Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Dukh-sukh ki dhoop-chaanv se aage nikal gaye,
Hum khwaishon ke gaavn se aage nikal gaye,
Toofaan samajhta tha ke hum doob jaaenge,
Aandhi mein hum hawaaon se aage nikal gaye..
Hawa Mein Taash Ka Ghar Nahi Bante,
Rone Se Bigda Muqadar Nahi Bante,
Duniya Jitne Ka Hosla Rakh -e- Dost,
Ek Jeet Se Koi Sikandar Nahi Bante
Mushkilo Se Bhag Jana Asan Hota Hai,
Har Pehlu Zindagi Ka Imthian Hota Hai,
Darne Walo Ko Milta Nahi Kuch Zindagi Me,
Ladne Walo K Kadmo Me Jahan Hota Hai..
Mushkil is duniya me kuch bhi nahi,
Phir bhi log apne irade tod dete hai,
Agar sache dil se ho chahat kuch pane ki,
To sitare bhi apne jagah chod dete hai.
Mehnat,lagan aur himmat se apni Har mushkil se paar pana hai,
Sitaaron ki zamin banana hai ek din,
Mera khwabon me bahut bada aashiyana hai.
Wo Aankhon Mein Kaajal Wo Baalon Mein Gajraa
Hatheli Pe Us Ke Hina Maheki Maheki
Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qaatil Ne Kahaa
Kuchh Ye Mehndi Nahin Meri Ke Mitaa Bhi Na Sakoon
Tere Tohfe To Sab Ache Hain Magar Mauj-E-Bahaar
Ab Ke Mere Liye Khushboo-E-Hina Aai Ho
Hum Chahat Ke Afsaane Likhtey Rahe…
Woh Bhi Humein Door Se Dekhte Rahe…
Jab Humne Izhaar Karne Ko Hath Thama…
To Mehndi Se Ranga Unka Hath Paya…
Hatheli pe jise likhti-mitati ho Wo nam mera hai,
Mehndi jis ke nam ki rachati ho Wo nam mera hai,
Jo juda he har pal tere namse Wo nam mera hi hai.
Kya Surma Bhari Aankhon Se Aansoo Nahin Bahte,
Kya Mehndi Lage Haathon Se Maatam Nahin Hotaa.
Kaun uthayega tumhari ye zafa mere baad,
Yad ayegi bahut meri wafa mere jane ke baad,
Shukra hai mahobat ne kiya itna range asar,
Teen din usne na lagai mehndi mere jaane ke baad.
Na Mere Zakhm Khile Hain Na Teraa Rang-E-Hina,
Mausam Aaye Hi Nahin Ab Ke Gulaabon Vaale.
Dosti Or Mehandi Me Khas Farak Nahi Hota,
Dono Ek Kaam Kar Jati Hai,
Zindgi Main Khushiyo Ke Rang Deti Hai,
Or Khud FANNAH Ho Jaati Hai.
Chand Maasoom Se Patton Kaa Lahoo Hai ‘Faakhir’
Jis Ko Mahaboob Ke Haathon Ki Hina Kahte Hain.
Tumhari Thi Shararat Mehndi Se Hatheli Pe Naam Likhna,
Aur Mujhe Ruswa Kar Diya Tum Ne Yunhi Khailte Khailte.
Woh Aaye Mehfil Main Mere, Samne Baithe Hain,
Apne Hathon Mein Mera Dil Dabaye Baithe Hain,
Humne Unse Pucha Kya Hai Tumhare Hathon Main,
Muskura Ke Boole Jaan Mehndi Lagaye Baithe Hain !!
Unke hathon pe mehandi ka hamain ye faida hua
Ke raat bhar un ke chere se zulfain hum hatate rahe .
Kya hua jo usne racha li mehndi,
Hamm bhi ab to sehra sajayenge.
Mujhe pata tha wo apne naseeb main nahi hai,
Ab uski chotti bahen ko fasayenge.