Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Zulfon Ki To Fitrat Hai Lekin Mere Pyare,
Zulfon Se Bhi Zyada Balkhaye Chalo Ho.
Rukh-E-Taabaan To Huwa Jaan Ka Khwahaan Paida,
Dil Phansaane Ko Huwi Zulf-E-Prishaan Paida.
Ghani zulfon k saye mein chamakta chand sa chehra,
Tujhe dekhon to kuch ratein sohani yaad aati hain.
Kya Poochte Ho Ishq Hai Zulf-E-Dona Ke Saath,
Ham Teera-Bakht Rahte Hain Kali Bala Ke Saath.
Zulfon ko dia hai rukh e zeba ne ajab rung,
Jalwon se tere aur bhi roshan huye saye.
Zulf Se Hai Ai Pari-Roo Husn Tera Jis Tarah,
Bas Yun Hi Zeenat Hai Ham Deewaanon Ki Zanjeer Ki.
Rung perahan ka khushboo zulf lehrane ka naam,
Mosam e Gul hai tumhare baam par aane ka naam.
Khushbo kahin na jaye yeh israr hai buhat,
Aur yeh bhi aarzu keh zara zulf kholye.
Apni Zulfon Ko Sitaron Ke Havaale Kar Do,
Shahr-E-Gul Bada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do.
Talkhi-E-Hosh Ho Ya Masti-E-Idarak-E-Junoon,
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do.
Sair-E-Bahaar-O-Baagh Se Ham Ko Muaaf Keejiye,
Us Ke Khayaal-E-Zulf Se ‘Dard’ Kise Faraagh Hai.
Choom Leti Hain Latak Kar Kabhi Chehra Kabhi Lub,
Tum Ne Zulfon Ko Bohat Sar Pe Charha Rakha Hai.
Vo Lajaaye Mere Savaal Par Ke Utha Sake Na Jhuka Ke Sar,
Udi Zulf Chehre Pe Is Tarah Ke Shabon Ke Raaz Machal Gaye.
Rukh Bhi Dikhlaao Mujhe Zulf-E-Siyah-Faam Ke Baad,
Qayada Hai Ki Sehar Hoti Hai Har Shaam Ke Baad.
Ada Un Kaale Kaale Gesuon Ki Kuchh Niraali Hai,
Banaane Se Bigadte Hain Sanwaare Se Bikharte Hain.