aap karen hain hum ko abass badnaam kiya,
Meer ke deen-o-mazhab ko ab poochte kya ho us ne to,
Qashqaa kheencha dair main betha kab ka tark islam kiya.
Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai meer,
Khaak daal, aag laga, naam na le, yaad na kar.
Shukar Hai Khariyat Se Hun Sahab,
Aapse Aur Kya Kahu Sahab,
Ab Samjhne Laga Hu Labh Hani,
Ab Kahan Woh Mujh Mein Junun Sahab,
Hum Tumhe Yaad Karte Ro Lete,
Do Khadi Milta Jo Sukun Sahab,
Sham Bhi Dhal Rahi Hai Ghar Bhi Door Hai,
Kitni Der Aur Main Ruku Sahab,
Ab Jhukunga Toh Toot Jaaunga,
Kaise Ab Aur Main Jhuku Sahab.