Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kare.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kare
Meri Khatir Wo Sahy Dunya ke Ta’ny , Dhaky
Nangy Pairon se Wo Seharaoun ke Kanty Chakhy.
Mujhko Paany Ke Liye June k Rozy Rakhe.
Main Hon Dewana, Wo Dewno Sa Izhaar Kare
Main Din ko Kahon Raat Wo Iqraar Kare.
Mujhko Hasrat hai Koi Youn Bhi Mujhe Piyaar Kare
Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai,
meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai,
Kis tarah baat likhun dil ki usse, wo aksar,
doston ko mere khat padh ke suna deta hai,
Saamne rakh ke nigaahon ke wo tasveer meri,
apne kamre ke charaaghon ko bhuja deta hai,
Muddaton se to khabar bhi nahi bheji usne,
uski aadat hai wo apno ko bhula deta hai…
Na rakh Umeed-E-Wafa kisi parinde se “WASI”
Zara par kiya nikl aein apna hi Aashyana bhool jate hain.
Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein,
Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain.
Ab to mumkin hi nahi unse mulaqat “wasi”
ab to urooj pe puhanchi hai uski zaat “wasi”
wahi wady hain aur rasmon ki zanjiren baqi
kab badalti hain zamany ki riwayat “wasi”
aik wo din thy k ek dosry ko sochty the hum
ab milty nahi dono k khayalat “wasi”
meri her subha ka aghaz tery naam se ho
teri yadon mai kati meri her aik raat “wasi”
tum kahan aur mery piyar ka miyar kahan
wo kitni sadgi se ker gaya ye baat “wasi
Hum to Be-naam se Be-aasra Log hain Wasi,
Koi Agar yad rakhe ga to us ki enayat hogi.
Main tere hont ke jis till ko bahot chomata tha,
Abb wo khawabon me chamakata hai sitare ki tarah.
Andheri raat me rehate to kitna achaa tha,
Hum apni zaat me rehte to kitna achaa tha,
Dokhon ne bannt liya hai tumhare bad humhein,
Tumhare haat me rehte to kitna achaa tha.
Jab tumhari aankh ho gehre samundar ki tarah,
Kion na lagata ho samandar dida-e-tar ki tarah,
Iss lie roshan kia hai tere chehre ka charagh,
Dopahar tarekh hai mere maqadar ki tarah,
Nashna sa jiss ki diwaren hain dar bhi ajnabi,
Wo mila tha mujh ko hamesha ikk nae ghar ki tarah.
Jab se tere khyal ka mousam hua hai dost,
Dunia ki dhop chaon se age nikal gaye,
Mur mur k ab bhi kheet sadaen diya kaye,
Abb k bhi tere gaon se age nikal gaye,
Hum ko palat k daikhana mushkal sa ho geya hai,
Shaid teri sadaon se age nikal gaye.
Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-taloq ne aa liya,
Wo bhi isi khyal se aoron ki ho gayi,
Pehle to us k hath ki mashal bhojhi WASI,
Phir yon hoa kahen meri taqdeer kho gayi.
Falak pe chand k hale bhi sog karte hain,
Jo to nahin to ojhale bhi sog karte hain,
Tumhare hath ki chori bhi ben karti hai,
Hamare hont k tale bhi sog karte hain,
Nagar nagar me wo bikhare hain zulam k manzar,
Hamare rooh k chale bhi sog karte hain,
Use kaho k sitam me wo kuch kami kar de,
K zulam torane wale bhi sog karte hain,
Tum apne dukh pe akaile nahin ho afsorda,
Tumhare chahne wale bhi sog karte hain.
Har ik shab meri taza azaab me guzari,
Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari,
Main aik phol hon wo mujh ko rakh k bhol gea,
Tamam umer usi ki kitab me guzari.
Mujhse wo aksar kehti thi,
Meri bus itni khawaish hai,
Kuch aisi pehchani jaon,
Aap k naam se jani jaon.
Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha us waqt ?
Maut ke sukh mein chala aya mujhe dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan tha us waqt ?
Dil ke darya’on mein ab rait hai sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan tha us wakt ?
Dil jo toota hai to dil ke kono se,
Teri meri nishaniyan nikli’n,
Tu gaya hai to mere yaaron mein,
Kesi kesi kahaniyan nikli’n.
Main kahin bhi kisi nagar mein raha,
Tere asaib ke asar mein raha,
Woh bhi paagal hua juda ho kar,
Umar bhar mein phir bhi safar mein raha,
Aik jadugari to thi tujh me,
Mein bhi kuch din tere asar mein raha,
Bheegta doobta raha dil mein,
Tera chehra meri nazar mein raha,
Pesh-kash maan li zamane ne,
Aur ek mein, Agar magar mein raha,
Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain,
Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain,
Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain,
Yu’n karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain,
Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain,
Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain,
Teri jabeein pe likha tha ke tu bhula dega,
So mein bhi bhaamp geya tha ke tu bhula dega,
Har aik shakhs se larta raha mein tere liye,
Har ik ne mujhe se kaha tha ke tu bhula dega,
Yeh teri aankhon pe halqey se parr gaye kaise,
Mujhe to tu ne kaha tha ke tu bhula de ga ,
Nikaal laya hai ilzaam phir puraney tu,
Yeh hum ne tey’y bhi kiya tha ke tu bhula de ga,
Kuch is liye bhi ke ik til tha teri ankhon mein,
Mujhe to tab pata tha ke tu bhula de ga,
Mere maula teri janat se judaa lagti hai,
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai..