Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Teri Yaadon Ke Sahare Duniya Mein Rah Lete Hai,
Teri Juddai Ka Gam Chupchap Sah Lete Hai,
Samjhaya Dilko Yeh Raaz Chupana Hai,
Par Aansu Banke Wo Sab Kah Dete Hai…
Tujhe Dekhe Bina Teri Tasveer Bana Sakta Hoon,
Tujhse Mile Bina Tera Haal Bata Sakta Hoon,
Hai Meri Dosti Mein Itna Dum,
Apni Aankh Ka Aansu Teri Aankh Se Gira Sakta Hoon…
Agar Yeh Jeevan Jal Bhi Jaye,
Too Aansu Na Bahana Toh Eh Dost,
Zeevan Chaahe Tadap Bhi Jaaye,
To Phir Bhi Naa Tu Pyar Jataana….
Har Aag Bujh Jati Hai Barsat Mein,
Magar Dil Ki Aag Na Bujh Saki,
Aansu Ka Paani Girta Raha,
Phir Bhi Dekho Yahan Jalti Rahi…..
Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Bah Gaye,
Insaano Ki Bheed Mein Bhi Dekho Tanha Rah Gaye,
Karte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Baatein,
Aaj Wohi Sanam Mujhe Bewafa Kah Gaye….
Kash koi is trha bhi waqif ho meri Zindagi se,
Ki mai Barish mai bhi roun to mere ansu pad le.
Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar ,
Aankhon Mein Mere Aansuon Ne Kar Liya Basera……
Jab Se Dekhi Hain Wo BheeGi Howi Aankhein …
Hanstay ChehRon Pe Bhi Ronay Ka GumaaN Hota Hai……..!
Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain..!!
Kisi ne hume rulaya to kya bura kiya,
Dil ko dhukaya tho kya bura kiya,
Hum to pehlese hi tanha the….
Kisi ne ehasas dilaya to kya bura kiya.
le lo waapis wo aansu,
wo tadap aur wo yaadein saari,
nahi koi jurm mera,
tu phir ye sazaaien kaisi.
Usski jafaaao’n ne mujhe tahzeeb sikha di hai Mohsin,
Main rote hue so jaaata hoo’n par shikwa nahi karta……
woh kehte the roonay se nahi badalte naseeb
unn ki iss baat ne umar bhar roonay bhi na diya !!
Teri Ibtida Bhi ans0o..Teri Inteha Bhi Aahain…!!!
Tu Hi Bta Muhabbat ..Tujhe Kis Bina Pa chahein ?
Jab Tera Dard Mere Sath Wafa Karta Hai,
Ek Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hai,
Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz,
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hai ..!!!
Chand anso hain nadamat k meri ankhon me,
Aur to kuch bhi nahin muj se gunehgar k pass.
Iss duniya mein aansu ki kimat wo kya jane,
Jo har baat pe aansu bahate rehte hai,
Aansu ki kimat hamse pucho aye dosto,
Jo gam me bhi har waqt muskurate rahte hai.
Sirf chehre ki udasi par aaye ansuu,
Dil ka alam to abhi aap ne dekha hi nahin.
Qurbaton me bhi judai ke zamane mange,
Dil wo be mohar k rone ke bahane mange.