Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Jaan Se Bhi Jyada

Jaan se bhi jyada unhe pyaar kiya karte the,
Yaad unhe din raat kiya karte the,
Ab un raahon se guzra nahi jaata,
Jahan baith kar unka intezaar kiya karte the.

Jaan Se Bhi Jyada
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Zindagi Se Sabhi Ko

Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai,
Par Zindagi Kisi Ki Mohabbat Nahi Banti,
Tamanna Le Kar Jeete Hai Sab Log,
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti…

Zindagi Se Sabhi Ko
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Humne Dil Diya

Humne Dil Diya, Yeh Tumpe Aitbaar ki Had Thi,
Ishq Kiya ye Humare Aitbaar ki Hadd Thi,
Hum Marr gaye par Khuli Rahi Aankhen,
Ye Mere Intjaar ki Hadd thi.

Humne Dil Diya
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Chale Bhi Aao Ki

Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain,
Ye wo gunah hai jo hum baar-baar karte hain,
Log maut tak hi dildaar ki raah takte hain,
Hum hai ki kabar mai bhi tera intezaar karte hain.

Chale Bhi Aao Ki
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Bhale Hi Raah Chalton Ka

Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,

Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le..

Bhale Hi Raah Chalton Ka
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Ummed Hamesha Apne Dil

Ummed Hamesha apne Dil Mein Jagaya Rakhna ,
Unke Aane ke Intezaar Mein Palke Bichaye Rakhna,
Wo Nahi to Koi Dusri Aayeghi,
Bas Tum Pyar ke Deep Jalaye rakhna.

Ummed Hamesha Apne Dil
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi,
Jab Unki Nigahe Humari Nigaho Ke Saath Hogi,
Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Main,
Jab Unke Hontho Ki Surkhiya Hamare Honthon Ke Saath Hogi.

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Bahut Ho Chuka Intezaar Unka

Bahut Ho Chuka Intezaar Unka,
Ab Aur Zakham Sahe Jaate Nahi,

Kya Bayaan Karein Unke Sitam Ko,
Dard Unke Kahe Jate Nahi.

Bahut Ho Chuka Intezaar Unka
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Koi Wada Nahi Phir Bhi

Koi Wada Nahi Phir Bhi Tera Intjaar Hai,
Judai ke Bawjud bhi Tujhse Pyar Hai,
Chehre ki Udasi de Rahi h Gawhai,
Mujhse Milne ke Liye tu Bhi Bekrar Hai.

Koi Wada Nahi Phir Bhi
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kab Unke Labon Se

Kab Unke Labon Se Izhaar Hoga,
Dil Ke Kisi Kone Main Hamare Liye Bhi Pyar Hoga,
Gujar Rahe Hain Ab To Ye Raate Bas Isi Soch Main,
Ki Shayad Unko Bhi Hamara Intejaar Hoga.

Kab Unke Labon Se
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Dilo Ko Milane Ka

Dilo ko milane ka mausam hai,
Duriyan mitane ka mausam hai,
Holi ka tyohaar hi aisa hai,
Rango me dub jane ka mausam hai.

Dilo Ko Milane Ka
Vote This Post DownVote This Post Up +1
Category: Shayari About Holi

Khuda Kare Har Saal

Khuda kare har saal chand ban k aaye
Din ka ujaala shaan ban ke aaye
Kabhi dur na ho apke chehre se hansi
Ye holi ka tyohar aisa mehman ban k aaye..

Khuda Kare Har Saal
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari About Holi

Holi Ka Ye Hai Pawan Tyohar

Holi ka ye hai pawan tyohar
Jivan me laye khushiyan apar,
Sukh ke rango ki ho bauchar
Dhan-samridhi aye aapke dwar,
Subhkamna humari kare swikar.

Holi Ka Ye Hai Pawan Tyohar
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari About Holi

Pichkari Ki Dhar Ho Aap Pe

Pichkari ki dhar ho aap pe,
Rangoon bochhar go aap pe,
Khush rahe aap aur aap ka parivar,
Mubarak ho aap ko holi ka tehwar,

Pichkari Ki Dhar Ho Aap Pe
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari About Holi

Holi Ka Rang Toh Kuch

Holi ka rang toh kuch palo me dhul jayega,
Par dosti aur pyar ka rang nahi dhul payega,
Yahi toh hain aasli rang humari zindagi ke,
Jitna rangoge utna hi gehraa hota hi jayega.

Holi Ka Rang Toh Kuch
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari About Holi

Radha Ka Rang

Radha ka rang aur Kanhaiya ki pichkari,
Pyar ke Rang se Rang do Duniya sari,
Yeh Rang na jane koi Baat na koi Boli,
Mubarak ho aap ko Holi.

Radha Ka Rang
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari About Holi

Holi Aayi Satrangi Rango Ki

Holi aayi satrangi rango ki bouchar laayi,
Dher saari mithai aur mitha mitha pyar laayi,
Aap ki zindagi ho mithe pyar aur khusiyon se bhari,
Jisme samaaye saaton rang yahi shubhkamna hai hamaari.

Holi Aayi Satrangi Rango Ki
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari About Holi

Purnima Ka Chand

PURNIMA ka chand RANGO ki doli,
CHAND se uski chandni boli,
KHUSHIYON se bhari apki jholi,
MUBARAK ho apko RANGBIRANGI Holi.

Purnima Ka Chand
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari About Holi

Humse Khelo Holi To

Humse Khelo Holi To Asli Maza Aayega,
Rango Ka Asli Matlab Tumhe Samajh Aayega,
Chaho Bhi To Na Bhula Paaoge Kabhi,
Holi Ka Ye Mausham Tumhe,
Aisi Yaadein De Jaayega.

Humse Khelo Holi To
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari About Holi

Aise Manana Holi Ka Tyohar

Aise manana Holi ka tyohar,
Pichkari se barse sirf pyar,
Ye hai mauka apno se gale milne ka,
To gulal or rang lekar ho jao taiyar.

Aise Manana Holi Ka Tyohar
Vote This Post DownVote This Post Up +1
Category: Shayari About Holi