Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Tanha Tha Is Duniya

Tanha Tha Is Duniya Ki Bheer Main,
Socha Koi Nahin Mere Taqdeer Main,
Aik Din Aap Ne Dosti Ka Hath Barhaya,
To Laga Kuch To Khas Tha Hato Ki Lakeer Main.

Tanha Tha Is Duniya
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Tera Na Milna Mera Naseeb

Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
Ae Sanam
Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna

Tera Na Milna Mera Naseeb
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Qismat Rooth Gayi

Qismat Rooth Gayi,
Dil K Taar Toot Gaye,
Aap Jo Hum Say Rooth Gaye,
Sapnay Bhi Saray Toot Gaye,
Baki Rahe Khazaney Main Do Ansu,
Yaad Aap Ki Ayai,
To Woh Bhi Laut Gaye.

Qismat Rooth Gayi
Vote This Post DownVote This Post Up -1

Qismat Main Jo Likha Hai

Qismat Main Jo Likha Hai Wo Aakhir Hokar Rehta Hai
Chand Lakeeren Uljhi See Or Hatho’n Main Kya Rakha Hai

Qismat Main Jo Likha Hai
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Na Koi Kisi Ke Paas

Na Koi Kisi Ke Paas Hota Hai
Na Koi Kisi Ke Dur Hota Hai
Pyar Khud Chalkar Aata Hai
Jab Koi Kisi Ka Naseeb Hota Hai

Na Koi Kisi Ke Paas
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Shama-E-Tamanna Jawaan

Shama-E-Tamanna Jawaan Aaj Bhi Hai,
Har Hasrat Lekin Bezuban Aaj Bhi Hai,
Manzilon Ko Nahi Naseeb Mere Kaafile To Kya,
Rahon Pe Mere Kadmon Ke Nishaan Aaj Bhi Hain.

Shama-E-Tamanna Jawaan
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kismat Do Pal Mein Badal

Kismat Do Pal Mein Badal Sakta Hai INSAN
Per Jo INSAN Ko Badal De Wo Kismat Nahin Hoti
Apni Kismat Pe Rota Wohi Shakhs Hai Jisko
Sajdon Me Rone Ki Adat Nahin Hoti

Kismat Do Pal Mein Badal
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Maut Ka Kya Kasur

Maut Ka Kya Kasur Gar Zindagi Bewafa Nikle,
Kuch Pal Ruk Kr Fir Chal Nikle,
Unse Kya Kahe Wo To Sache Hai,
Jab Meri Taqdir Hi Mujse Khafa Nikle.

Maut Ka Kya Kasur
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Guzri Hui Zindagi Ko

Guzri Hui Zindagi Ko Kabhi Yaad Naa Kar,
Taqdeer Mein Jo Likha Hai Uski Fariyaad Naa Kar,
Jo Hona Hai Vo Ho Kar Rahega,
Tu Fikr Mein Apni Hansi Barbaad Naa Kar.

Guzri Hui Zindagi Ko
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Milna Itifaak Tha

Milna Itifaak Tha Bicharna Naseeb Tha
Wo Utna He Door Ho Gaya Jitna Kareeb Tha
Hum Usko Dekhne K Liye Taraste He Rahe
Jis Shaks Ki Hatheli Pe Hamara Naseeb Tha

Milna Itifaak Tha
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Tujhe Mila Nahi Humsa Koi

Tujhe Mila Nahi Humsa Koi,
Humein Mila Nahi Tujhsa Koi
Ye To Kismat Ki Baat Hai,
Ki Humari Nazar Me Is Kadar Basa Nahi Koi…

Tujhe Mila Nahi Humsa Koi
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Ek Mehfil Mein Do

Ek mehfil mein do taqdeeron ka karaar kho gaya,
Na chahte huye bhi ishq ko husn ka deedar ho gaya,
Is kadar shama se parwane par vaar ho gaya,
Usi pal shola shabnam par nisar ho gaya.

Ek Mehfil Mein Do
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mujhe Maloom Hai Mera

Mujhe Maloom Hai Mera Mukadar Tum Nahi Lekin,
Meri Takdeer Se Chup Kar Mere Ek Baar Ho Jao.

Mujhe Maloom Hai Mera
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mere Naseeb Main Tu

Mere Naseeb Main Tu Nahin Shayad,
Kyun Khel Aisa Taqdeer Ka Hota Hai,
Lakeerain Nahin Milti Hain Unse,
Jin Se Ye Dil Milta Hai,
Dunya Kehti Hai Chand Lamhon Ka Saath Tha,
Ye Dil Jaanta Hai Ye Umr Bhar Ka Ehsaas Tha !!!

Mere Naseeb Main Tu
Vote This Post DownVote This Post Up +1

Kuch Pathro Me Phul

Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai
Kuch Anjane Bhi Apne Ban Jate Hai
Kuch Lasho Ko Kafan Nasib Nahi Hota
To Kuch Lasho Pr Tajmahal Ban Jate Hain.

Kuch Pathro Me Phul
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Teri Khamoshi Se Mujhe

Teri Khamoshi Se Mujhe Darr Lagta Hai,
Door Na Ho Jao Tum Aisa Kyun Lagta Hai,

Duniya Se Tujhe Chheen Lene Ka Honsla Hai Mujh mein,
Lekin Tum Saath Na Doge Aisa Kyun Lagta Hai.

Teri Khamoshi Se Mujhe
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kash Teri Khamoshi Mera

Kash teri khamoshi mera iqraar ban jaye,
Barso se chupaya hai jo vo pyar nazar aaye,
Mit jayege saare gile-shikve tumse ye sanam,
Bas ek baar tere labo pe mera naam aa jaye.

Kash Teri Khamoshi Mera
Vote This Post DownVote This Post Up +1

Pukarti Hai Khamoshi Meri

pukarti hai khamoshi meri fugan ki tarah
nigahen kahtai hain sab raz-e-dil zuban ki tarah
jala k dag-e-muhabbat ne dil ko khak kiya
bahar ai mere bag main khizan ki tarah

Pukarti Hai Khamoshi Meri
Vote This Post DownVote This Post Up +1

Kaun Keha Hai Khamoshiya

Kaun Kehta Hai Khamoshiya Kamosh Hoti Hai,
Khamoshiyo Ko Khamoshi Se Suno,
Kabhi-Kabhi Khamoshiya Vo Keh Deti Hai,
Jinki Aapko Lafzo Mein Talash Hoti Hai…

Kaun Keha Hai Khamoshiya
Vote This Post DownVote This Post Up +1

Rehna Chaahte The Saath Unke

Rehna Chaahte The Saath Unke..
Par Iss Zamane Ne Rehne Na Diya..
Kabhi Waqt Ki Khamoshi Me Khamosh Rahe..
To Kabhi Unki Khamoshi Ne Kuch Kehne Na Diya.

Rehna Chaahte The Saath Unke
Vote This Post DownVote This Post Up 0