Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Phagun aya ghum ke ritu vasant ke sath,
Ang ang me udth rahe hai mithi mithi aas,
Mdbhara rango se bheega badan gori tera,
tan man me jagaye milan ki payaas.
Holi par rang barse or Aap k uper apno ka pyar barse,
Rab se yahi duaa hai hamari Aap khushi k liye nahi,
khushi aap ke liye tarse.
Rango se tan man bhigati hai
Pichkaari se rang barsati hai
Bhabhi, saali se rang dalwati hai
Holi aati gale lagati hai
Aakar sab ko rango se nahelati hai
Mang me umang jivan me josh bhar jati hai..!!
Har khushi apki rahe
har muskan apke hothon par saji rahe…Rang bhare iss tyohar ki tarha,
apki zindagi bhi rangeen rahe.
Socha kisi apne se baat kare,
Apne kisi khass ko yaad kare,
Kiya jo faishala holi ki subkamanaye dene ka,
Dil ne kaha kyo naa aapse hi suruwat kare.
Rang udaye pichkari,
rang se rang jaye duniya sari
Holi ke rang apke jeevan ko kar de rangeela,
yeh dua hai hamari.
Mausam laga Manaane Holi,
Sarson Panhane Peetchunariya,
Jhoom Rahi Hokar Baawariya,
kyari Kyari Bikhari Roli,
Hui Magn Bhoron Ki Toli,
Koyal Boli Meethi Boli,
Mast Hawa Kar Rahi Titholi.
Dil Ke aaiene me abhi chamak baaki hai
Meri sansho me abhi aapaki mahak baaki hai,
Aaieye dekhiye na is holi me Naye dost ki jhalak abhi baaki hai
Basant ritu ki bahar
Chali pichkari uda haI gulal
Rang barse hai neele hare laal
Badhyi ho apko holi ka tyohar.Holi Mubarak!!!!!
Rango K Tyohar Me Sabhi Rango Ki Ho Bhrmar,
Dher Sari Khushiyo Se Bhara Ho Apka Snsar,
Yhi Dua hai Bhagwan Se Hmari Har br,
Holi Mubarak ho apko dil se har bar!
Socha Kisi Apne Se Baat Karein,
Apney Kisi Khaas Ko Yaad Karein,
Kiya Jo Humne Faisla Holi Mubaraq Kehne Ka,
Dil Ne Kaha Kyun Na Aap Se Shuruaat Karein.
Aaj mubaarak, kal mubarak,
Holi ka har pal mubarak,
Rang birangi holi mein,
Holi ka har rang mubarak….
ye jo rango ka tyohar hai,
is din na hue laal pile to zindagi bekar hai,
rang lagana to itna pakka lagana,
jitna pakka tu mera yaar hai.
Aaj rang lo is mehfil mein,
Khelo jhoom kar holi,
Ched do har dil ko aaj Bol kar pyar ki boli,
Lal gulal aur har rang mein,
Aaye jeevan mein baharon ki doli.
Tum bhi Jhoome masti me,
Hum bhi jhoome masti me,
Shor hua saari basti me,
Jhoome sab holi ki Masti me,
Mast Mast ye Masti rahe sada aapki Kashti me,
Beet Gayi HOLI fir bhi,
Mubarak ho HOLI bheegi masti Me !
Niklo galiyo mein bana k toli,
bhiga do aaj har ladki ki jholi,
muskura de to usey bahon mein bhar lo..
varna nikal lo keh k HAPPY HOLI..!!
Bhar bhar ke jaam pilaao,
Chang aur mridang bajao,
Gile shikve bhul jaao,
Man galiyaara chaheke,
Aisi satrangi chadar faihrao,
Aao sab milkar holi manao!
Lal gulabi rang hai jhoom raha sansar,
Suraj ki kiran Khushiyon ki bahar,
Chand ki chandni Apno ka pyar,
Shubh ho aap sabki ye Rangon ka tyohar.
Barish ho rang ka,
Khushi our umang ka,
Holi manaye kuchh is tarah,
Sath chhute na apno ke sang ka
Khaa ke gujiya, pee key bhaang,
laaga k thora thora sa rang,
baaja ke dholak aur mridang,
khele holi hum tere sang.