Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Har Subah Ko Aapko Satana Hame Pyara Lagta Hai,
Soye Huve Ko Neend Se Jagana Hame Aacha Lagta Hai,
Jab Bhi Kisi Ki Yaad Aati Hai To,
Usko Bhi Apni Yaad Dilana Aacha Lagta Hai.
एक दर्द है जो दिल से जाता नहीं,
यही वजह है कि हमें तेरी याद आती है,
लो सुबह आ गई, तू रातभर रुलाती रही,
बेखुदी में ही ये रात भी कट जाती है…
O Mere Chaand Mere Pyare Dost Ko Ek Tohfa Dena,
Taaro Ki Mehfil Ke Saath Roshni Dena,
Chupa Lena Raat Ke Andhere Ko,
Aur Har Raat Ke Baad Khubsurat Savera Dena.
Har Subah Ki Dhoop Kuch Yaad Dilati Hai,
Har Phool Ki Khushboo Ek Jaadu Jagati Hai,
Mano Na Mano Per Ye Such Hai Mere Yaar,
Shubah Hote Hi Aapki Yaad Aa Jaati Hai.
आपकी नयी सुबह इतनी सुहानी हो जाये,
दुखों की सारी बातें आपकी पुरानी हो जायें,
दे जाये इतनी खुशियां यह नया दिन,
कि ख़ुशी भी आपकी दीवानी हो जाये।
Ghar Ki Dahleej Par Meri,
Jab Kadam Woh Rakhenge,
Har Baat Ko Kahne Se Pahle,
Woh Hamein Yaad Jarur Karenge.
जब किसी से कोई गीला रखना, सामने अपने आईना रखना,
यूं उजालों से वासता रखना, शम्मा के पास ही हवा रखना,
घर कि तामीर चाहे जैसी हो, इसमें रोने कि जगह रखना,
मस्जिदें हैं नामाजियों के लिए, अपने घर में कहीं खुदा रखना,
मिलना-जुलना जहाँ जरूरी हो, मिलने-जुलने कि हौसला रखना !
Ghar Mein Yeh Maanoos Si Khushboo Kahan Se Aa Gayi,
Is Kharaabe Mein Agar Aayaa, Gaya Koi Nahin.
Ghar Kabhi Ujra Nahin, Ghar Ka Shijra Hai Gawaah,
Hum Gaye To Aa Ke Koi Doosra Rah Jaaye Ga.
Bahut Dino Mein Mere Ghar Ki Khamoshi Tooti,
Khud Apne Aap Se Ek Din Kalaam Main Ne Kiya.
Ajeeb Khawab Tha Apne Hi Ghar Mein Saari Raat,
Talash Karta Raha Mujh Ko Apna Ghar Na Mila.
Us Sey Kahna Ke Palkon Par Na Taanke Khwaab Ki Jhaalar,
Samandar Ke Kinaare Ghar Banaa Ke Kuchh Nahin Miltaa.
Mere Khudaa Mujhe Itnaa To Motabir Kar De,
Main Jis Makaan Men Rahtaa Hoon Us Ko Ghar Kar De.
Baarish Hui To Ghar Ke Dariche Se Lage Ham,
Chup-Chaap Sog-Vaar Tumhen Sochte Rahe.
Ye Sard Raat Ye Aavaragi Ye Neend Kaa Bojh,
Ham Apne Shahar Mein Hote To Ghar Gaye Hote.
Jab Ghar Ko Mere Aag Lagi To Kuchh Maal Bacha Thaa Jalne Se,
Aur Vo Bhi Un Ke Haath Lagaa Jo Aag Bujhaane Aaye The.