Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Ab jis ke jee mein aaye wahi paaye raushani,
Ham ne to dil jala ke sar-e-aam rakh diya.
Kya jaane kis ada se liya tune mera naam,
Duniya samjh rahi hai ki sach-much tera hun main.
Kal ki baat aur hai main ab saa rahun ya na rahun,
JItna jee chaahe tera aaj sata le mujhko.
Yun lagta hai sote jaagte auron ka mohtaaz hun,
Aankhein meri apni hain par un mein neend paraai hai.
Milkar juda hue to na soya karenge ham,
Ek dusre ki yaad mein roya karenge ham.
Kiya hai pyaar jise hamne zindagi ki tarah,
Wo aashna bhi mila hamse ajnabi ki tarah.
Jaane wo kya soch raha tha apne dil mein saari raat,
Pyaar ki baatein karte karte us ke nain bhar aaye the.
Ye thik hai nahin marta koi judaai mein,
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare.
Likh diya apne dar pe kisi pe kisi ne,
is jagah pyaar karna mana hai,
Pyar agar ho bhi jaaye kisi ko,
iska izhaar karna mana hai.
Hizr ki ek lambi manzil ko jaanewala hun,
Apni yaaadon ke kuchh saaye mere saath karo.
Berukhi isse badi aur bhala kya hogi,
Ek muddat se hamein us ne sataaya bhi nahin.
Jab tassvur mera chupke se tujhe chhu aaye,
Der tak apne badan se teri khushboo aaye.
Wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare,
Main tujhko bhool ke zinda rahun khuda na kare.
Raat ke sannate mein hamne kya kya dhoke khaaye hai,
Apna hi jab dil dhadka to ham samjhe wo aaye hai.
Raas aaya nahin tasqi ka saahil koi,
Phir mujhe pyaas ke dariya mein utaara jaaye.
Kabhi na khatam kiya maine roshani ka muhaaz,
Agar chiraag bujha, dil jala liya maine.
Mil bhi lete hain gale se apne matlab ke liye,
Aa pade mushqil to nazarein bhi chura lete hain log.
Pyar buri shay nahin hai lekin phir bhi yaar “Qateel”,
Gali-gali taqseem na tum apne jajbaat karo.
Kabhi na socha tha hamne “Qateel” us ke liye,
Karega ham pe sitam wo bhi har kisi ki tarah.
Yaaro ye daur jauf-e-basaarat ka daur hai
Aandhi uthe to usko ghata kah liya karo