Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Woh yaad nahi karte,
Hum bhula nahi sakte,
Woh hansa nahi sakte,
Hum rula nahi sakte,
Dosti itni khoobsurat hai hamaari ki,
Woh bata nahi sakte,
Aur hum jata nahi sakte.
Dost wohi hai jo aapko aapna maan sake,
Apke har gum ko bin kahe jaan sake,
Aap chal rahe ho tez baarish me,
Phir bhi pani me aapke aansoo pehchaan sake.
Milna bichdna sab kismat ka khel hai,
Kabhi nafrat to kabhi dilo ka mail hai,
Beek jata hai har rishta duniya me,
Sirf dosti hi yaha “NOT FOR SALE” hai.
Khusboo ki tarah meri sanson mein rehna,
Lahu banke meri nas nas mein behna,
Dosti hoti hai rishton ka anmol gehna,
Isliye dost ko kabhi alvida na kehna.
Aankhon Mein Basne Wale Pyara Sa Ishara Ho,
Andheri Raat Me Chamkta Sitara Ho,
Chubh Nahi Sakti Udasi kabhi usko,
Jiska Koi Dost Itna Pyara Ho.
Aapki hasi bahut pyaari lagti hai,
Aapki har khushi hamein hamari lagti hai,
Kabhi door na karna khud se humein,
Aapki dosti humein jaan se bhi pyaari lagti hai.
Teri muskuraht meri pehchaan hai,
Teri khushi meri jaan hai,
Kuchh bhi nahi meri zindagi,
Bas itna samajh le ki tera dost hona meri shaan hai.
Rishto se badi chahat kya hogi,
dosti se badi ibadat kya hogi,
jise dost mil jaye AAp jaisa,
use zindgi se shikayat kya hogi.
दोस्ती का शुक्रिया कुछ इस तरह अदा करू,
आप भूल भी जाओ तो मे हर पल याद करू,
खुदा ने बस इतना सिखाया हे मुझे,
कि खुद से पहले आपके लिए दुआ करू..
Kehte hain dost banana zindagi hai,
Dosti nibhana zindagi hai,
Kitne bhi busy kyun na rahe din bhar,
Magar ek pal ke liye hi sahi,
Doston ki yaad aana hi zindagi hai.
Dost samjhte ho to dosti nibhate rehna,
hume bhi yaad karna, khud bhi yad aate rehna,
Meri to khushi doston se hi hai,
main khush hu ya nhi, tum muskrate rehna.
Suna Hai Khuda Ke Darbar Se,
Kuch Farishtey Faraar Ho Gaye,
Kuch to Vaapas Chale Gaye,
Aur Kuch Humare Yaar Ho Gaye.
Khushi itni ho ki aap dikha sako,
Gham bas itna ho ki aap chhipa sako,
Zindagi mein ek dost aisa rakhna,
Jiske liye aap dukh mein bhi muskura sako.
Hastiya mit gai naam kamane me,
Umar beet gai khusiya paane me,
Ek pal me dur na ho jana humse,
Hame to saalo lage hai,
Aap jaisha DOST pane me
दोस्ती का शुक्रिया कुछ इस तरह अदा करू,
आप भूल भी जाओ तो मे हर पल याद करू,
खुदा ने बस इतना सिखाया हे मुझे,
कि खुद से पहले आपके लिए दुआ करू..
Pyaar aur dosti mein itna fark paya hai,
Pyaar ne sahaara diya aur dost ne nibhaaya hai,
Kis rishte ko gehara kahu?
Ek ne zindagi di aur dusre ne jeena sikhaaya hai.
दोस्त को दोस्त का इशारा याद रहेता हे,
हर दोस्त को अपना दोस्ताना याद रहेता हे,
कुछ पल सच्चे दोस्त के साथ तो गुजारो,
वो अफ़साना मौत तक याद रहेता हे|
Tufan Hai Zindagi To Sahil Hai Teri Dosti,
Safar Hai Meri Zindagi To Manzil Hai Teri Dosti,
Maut Ke Baad Mil Jaayegi Mujhe Jannat,
Zindagi Bhar Rahe Agar Salamat Teri Dosti.
वो दिल क्या जो मिलने की दुआ न करे,
तुम्हें भुलकर जिऊ यह खुदा न करे,
रहे तेरी दोस्ती मेरी जिन्दगानी बनकर,
यह बात और है जिन्दगी वफा न करे|
Humdum To Sath Sath Chalte Hain,
Raaste To Bewafa Badalte Hain,
Tera Chehra Hai Jab Se Aankhon Mein,
Meri Aankhon Se Log Jalte Hain.