Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Mere paas itne sawaal the meri umar se na simat sake
Tere paas jitne jawaab the teri ek nigaah main aa gaye!
Gair To Kiya Apne Liye Bhi Bekar Howe Hum,
Ek Khaar K Liye Bhi Boht Khawaar Howe Hum,
Jab Weeran Sabza Zaar Men Ek Phool Aagiya,
To kehne Lage Sabhi Raqeeb Khazaan Daar Howe Hum,
Yeh Shekwe Shekayten Nahi Ahwaal Hai Mera,
Ab Anjaan Hain Jin K Liye Dildaar Howe Hum,
Afsos k is Ne Wafa Ka Paas Na Rakha,
Jis K Liye Khud Se Bhi Gaddaar Howe Hum.
Meri talab tha Ek shakhs woh jo nahin mila tou phir,
Hath dua se yoon gira, Bhool geya sawaal bhi.
Mujhe teri mohabbat ne ajab ik roshni baskhshi,
Mein is dunya ko ab pehle se behter dekh sakti hoon.
Ajnabi logon mein ho tum aur itni door ho,
Aik uljhan si raha karti hai rozaana humain.
Hawaa ke hote huye roshni tu kar jaye,
Meri tarah se koi zindagi tu kar jaye,
Tamaam umar tayeb mein hi basar hogi,
Teri taraf se nazar be-rukhi to kar jaye,
Chiragh-e-dil teh mehraab jaan na chore,
Hawaa ke sath koi dushmani to kar jaye,
Phir is ke baad jahan mein kahin panaah nahin,
Tere huzoor yeh jaan sarkashi tou kar jaye,
Woh dushmani ke bhi kaabil na mujh ko chore ga,
Us aadmi se yeh dil dosti tou ka jaye.
Mar bhi jaaon to kahan log bhula hi denge,
Lafz mere, mere honey ki gawaahi denge.
Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati,
Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati,
Dene Waalay Ki Mashiyyat Pe Hai Sab Kuch Mauqoof,
Maangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati,
Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewaanon Ki,
Shaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati,
Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai Laikin,
Ham Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati,
Kon Utraa Hai Ye Aafaaq Ki Pehnaayi Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati.
Sheher ko teri justaju hai bohat,
In dinon hum pe guftagu hai bohat,
Jab se parvaaz ke shareek miley,
Ghar bananey ki aarzoo hai bohat,
Dard reh reh ke sar uthaata hai,
Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bohat,
Kuch tou woh yaad bhi bohat aya,
Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bohat,
Peeney wali aankh hai darkaar,
Aankh ko chaand ka sabuu hai bohat..
Taar-e-Mazgaan Nahi Mil Raha Tha,
Zakham Kis Yaad Ka Sil Raha Tha,
Barf Mein Roshni Ghul Rahee Thi,
Wo Mujhe Khwaab Mein Mil Raha Tha,
Kuch Ajab Roshni Baagh Mein Thi,
Phool Kis Rung Ka Khil Raha Tha,
Saamnay Tha Wo Aur Dono Chup The,
Ab Na Ham Thay Na Wo Dil Raha Tha,
Rung-o-Rogan Ki Baatain Mehel Mein,
Sheher Bunyaad Se Hil Raha Tha.
Bas tere rawai’yon ka sabab dhoondte rehna,
Yeh silsila ab aur to chalne ka nahin..
Andheri raaton ke tanhaa musafiron ke liye,
Diyaa jalata hua koi saaz o rakht na tha.
Mere liye to wo khanjar bhi phool ban ke uthaa,
Zabaan sakht thi, lehjaa magar karakht na tha.
Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai,
Abhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool Baaqi Hai,
Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi Farokhtni,
Na Koi Waada Na Koi Usool Baaqi Hai,
Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baa’r Khatam Howi,
Kinaaray Sheher Puraani Babool Baaqi Hai,
Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi Pata Na Chalay,
Mere Dupattay Mein Ik Surkh Phool Baaqi Hai.
Najana kon sa aasaib dil mein basta hai,
Ke jo bhi thehra woh aakhir makaan chor gaya.
Humain khabar hai, Hawaa ka mizaaj rakhte ho,
Magar yeh kya, ke zara dair ko rukey bhi nahin.
Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai,
Waqt mil jaye to zehmat karnaa..
Gungunatey huye lamhon main usey,
Dheyaan mera kabhi aaya ke nahin..
Woh bachpane ki neend ki to ab khawb ho gayi,
Kya umar thi ke raat huyi aur so gaye.
Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahuu main,
Yeh kaanch ke tukrron ko uthaney ki sazaa hai.