Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Khamosh Raat Ki Pehlu Mein Sitare Naa Hote,
In Rookhi Aankhon mein Rangeen Nazare Naa Hote,
Hum Bhi na Karte Parwah Agar aap Itne Pyare na hote.
Kuch nasha apki baton ka hai,
Kuch nasha dheemi barsat ka hai,
Hamein aap yunhi sharabi mat kahiyae,
Yeh dil par asar apkae mulaqat ka hai.
Ek ada aapke dil churane ki,
Ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur,
ek zid hamari chand pane ki.
Pyar ko pyar ka taufa nahi dete,
Dil ko jazbaat ka taufa nahi dete,
Dene ko to hum aap ko chand dete magar,
Chand ko chand ka taufa nahi dete…
khoobsoorat ho tum kisi phool ki tarah,
aankhein hain tumhari kisi hirni ki tarah,
chahek hai tum mein kisi chiriya ki,
mehek hai tum mein kisi gulaab ki,
dua karte hain hum rab se sada,
yun hi barkarar rahe hamesha tumhari har ada.
Nigahein aapki pehchan hai hamari,
muskurahat aapki shaan hai hamari,
khyal rakhna apna kyon ki saanse aapki jaan hai hamari.
Bari mushkil me hu,
mein kaise izhaar karu,
tu to khushbu hain,
tujhe kaise giraftar karu.
Jab Utari Kagaj Pe Kalam to Ubhri Ek Masoom Se Soorat,
Gaur Se Dekha Palak Jhapkakar to Nikli Aap Ki Soorat
Phir Lage Kalam Se Char Chand to Nikhar Gayi teri Soorat
Gusse Mein Jo Nikhraa Hai,
Iss Roop Ka Kya Kehnaa,
Kuch Dair Abhi Mujh Se,
Tum Yun Hi Khaffaa Rehnaa…!
HUMNE TERE KHYAAL KI TITTLI DABOOCH LI,
SAB RANG KAYANAAT K MUTHI MAIN AA GAYE.
Puchho mere dil se tumhe paigam likhta hu
Saath gujri baate tamam likhta hoon,
Diwani ho jati hain wo kalam bhi
Jis kalam se tumhara naam likhta hoon.
Kabhi Waqt Duba Kabhi Hum Dube,
Teri Akhon Ko Log Bhi To Jheel Kaha Karte The.
Bade Beabroo Bane Pyar Ki Khatir Hum,
Tere Kuche Main Bankar Hum Dhul Raha Karte The.
chand se haseen hai chandni,
chandni se haseen hai Raat,
raat se haseen hai chand,
aur chand se haseen hai aap!
Aapke deedar ko nikal aaye hai taare,
Aapki khushboo se chha gayi hai bahare,
Aapke saath dikhte hai kuch aise nazare,
Ki chhup chhup k chand bhi bas aaphi ko nihare.
Tum Bahut Khubsoorat Ho,
Bharosa Rakho Hum Pe!
Ek Nazar Pyar Ki Deke To Dekho.
Shaddi Karna Chahate Hai Tumse!
nazare dekhe jab tumhein woh bhi bahekte hain,
jidhar se tum guzar jateh ho woh rasteh mehekte hain.
Chand se haseen hai chandni,
Chandni se haseen hai Raat,
Raat se haseen hai chand,
Aur chand se haseen hai aap.
Jee Chahta Hai Tumse Pyari Si Baat Ho,
Haseen Chand Tare Ho, Lambi Si Raat Ho,
Fir Raat Bhar Yhi Guftagu Rakhe Hum Dono,
Tum Meri Zindagi Ho, Tum Meri Kayinat Ho.
Mat muskurao itna ki phoolo ko khabar lag jaye
ki wo kare taaref tumhari
aur tumhe unki najar lag jaye.
sakun apka nagma wo saaz kahan se laun,
Suna sakun kuch apko wo andaaz kahan se laun,
Yun to chandani ki tarif karna asaan hai,
Kar sakun aapki tarif wo alfaaz kahan se laun.