Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Wo So Jate Hai Aksar

Wo So Jate Hai Aksar Hume Yad Kiye Baiger,
Hume Nind Bhi Nhi Aati Unse Baat Kiye Baiger,
Kasur Unka Nhi Kasur To Hamara Hai,
Unhe Chaha Bhi To Unki Ejazat Ke Baiger.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Ek Tamana Thi

ek tamana thi so wo bhi khak ho kar reh gayi,
har qadam par dhokha apne pyar ka us ne diya,
raat bhar aate rahe hain aandhiyon ke qafile,
hadson ko bhi mere ghar ka pata us ne diya.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Aaj Keh Diya Phir Na

Aaj keh diya phir na kehna kabhi,
meri najro se door tum na rehna kabhi,
khusi bankar lafzo pe aaye ho tum,
aask bankar aankho se na behna kabhi.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Ishq-E-Zindagi Ne Kuch Aisi

Ishq-E-Zindagi ne kuch aisi raah badli hai,
asiyana hum dekhte hai, shakle unki dikhti hai.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Badal Jao Bhale Tum Magar

Badal jao bhale tum magar ye zehan me rakhna,
kahi pachtawa na ban jaye hum se be rukhi itni.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Khud Jam Peena Inhe

khud jam peena inhe bhi na aata tha,
pemane jo ankhon se pilane aye the,
humein dekh ke mehfil mein chup si ho gayi,
jo wafa ka matlab samjhane aye the.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Humari Har Khusi Ka

Humari har khusi ka eshaas tumhara ho,
tumhare har gam ka dard humara ho,
mar jaye to humko koi gam nahi,
bas aakhiri waqt tak sath tumhara ho.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Rehne Do Ki Ab Tum

रहने दो कि अब तुम भी मुझे पढ़ न सकोगे,
बरसात में काग़ज़ की तरह भीग गया हूँ!

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Bharosa Mat Karna

Bharosa Mat Karna Is Duniya K
Logon Pe,
Mujhe Tabah Karne Wala Mera
Bohat Azeez Tha.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Dil Tootega Toh Fariyaad

Dil tootega toh fariyaad karoge tum bhi,
hum na rahe toh hamein yaad karoge tum bhi,
aaj kehte ho hamare paas waqt nahin,
par ek din mere liye waqt barbaad karoge tum bhi.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mujhe Koi Jine Ki

Mujhe koi jine ki hasrat nahi Hai,
tumko mujhse mohobbat nahi Hai,
bhula do ye ranjish ki baate,
mujhe gam uthane ki aadat nahi hai.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Meri Tamanna Na Thi

मेरी तमन्ना न थी तेरे बगैर रहने की,
लेकिन मज़बूर को, मज़बूर की,
मजबूरिया, मज़बूर कर देती है!

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Meri Barbad Zindagi Ke Kisse

meri barbad zindagi ke kisse sunte hai sabhi,
jaise koi kahani sunte hai sabhi,
mai ro ro kar sunati hu or mazak banate hai sabhi,
meri zindagi ke kisso pe hasne waalo,
koi tum par na hase kabhi,
isliye,
mohabbat na karna kabhi.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jana Kaha Tha

Jana Kaha Tha Aur Kaha Aa Gaye,
Duniya Me Bankar Mehman Aa Gaye,
Abhi To PYAAR Ki Kitaab Khola Hi Thi,
Aur Na Jane Kitne Imtehaan Aa Gaye.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Ghamo Me Hasne Walo Ko

Ghamo me hasne walo ko rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
banne wale ban jate h khud b khud apne,
kisi ko keh kar ke apna bnaya nahi jata.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Sikha Na Saki Jo Umar

Sikha na saki jo umar bhar tamam kitabe mujhe,
jab kareeb se kuchh chehare padhe to na jane kitne sabab sikha diya

Vote This Post DownVote This Post Up -1

Tujhse Ab Koi Wasta

Tujhse ab koi wasta to nhi hai mera,
Magar,
Tere hisse ka waqt aaj bhi tanha guzrta ha.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Lagi Hai Chot Dil Pe

Lagi hai chot dil pe dikha nhi sakte,
Bhulana Bhi chahen to bhula nhi sakte,
Mohobbat ka anjaam yehi hota hai,
Jis ke liye taraste hain use paa nhi sakte.

Vote This Post DownVote This Post Up +1

Chahne Se Koi Chij

Chahne se koi chij apni nahi hoti,
Har muskurahat khusi nahi hoti,
Kehna to chahte hai bahut kuch,
Magar kabhi waqt to kabhi juban sath nahi hoti.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Dil Roj Sajta Hai

Dil roj sajta hai nadan dulhan ki tarah,
gam roj chale aate h barati bankar.

Vote This Post DownVote This Post Up 0