Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Bhari duniya mein jee nahin lagta,
Jaane kis cheez ki kami hai abhi.
Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush,
Jaisay Bacha Charaagh Se Khush,
Jab Taaron Ki Shamain Jhilmilain,
Saaqi Ne Kia Ayaagh Se Khush,
Gham Chorh Gaya Jisay Jagaa Kar,
Wo Dil Na Howa Faraagh Se Khush,
Ab Naala-e-Dil Na Chairh Bulbul,
Ye Baagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush,
Ab Raas Hai Ka Kunj-e-Gham Hee “Nasir”,
Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush.
Teri Zulfon Ke Bikharne Ka Sabab Hai Koi,
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi,
Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se,
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi,
Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain,
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi,
Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa,
Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi,
Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “Nasir”,
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi.
Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi,
Ab itni si baat pe kya zindagi haraam karain.
Jab tak ham masroof rahe yeh dunya thi sunsaan,
Din dhalte hi dheyaan mein aye kese kese log.
Sheher ki be’chiraag galiyon mein,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi.
Sheher mein humdum puraane bohat the Nasir,
Waqt parrne pe mere kaam na aaya koi.
Kabhi roye, kabhi tujh ko pukaara,
Shab-e-furqat bari mushkil se guzri.
Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya,
Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya,
Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaa.n Howi,
Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya,
Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye,
Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya,
Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain,
Zamee.n Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya.
Mujhe yeh dar hai, teri aarzu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas naheen.
Dil to mera udaas hai Nasir,
Sheher kyun saayen saayen karta hai.
In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena,
Un ko lagte hain meri ankh mein pyare aansu.
Hamare ghar ki deewaron pe Nasir,
Udaasi baal khole so rahi hai.
Aaj to be’sabbab udaas hai jee,
Ishq hota to koi baat bhi thi.
Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi.
Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi,
Barham huyi hai yuun bhi tabiyat kabhi kabhi,
Tere qareeb reh kar bhi dil mutmayin na tha,
Guzri hai mujh pe yeh bhi qayamat kabhi kabhi,
Kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha,
Yuun bhi guzar gayi shab-e-furqat kabhi kabhi,
Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ke bawjood,
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi.
Deewangi-e-shoq ko yeh dhun hai ke in dinon,
Ghar bhi ho aur be-dar o deewar sa bhi ho.
Wohi jo haasil-e-hasti hai Nasir ,
Usi ko meherbaaN dekhaa na jaaye.
Kaun is raah se guzarta hai
Dil yun hii intazaar kerta hai
Dekh ker bhi na dekhny walay
Dil tujhe dekh dekh Derta hai
Shehar-e-gul mein kati hai sari raat
Dekhiay din kahan guzerta hai
Dheyan ki seeriyon pe pichly pehar
Koi chupky sy paun dherta hai
Dil to mera udaas hai “Nasir”
Shehar kyun sayein sayein kerta hai,