Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Dekhi hai berukhi ki aj humne inteha Mohsin,
Hum pe nazar pari to “wo mehfil se uth gaye.
Aaj phir chand ufaq par nahin ubhra mohsin,
Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni.
Muun chupaaye huye guzra hai idhar se jo woh aaj,
Us ki aankhon mein koi zakham neya lagtaa hai.
Saltanat Dil Mein Hi Nahi Uski,
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Uski,
Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai,
Phir Damaknay Lagi Jabeen Uski,
Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per,
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Uski,
Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Usse,
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Uski,
Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin,
Aadatain Sab Badal Gayin Uski.
Aaine Par Kabhi Kitaab Mein Hain,
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain,
Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay !
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain,
Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per,
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain,
Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain…!
Oski Aadat Hai Roothna Mohsin,
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain.
Is zindagi mein itni faraghat kisey naseeb,
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum..
Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo,
Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo,
Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain,
Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo,
Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho,
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,
Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin”,
Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo.
Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhte Chalo,
Phir Ehtmaam-e-Daar-O-Rasan Dekhtay Chalo,
Dilchasp Waqea Hai Ke Sehra Ki Dhoop Mein,
Zarro’n Ka Jal Raha Hai Badan Dekhte Chalo,
Tanqeed Mat Karo Ke Zamana Kharab Hai,
Chup Chaap Dosto’n Ka Chalan Dekhte Chalo,
“Mohsin” Shab-e-Siyaah Bhi Orhay Huay Hain Aaj,
Shaffaaf Chandni Ka Kafan Dekhte Chalo.
Shayad mera wajood hi suraj tha sheher mein,
Main bujh geya to kitne gharon mein chiraag jaley..
Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha,
Paani main chaand, chaand main chehra kisi ka tha.
Woh shakhs jis ko samajhane mein mujhko umar lagi,
Bicharr ke mujh se kissi kaa ho na saka hoga.
Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha,
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha,
Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley,
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha,
Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi,
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha,
Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”,
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha.
Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar “Sakht Tar ” Nikla
Para Hai Vaasta Jis Se Wohi “Teer-o-Tabar” Nikla
Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka
Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou “Tang Nazar” Nikla
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum
Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat “Khaaki Bashar” Nikla
Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa “Mohsin”
Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat “Be Maqsad” Safar Nikla
Mere Qaatil Ko Pukaro Ke Main Zinda Hoon Abhi,
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Ke Main Zinda Hoon Abhi,
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say,
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi,
Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay,
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi,
Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi,
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi,
Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa,
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi.
Munhasir ehl-e-sitam per hi nahin hai ‘Mohsin’
Log apnon ki enayat se bhi marr jate hain.
Uski chahat ka bharam kya rakhna,
Dasht-e-hijraan mein qadam kya rakhna,
Hanss bhi lena kabhi khud per mohsin,
Har gharri aankh ko namm kya rakhna.
Zindagi log jise marham-e-gham jaante hain,
Jis tarah hum ne guzaari hai woh hum jaante hain..
Tere hijar main aur mujhe kya karna hai,
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon..
Jo teri muntazir theen woh ankhein hi bujh gayin,
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko.
Hajoom mein tha, woh khul kar na ro saka hoga,
Magar yakeen hai ke shab bhar na so saka hoga.