Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Gamon Ka Bojh Main Dhota Raha,
Raat Bhar Bas Yunhi Rota Raha,
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha,
Na Kabhi Aayi Khushi Ki Bahar,
Na Mila Mujhe Mera Wo Pyar,
Apne Daaman Ko Sukha-Sukha Ke,
Aansuon Se Use Bhigota Raha,
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.
Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara,
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara,
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra,
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara.
Wo Maut Bhi Badi Suhani Hogi,
Jo Aap Ki Pyar Main Aani Hogi,
Ye Dua Hai Khuda Se Ke Pehle Hum Jaaye,
Kyon Ke Welcome Ki Rasam Bhi To Nibhani Hogi.
Kabhi khamoshi bhi bahut kuch keh jati hai,
Tadpane ke liye yaade reh jati hai,
Kya fark padta hai dil ho ya koyla
Jalne ke baad to sirf raakh hi reh jati hai.
Kabar Per Meri Woh Shama Jalate Rahe,
Maut Per Yun Hi Woh Dil Behlaate Rahe,
Rondh Kar Har Khwaish Meri Panv Tale,
Be-Basi Per Yun Hi Woh Muskrate Rahe,
Ashquon Ki Thi Tapish Jo Meri Kabar Per,
Unn Se Apne Zakhm Hi Sehlate Rahe.
Adalat Husan Ki Hogi,
Mukadma Tere Ishq Ka Hoga,
Gawhai Mere Dil Ki Hogi,
Mujarim Tera Pyar Hoga,
Aur Faisla Zindagi Aur Maut Ka Hoga.
Mar Toh Tab Hi Gaye The Jab Teri Mehfil Se Nikle,
Ab Toh Bas Faqat Jeene Ki Rasam Ada Kar Rahe Hain.
Bahut roya tha jab mera janam hua tha,
Aur Hans rahi thi ye Duniya,
magar Doston Ek Din Badala lunga,
Hansta hua jaunga aur Royegi ye Duniya.
Mera Inkaar Tere Ikraar Se Behtar Hoga,
Mera Din Tere Raat Se Behtar Hoga,
Mera Har Sapna Tere Haqiqat Se Behtar Hoga,
Aur Ho Sake Tho Apni Doli Se Muh Bahar Nikal Kar Dekhna, Mera Janaza Bhi Tere Baraat Se Behtar Hoga.
Hamare Muskurane Ki Wajah Tum Ho,
Hamari Zindagi Ka Matlab Tum Ho,
Agar Chora Saath Zindagi Main Hamara,
To Samajh Laina K Hamari Maut Ki Wajah Bhi Tum Ho.
Tum Samjhte Ho Ke Tumhare Siwa Koi Mujhe Chahane Wala Nahi,
Tum Chodo Toh Sahi Maut Khadi Hai Mujhe Apnane Ke Liye.
Itni Khamoshi Kyu Hoti Hai Teri Aaghosh Mein Ae kabristan, Log Toh Apni Jaan De Kar Tujhe Abaad Karte Hain .
Kuch Pal ke liye Hamien Apni Bahon me Sulale,
Agar ankh Khuli to Utha dena Agar nahi Khuli to Dafna dena.
Jab mein chala jaunga,
Duniya chorr jaunga,
Shikwa naa karunga tumse,
chupchap chala jaunga,
Wada toh naa kiya tha tumse phir bhi nibhaunga,
Marr kar bhi sirf mein tujhe hi chahunga !!!
Jis din meri arthi is duniya se vida hogi,
Ek alag sama hoga ek alag baat hogi,
Kahna us bewafa se mar gye tumhare chahne wale,
Ab na hum hain aur na hamari batein hogi.
Jiya Itna Ki Marna Muskhil Ho Gaya,
Hase Itna Ki Runa Muskil Ho Gaya,
Kisiko Pana Kismat Ki Baat Hai,
Chaha Itna Ki Bhulana Muskhil Ho Gaya.
Iss aas me chala jaunga main ye jahan chor kar,
Ke shayad mera marna hi kuchh kaam aayega,
Shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar,
Jis pal tere paas meri maut ka paigam aayega..!
Insaan Ke Kandhe Pe Insaan Jaa Raha Hai,
Kafan Me Lipta Kucch Armaan Jaa Raha Hai,
Jise Na Mili Ho Mohabbat Is Jahan Mein Shaayad,
Use Paane Wo Kabrastaan Jaa Raha Hai.
Kisi din teri nazron se door ho jayenge hum.
Door fizaon me kahin kho jayenge hum.
Meri yaadein se lipat ke rote rahoge tum,
Jab zameen ko odh ke so jayenge hum…!!
Humein Kya Pata Tha Ki Zindagi Itni Anmol Hai,
Kafan Utha Kar Dekha Toh Nafrat Karne Walay Bhi Ro Rahe The.