Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Tasveer Ko Teri Banate Hain Aankhon Mein,
Khushboo Ko Teri Basate Hain Sanson Mein,
Jab Se Mohabbat Huyi Hai Tumse Jaane Tamanna,
Har Khwab Ko Teri Yaadon Se Sajate Hain Raaton Mein.
Voh Ankhon ke Samne rehne lga hai aajkal
Kyun yaad aane lga hai pal pal
Kyun khoyi khoyi si ye Nazar hai
Pyaara Lagne lga yeh lamba safar
Waqt ka Na hosh hai Na darr kisi cheez ka
Rub-a-ru huyi, intezaar tha Jis tasveer ka…
Hum Bhi Chaahenge Tujhe Heer Ki Tarha,
Rab Se maangenge Tujhe Kisi Fakeer Ki Tarha,
Rang Naa Laayi Agar Hamari Ye Duayen,
To Phir Hum Reh Jaayenge Be-rang Kisi Tasveer Ki Tarha…
Haal Dil Ka Likhati Hu,
Kar Sako Toh Yakin Kar Lo,
Main Patr Tumhaare Lotati Hu,
De Sako Toh Apni Tasveer De Do,
Jab Shaadi Tumhari Hogi Toh,
Kyu Patr Likha Tumne Mujhko,
Main Kitna Badkismat Hun,
Kyu Yaad Dilaya Tumne Mujhko…
Mere saamne kar diye meri tasveer ke Tukde-Tukde..
Pata chala mere peechhe wo unhe jod kar bahut Roye
zindagi aur main do alag toh nahi
maine sab phool kaante isi ki liye
sahar mein ab koi mera dushman nahi
abko apna liya maine tere liye
jahan mein titliyan udd rahi hain bahut
koi dhaga nahin bandhne ke liye
ek tasveer gajlon mein aisi bani
agle pichhle jamano ke liye…
Dil Ke Kisi Kone Mein Ab Koi Jagah Nahi,
“E-Sanam”
Ke , Tasveer Humne Har Taraf Teri Laga Di…
Insaan Ki Tasveer Nayi Ho Ke Puraani,
Matloob Mujhe Husn Hai Aur Husn-E-Ma’ani,
Kabhi Kabhi Hamein Bhi Yaad Kar Liya Karo,
Hamari Tasveer Bhi Dekh Ke Choom Liya Karo,
Maana Ke Tumhe Kisi Cheez Ki Kami Nahin Hai,
Par Hamein Bhi Kabhi Apni Dua Mein Shamil Kiya Karo..
Kabhi Dil Ko Kabhi Shamma Ko Jala Kar Roye,
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Kar Roye,
Raat Ki God Mein Jab So Gayi Duniya Sari,
Chand Ko Teri Tasveer Banaker Roye..
Tum Saraapa Ho Surat-E-Tasveer,
Tum Se Phir Baat Kya Kare Koi,
Jis Main Laakhon Baras Ki Huren Hon,
Aisi Jannat Ko Kya Kare Koi.
Tera khwaab palkon pe apni saja kar,
Kabhi dekhen tujhko bhi apna bana kar,
Bana kar ke tasveer ashkon se teri,
Bharein rang usmein lahoo hum baha kar..
Ye Baat Alag Haath Kalam Ho Gaye Apne,
Ham Aap Ki Tasveer Banaanaa Nahin Bhoole.
Botal Main Sharab,
Sharab Main Uski Tasveer Nazar Aati Hai,
Nahi Peeta To Nasha Chala Jata Hai,
Peeta Ho To Uski Tasveer Chali Jati Hai..
Sangmarmar Ke Mahal Mein,
Teri Tasveer Sajauga,
Mere Is Dil Mein Ae Pyar,
Tere Hi Khwab Sajaunga,
Yun Ek Baar Aajma Ke Dekh,
Tere Dil Mein Bas Jaunga,
Main Toh Pyar Ka Pyala Hun,
Teri Hi Yaad Mein Mar Jaunga..
Mila Jawaab Ke Tasveer-Khaana Hai Duniya,
Shab-E-Daraaz Ad’m Ka Fassaana Hai Duniya.
Tasveero ko dekhoge hamara hi chehra najar aaega,
jo karoge aankhe band bitne lamho ki yaad dilaega.
Ghar Se Bahar Wo Neqab Mai Nikli,
Sari Gali Uski Talash Mai Nikli,
Inkaar Karti Thi Wo Hamari Mohabt Se,
Aur Hamari Hi Tasveer Unki Kitaab Se Nikli.
Bane Huye Hain Woh Mehfil Mein Soorat-E-Tasveer
Har Ek Ko Yun Gumaan Hai Ki Idhaar Ko Dekhte Hain