Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Palat Kar Bhi Nai Dekhi Teri Yeh Be-Rukhi Humne,
Bhula Dengey Tujhe Aisey Ke Tu Bhi Yaad Rakheyga.
Toota ho dil to dukh hota hai,
Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai,
Dard ka ehsaas to tab hota hai jab,
Kisi se mohabbat ho aur uske dil mei koi aur hota hai.
Khud ki Mohobbat Fanah kon Karega,
Sabhi Nek ban Gaye to Gunah kon Karega,
Aye Khuda Bewafa Sanam ko Bachaye Rakhna,
Warna Humari Maut ki Dua kon Karega.
Tum mohabbat bhi mausam ki tarah nibhate ho,
kabhi baraste ho to kabhi ek bund ke liye tarsate ho.
Dil jo tutte tera toh mere pass chale aana,
mujhe mere jaise logo se mohabbat hai.
Betaab se rehte the teri yad me aksar,
Raat bhar nai sote teri yad me aksar,
Jism me dard ka bahana sa bana ke hum,
toot ke rote hain teri yaad me aksar.
Bahut Kimti Hai Teri Nigahe,
To Tere Ashqo Ka Aalam Kya Hoga ?
Hum To Teri Berukhi Pe Hi Mar Mite,
To Teri Mohabbat Ka Aalam Kya Hoga ?
Aye zindagi mera vajud nahi talvar takhto taj ka mohtaj,
mai apne hunar aur hoonthon ki hasi se logo ke dil par raaz karta hu,
Aye zindagi ab kya yaad karne par bhi jurmana karoge,
Wo bhi chuka dege to kya bahana karoge..
Bada ehsaan hai teri sabhi nafraton ka mujhpe,
Tujhse mili ek thokar ne mujhe chalna sikha diya.
Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
Hum dub rahe hai to koi baat nahi.
Is kadar na har baat yaron se pucho,
Jo baat raaz ki ho isharon se pucho,
Lehron se khelna to samunder ka shok hai,
Lagti h chot kaise kinaro se pucho.
Kash ki tujhe mai bachpan me hi maang leta,
Har cheej mil jaati thi do aansu bahane ke baad,
Kitna ajeeb hai uska ye andaje mohabbat,
roj rula ke kahte h apna khayal rakhna,
Aye sanam bure hai ham, tabhi to ji rahe hain,
achhe hote to ye jalim duniya jine nahi deti.
Kaash hum bhi hote shayri ke badshah,
Tujhe rulate teri be-wafaai ke shair suna suna kar.
sab k sab afsos ka izhaar le kar aa gaye,
chubti huwi hamdardiyan kuch yaar le kar aa gaye,
aa gaye karne tere jane par izhaar e khayal,
hath mein jaise koi talwaar le kar aa gaye.
Dekh ke hume wo sir jhukate hai,
Bhula ke mehfil me nazre churate hai,
Nafrat h humse to bhi koi baat nahi,
Par gairon se milke humara dil kyun jalate ho.
Aap ne dil pe dastakh jo di,
aisa laga ki saawan ne haazri di,
Mausam ke pahle barish ne dil ko bhigoya,
Bhige to kiske yaad me, jisne hame barish me rulaya.
hothon me lekar naam unka main ji raha hu aaj bhi,
nindo me lekar khwaab unka main so raha hu aaj bhi,
unhe to pata hi nahi ke hum kitna chahte the unhe,
phir bhi unhi ki raho me intejar se baitha hu main aaj bhi.
hum jalate hain mushkil se jo diya andhi main,
kyu who daman ki hawa se hi bhuja jate ho,
kis se seekha hai ye andaz e muhabbat tum ne,
hum par roz nya dagh laga jate ho.
Maine har gham khusi mein dala hai,
mera har ek chalan nirala hai,
log jin hardisho mein marte hai,
mujhko unn hardisho ne pala hai.
App kah de to hum jina chod dete,
app kah de to hum har jidd chod dete,
app ke liye hum ne sub chod diye,
app ne bina kahe hi hume chod diya.