Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Khushboo mein ehsaas hota hai,
Dosti ka rista kuch khaas hota hai,
Har baat juba se kehna mumkin nahi,
Isliye to dosti ka naam vishwash hota hai.
Daulat hai mujhko zindagi se pyari,
Daulat ke liye kar doon kurban yari,
Daulat ke liye tod doon dosti tumhari,
Ab tumse kya chupana,
Dost tum hi to ho daulat hamari.
Kab maine kaha ki chandi aur sona chahiye,
Bas aap ke dil mein ek chota sa kona chahiye,
Keh sake jise hum dil se apna,
Aisa bhi to koi dost hona chahiye
Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai.
Dosti achi ho to waqt ruk jata hai,
Aasma lakh ooncha ho jhuk jata hai,
Dosti mein duniya lakh bane rukawat,
Magar dost sachcha ho to zamana jhuk jata hai.
Har kali tumse khuhsboo udhar mange,
Aftab tuhjse noor udhar mange,
Rab kare tu dosti aise nibhaye,
Ki log mujhse teri dosti udhar mange.
Aadat Alag Hai Hamari Duniya Walo Se,
Kam “Dost” Rakhte Hai
Magar
“Lajawab” Rakhte hai
Beshak Hamari Dosti Ki Mala Choti Hai..
Par Phool Us Main Sare “Gulab” Rakhte Hai.
Waqt aur khushi tere gulam honge,
Har pal aur pehlu tere hi naam hoge,
Zara mud ke dekhna mere dost,
Har kadam ke neeche mere hathon ke nishan hoge.
Zindagi mein kuch na paa sake to kya gam hai,
Tere jaisa dost paya yeh kya kam hai,
Ek choti si jagah payi dil mein,
Wo jagah kya kisi “taj mahal” se kam hai.
Dost ki yaad se badi koi dolot nahin hoti,
Sath rehna hi dost ki jarurat nahin hoti,
Duriyan kardeti ha yado ko jinda,
Warna yadon ki koi kimat nahin hoti.
Hum apni dosti ko yaadon mein sajayenge,
Door rehkar bhi band aankhon mein nazar ayenge,
Hum koi waqt nahi jo beet jaayenge,
Jab yaad karoge tab chale aayenge.
Dosti to sirf ittefaq hai,
Yeh to dilon ki mulakaat hai,
Dosti nahin dekhti yeh din hai ke raat hai,
Isme to sirf wafadaari aur jazbaat hai.
सबसे अलग सबसे न्यारे हो आप,
तारीफ कभी पुरी ना हो इतने प्यारे हो आप,
आज पता चला कि जमाना क्यों जलता है हमसे,
क्यों कि दोस्त तो आखिर हमारे हो आप.
Har raat chand ka shingar nahi milta,
Har bagh ko phool ka dular nahi milta,
Hamnein bhi duniya dekhi hai,
Har insan ko aap jaisa yaar nahi milta.
Hum woh nahi jo tumhe gum me chod denge,
hum woh nahi jo tujhse naata tod denge,
hum to tere wo dost hai jo saanse,
ruk jaye to apni saanse jodh denge.
कौन कहता है कि दोस्ती बराबरी में होती है,
सच तो ये है दोस्ती में सब बराबर होते है!
Ek phool bhi aksar baag saja deta hai,
Ek hi sitara sansar chamka deta hai,
Jahan duniya bhar ke rishte bhi kaam nahi aate,
Wahin ek dost zindagi bana deta hai.
Khushi itni ho ki dikha sako,
Gam bas itna ho ki tum chupa sako,
Zindgi me kam se kam 1 dost aisa rakhna,
Jiske liye tum gusse me bhi muskura sako.
Zikar Hua Jab Khuda Ki Rehmaton Ka,
Humne Khud Ko Khushnaseeb Paya,
Tamanna Thi Ek Pyaare Se Dost Ki,
Khuda Khud Dost Bankar Chala Aaya.
Ek dost ka wada hai marte dum tak saath nibhayenge,
Maut aaye to tumse pehle hum jayenge,
Tumko na bhool payenge,
Isi liye tumko bhi saath le jayenge.