Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Wo Chand Mujh Pe Kiya Ajab Ehsaan Kar Giya,
Zalim Mujhay To Sahib-E-Emaan Kar Giya,
Wo Zehn Main Samaya To Kuch Istarah Laga,
Jaisay Main Hifz Raat Main Quran Kar Giya.
Is Pyar Ka Andaz Kuch Aisa Hai,
Kya Bataye K Yeh Andaz Kaisa Hai,
Kaun Kehta Hai K Tum Chand Jaise Ho,
Sach To Yeh Hai K Chand Tumhare Jaisa Hai.
Kis qadar chand pe badal ka dekho saya hai,
Meri dewaangi se chand bhi sharmaya hai,
Kitna bechen sa chakoor nazaar aya hai,
Chakoor dekho kesa chand pe bharmaya hai.
Gul mohar ki kataar jaisi ho,
Wadiyon main bahaar jaisi ho,
Paayalon ki chum chum chum si,
Chand meri yaar kaisi ho?
Maine chand se kaha, Mere chand par apni nazar mat dalo,
Kya karu kasoor mera nahi,
Har kisi ko apne chand par gumaan hota hai,
Kya kahu kasoor tera bhi nahi,
Aisi hi chandani rato me kabhi tu bhi baimaan hota hai
Aisa lagta hai zindagi,
tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon,
Aasmaanon-ki chandni tum ho.
Chaand Se Puchha Humne,
Kya Raaz Hai Teri Chandni Ka,
Ishara Kiya Chand Ne Aapki Orr Aur Kaha,
Puchho Unse Jinke Noor Se Main Chamakta Hoon.
Chand Se Pyari Chandini,
Chandini Se Pyari Raat,
Raat Se Pyari Zindagee,
Zindagee Se Pyare Aap.
Mohabbat ke chaand ko apni panah mein rehne do,
labon ko na kholo aankhon ko kuch kehne do,
dil pe haath rakho aur kuch dair rehne do,
mujhe mehsoos karo aur apne paas hi rehne do.
Wo chand hai magar aap se pyara to nahi,
Parvane ka shama ke bin guzara to nahi,
Mere dil ne suni hai ek mithi se awaz,
Kya aapne mujhe pukara toh nahi.
Unke hontho pe mera naam jab aya hoga..
Khudko ruswayi se phir kaise bachaya hoga..
Sunke fasana auro se merii barbadi ka..
Kya unko apna sitam na yaad aya hoga.
Kisi ki yaadon ki chilman si dil par chayi,
mein wo darakt hu jis par n bahar aayi,
dil ki dali par ek kali khili thi,
gam ki aandhiyon ne wo kali tod girayi.
तेरी याद में आंसुओं का समंदर बना लिया,
तन्हाई के शहर में अपना घर बना लिया,
सुना है लोग पूजते हैं पत्थर को,
इसलिए तुझसे जुदा होने के बाद दिल को पत्थर बना लिया।
Jakhm sar liya to pata chala,
jara pee li to pata chala,
iss jindagi se maut acchi hai,
jab jee liye to pata chale.
ये बेवफा वफा की कीमत क्या जाने !!
है बेवफा गम-ऐ मोहब्बत क्या जाने !!
जिन्हे मिलता है हर मोड पर नया हमसफर !!
वो भला प्यार की कीमत क्या जाने !!
Koi kisi ke pyar mein shamil nahi,
har ada husan ke qabil nahi,
sab kuch luta kar yahi samjh me aaya,
ki ye duniya pyar ke kabil nahi.
मौहब्बत की मिसाल में,
बस इतना ही कहूँगा ।
बेमिसाल सज़ा है,
किसी बेगुनाह के लिए ।
Gam raha jab tak ki dum me dum raha,
dil ke jane ka nihayat gam na raha,
mere rone ki haqiqat jisme thi,
ek muddat tak wo kagaz nam raha.
वो साथ थे तो
एक लफ़्ज़ ना निकला
लबों से,
दूर क्या हुए
कलम ने क़हर मचा दिया..!!
Ek pal mein wo humse rooth gaye,
jo sajaye the sapne wo bhi toot gaye,
dafna kar aarzzo aur hasrato ko,
aur hum bhi humesha ke liye soo gaye.