Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti,
Kaash Aapse Mulakat Hamaari Na Hoti,
Sapno Mein Hi Dekh Lete Hum Aapko,
To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti…
Pyaar Ke Raaste Tum Chand Ho
To Meri Zindagi Ki Roshni,
Tum Jhal Ho To Mere Jheene Ki Waje,
Tum Sapna Ho To Sirf Mere Waaste
Tum Tum Ho To Tum Hi Raho,
Kyon Ki Tum Aur Sirf Tumhi Ho Mere Pyaar Ke Raaste…!
Palko ko humne jab bhi jhukaya hai,
Bas ek hi khayal aaya hai,
Jis khuda ne tumhe banaya hai,
Tumhe dharti pe bhejke bhala wo kaise jee paaya hai…
Tum har taraf pyar se dekha na karo,
har taraf pyar ki ek kahani banegi,
nazar jo jhuki to sayari nayi banegi,
nazar jo uthi to gazal dil ki zubani banegi…!
Kasam khudha ki jisne aap ko banayaa,
Ang Ang mein sundartha poore badan mein husn samayaa.
Aye khuda apne chand pe itna gururr na kar,
ek chand sa dost hum bhi rakhte hai,
jab tarif hoti hai tere chand ki,
log misal mere chand ki dete hai
Teri lehrati julfe na jane kya kehti hai,
teri jhuki nazro ko dekhkar log kya kehte hai,
humne suni hai aapki taarif apne kaano se,
log to aapko Taj Mahal kehte hai.
Haseen to aur bhi hai is jahan mein maula ,
par jab usne apna ghonghat khola ,
to chand bhi mujhse sharma ke boola,
ye raat ki chandni hai ya din ka shola…
Uske chehre me kuchh na kuchh jaroor tha
bin piye main nashe me choor tha
uska chehra bhi kamal ka ek phool tha
jiski khushbu se mehaka mera naseeb tha.
Hasi Phoolon ko aati hai,
Jab aap muskurate ho,
Humari duniya badal jati hai,
Jab aap muskurate ho,
Aapki muskurahat ke aage bhalaa,
kya chand ki rounak,
Huzur khud chand bhi sharmaataa hai,
jab aap muskurate ho.
Shayar to hum hai shayari bana denge,
aapko shayari me qaid kar lenge,
kabhi sunao hume apni aawaz,
aapki aawaz ko hum ghazal bana denge.
Yaadon ki nazrein tumpe hain,
Phulon ki mehek tumse hain,
Chaahat ki saans tere liye,
Harpal ki shayari bhi tere liye,
Ek saans to kuch bhi nahi,
Hazaar jeevan kaafi kam hain
Ek nazar hai tu deedar ke liye,
ek lamha hai intezaar ke liye,
ek khwab hai tu jise meri aakhen dekhe,
ek tasveer hai tu bus pyaar ke liye.
Tum ko pana zindagi Tujhko khona maut hai,
Or kuch iske siva mere fsaane me nahi,
Mang lunga mai khuda se ya chura lunga tujhe,
Tujsa moti dusra uske khzane me nahi…
Taras gaye apke deedar ko,
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai,
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai,
jo har roz apke husn ka deedar karta hai.
Logo ne sharab mehkhane ja ja kar pee hai,
jo do pal mein utar jayegi,
humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
jo umar bhar naa utar payegi…!
Khoobsurat ho tum badi nazuk ho tum,
Shayad badi nazaqat se banaya hoga rab ne tumhe,
Khoobsurati ki inteha ho tum.
Pyara sa ehsas ho tum,
har pal mere pas ho tum,
Jine ki ek aas ho tum,
mann ka ek vishwas ho tum,
Shayad is liye,
Kuch khas ho tum…!
Thi woh koi ladki ya thi woh koi bala,
dil uski khoobsoorti mein toh hai bas dhala,
kuch lamho ke deedar ke aage na ye dil chala,
jaise hua koi jadoo ya dikhayi kisi ne kala.
Na khwabon me dekha,
na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha.