Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Ae Dost Humne Tarq-e-Mohabbat Ke Bawjood,
Mehsoos Kee Hai Teri Zaroorat Kabhi-Kabhi!
Use Kehna, NigaaheiN Raah Dekhti HaiN,
MulaqateiN Qayamat Pe To Na Dalo.
Thakan se raah mein chalna muhaal bhi hai mujhe,
kamaal par bhi tha main hi zawaal bhi hai mujhe.
Sadak pe chalte hue ruk ke dekhta hun main,
yahin kahin hai tu ye ehtimaal bhi hai mujhe.
Ye mere gird tamasha hai aankh khulne tak,
main khwaab mein toh hun lekin khyaal bhi hai mujhe.
Ussi ke lutf se marne se khauf aata hai,
ussi ke dar se ye jeena muhaal bhi hai mujhe.
Sawaad-e-shaam-e-safar hai jalaa jalaa sa ‘munir
khushi ke saath ajab sa malaal bhi hai mujhe.
Sadkon pe beshumaar gul-e-khoon pade hue,
Peddon ki daaliyon se tamaashe jhade hue,
Kothon ki mamtiyon pe haseen buut khade hue,
Sunsaan hain makaan kahin dar khula nahin,
Kamre saje hue hain magar raasta nahin,
Veeraan hai poora shehar koi dekhta nahin,
Aawaaz de raha hun koi bolta nahin.
Tujhse bicharr kar kya hoon main, ab bahar akar dekh,
Himmat hai to meri haalat, aankh mila kar dekh,
Shaam hai gehri, tez hawaa hai, sar pe khari hai raat,
Rasta gaye musafir ka ab diya jalaa kar dekh,
Darwaze ka paas aa aa kar wapis murrti chaap,
Kaun hai iss sunsaan gali main, paas bula kar dekh,
Shayed koi dekhne wala ho jaye khairaan,
Kamre ki deewaron par koi naqsh bana kar dekh,
Tu bhi Munir ab bhare jahaan main mil kar rehna seekh,
Bahar se to dekh liya, ab andar jaa kar dekh..
Mehfil ar’aa the magar phir kam’numaa ho geya the,
Dekhte hi dekhte hum kya se kya ho gaye the..
Janta hoon Ek aise shakhs ko mein bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi roya nahin..
Bechain bohat phirna ghabraye huye rehna,
Ik aag si jazbon ki dehkaaye huye rehna,
Chalkaaye huye Khushbuu lab-e-laleen ki,
Ik baagh sa sath apne mehkaaye huye rehna,
Ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se,
Ik chaand sa aankhon main chamkaaye huye rehna,
Aadat hi bana li hai tum ne to Munir apni,
Jiss sheher main bhi rehna uktaaye huye rehna.
Apne ghar ko wapis jaa ro ro kar samjhaata hai,
Jahaan bhi jaaun mera saaya peeche aata hai,
Us ko bhi to jaa kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai,
Chhup chhup reh kar dukh sehne se to insaan mar jaata hai,
Mujh se mohabbat bhi hai uss ko lekin yeh dastuur hai uss ka,
Ghair se milta hai hanss hanss kar mujh se hi sharmaata hai,
Kitne yaar hain phir bhi Munir is aabaadi main akela,
Apne hi gham ke nashe se apnaa ji behelaata hai.
Awaaz de ke dekh lo shaayad woh mil hi jaaye,
Warna yeh umr bhar ka safar raayegaan to hai.
Laazim nahin ke us ko bhi mera khayal ho,
Mera jo haal hai wohi uss ka bhi haal ho,
Koi khabar khushi ki kahin se mile munir,
Iss roz-o-shab main aesa bhi ik din kamaal ho.
Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya,
Umar meri thi magar us ko bassar us ne kiya,
Main bohat kamzor tha us mulk main hijrat ke baad,
Pr mujhe us mulk main kamzor-tar us ne kiya,
Sheher main woh moatbar meri gawaahi se hua,
Phir mujhe uss sheher main na-moatbar us ne kiya,
Sheher ko barbaad kar ke rakh diya us ne munir,
Sheher pr yeh zulm mere naam pr us ne kiya..
Usse Paana, Usse Khona, Ussi Ke Hijr Mein Rona,
Yehi Gar Ishq Hai Mohsin, To Hum Tanha Hi Ache Hain.
Wo rootha rootha sa lgta hai
koi tarkeeb btao pass aane ki ?Mohsin?
Main zindgi girvi rkh skta hoom
tum qeemat btao usey manane ki.
Zoq-e-Deed Mein Hai Takleef har Roz Sara’sar
“Mohsin”
Ache rehte Hn Wahi Log Jo Mohabbat Nahi Karte.
Yun Wafa Ke Silsilae Musalsal Na Rakh Kisi Se Mohsin
Log ik Khata Ke Badly,Saari Wafaein Bhool Jaate Hain.!!
Mumkin hai tere baad bhi aati hon gi baharen Mohsin
Gulshan main tere baad kabhi ja kr nahi dekha.
Bhool jana to rasm-e-duniya hai Mohsin,
Tumne bhool kar konsa kamaal kar diya.
Na jago raat bhar ‘MOHSIN’ meri mano to soo jao,
Ye ‘Khawabidah Nazr’ phir kal kisi ko maar Dalegi.