Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Khuda Ki Ibadat Se Milte Hain,
Dost Uski Rahmat Se Ham Nibhatehen,
Dosti Nahi Chahate Ham Koi Dost Khona,
Isliye Kisi Khas Ko Hi Dostbanate Hain.
Jab se aapko jana hai,
Jab se aap sa dost paya hai,
Har dua me aap ka naam aaya hai,
Dil karata hai punchu us rab se ke,
Kya itna pyara dost sirf mere liye banaya hai?
Rishton ki yeh duniya hai nirali,
Sab rishton se pyari hai dosti tumhari,
Manzoor hai aansu bhi aakhoon mein hamari,
Agar aa jaye muskan honthon pe tumhari.
khusboo ki tarah meri saanso me rehna,
lahu banke nus nus me behna,
dosti hoti hai risto ka anmol gehna,
isliye humari dostio ko kabhi alvida na kehna.
दूरियों से फर्क पड़ता नहीं,
बात तो दिलों कि नज़दीकियों से होती है,
दोस्ती तो कुछ आप जैसो से है,
वरना मुलाकात तो जाने कितनों से होती है.
Ek dost mila, kuchh alag sa laga,
Khwahishon ka gulistan sa laga,
Us pe qurban hai puri yaari meri,
Kyun ki woh meri zindagi ka ashiyana sa laga.
Dil se dil juda nahi hote,
Yuhi kisi pe fida nai hote,
Pyar se bada to dosti ka rishta hai Kyunki,
dost bewafa nahi hote.
Wada karte hain dosti nibhayenge,
Koshish yahi rahegi tujhe na satayenge,
Zarurat pade toh dil se pukarana,
Marr bhi rahe honge to mohlat lekar aayenge.
Socha na tha kabhi aisi dosti hogi,
Sath mere aap jaisi hasti hogi,
Jannat ki galiyon ke khawab kyon dekhoon,
Agar tum jaisa dost sath hoga to narak me bhi masti hogi…
Rab se sacha koi ho nahi sakta,
Apse achha koi ho nahi sakta,
Apki dosti hamare nasib me hai to humare,
Nasib se achha kisi aur ka nasib ho nehi sakta,
शायद फिर वो तक़दीर मिल जाये,
जीवन के वो हसीं पल मिल जाये,
चल फिर से बैठें वो क्लास कि लास्ट बैंच पे,
शायद फिर से वो पुराने दोस्त मिल जाएँ ।
Do pal ki zindagi yun hi beet jayegi,
Kaali raat ke baad nai subah aayegi,
Agar doston ki yaad satayegi,
To kasam se aapki yaad sabse pehle aayegi.
Labo ki hasi tere naam kar denge,
Har khushi tujhpe kurban kar denge,
Jis din lage mere dosti me kami to batana,
Ai dost zindagi ko maut ke naam kar denge.
Har Dost se achi baat karna fitrat hai hamari,
Har dost khush rahe hasrat hai hamari,
Koi hum ko yad kare na kare,
Har dost ko yaad karna aadat hai hamari.
Aye dost tum zindagi mein banke aaye ho noor,
Aapke aane se zindagi ki sari mushkil ho gai dur,
Bhul jao pal ke liya ya lamhe ke liye shikayat na karenge,
Magar apni duaon mein hamesha yaad rakhna zaroor.
Ansu Bahe To Ehesas Hota Hai,
Dosti k Bina jiwan kitna Udas Hota Hai,
Umar Ho Apki Chand jitni lambi,
Aap jaisa Dost kaha Har kisik Paas Hota Hai.
Raate Gumnam Hoti Hain,
Din Kisike Naam hota hai,
Hum Jindgi kuch is Tarah Jite hain,
ki har LaMhA Sirf Dosto Ke hi naam Hota Hai.
किस हद तक जाना है ये कौन जानता है,
किस मंजिल को पाना है ये कौन जानता है,
दोस्ती के दो पल जी भर के जी लो,
किस रोज़ बिछड जाना है ये कौन जानता है.!
Kitne azeez ho tum ye batayein kaise,
Hamari sachchai aap ko dikhayein kaise,
Aapki dosti hai anmol hamare liye,
Aapko chand lafzon mein samjhayein kaise.
Dua karte hain hum sar jhukaye,
ae dost tu apni manzil ko paye,
agar teri rah mai kabhi andehra chaye,
to roshani ke liye khuda humko jalaye.