Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Waqt Ki Aanch Me Patthar Bhi Pighal Jaate Hai,
Khushi Ke Lamhe Gum Me Badal Jaate Hai,
Kaun Karta Hai Yaad Kissi Ko Yaara,
Waqt Ke Saath Khayalaat Bhi Badal Jaate Hai.
Waqt ki raftaar ruk gayi hoti,
Sharam se aankhein jhuk gayi hoti,
Agar dard janti shamma parwaane ka,
To jalne se pehle hi woh bujh gayi hoti.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi,
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Waqt Se Lad Kar Jo Apna Nasib Badal De,
Insan Wahi Jo Apni Taqdir Badal De,
Kal Kya Hoga Kabhi Na Socho,
Kya Pata Kal Waqt Khud Apni Tasveer Badal de.
Waqt Kehtaa Hai Phir Na Aaunga,
Teri Aankhon Ko Ab Na Rulaunga,
Jeena Hai To Is Pal Ko Jee Le,
Shayd Me Kal Tak Na Ji Paunga.
Tu Maan Ya Na Maan Ab Ye Waqt Waqt Ki Baat Hai,
Aj Ban Gaya Hoon Khud Sawal, Kabhi Har Sawal Ka Jawab Tha.
Kabhi Ek Lamha Aisa bhi Aata Hai,
Jisme beeta Hua kal Nazar ata Hai,
Bas Yaadein Reh Jati Hai Yaad krne K Liye,
Aur Waqt Sab Kuch Leke Guzar Jata Hai !!
Waqt Do Hi Mushkil Gujre Hain Duiya Mein,
Ek Tere Aane Se Pehle,Ek Tere Jane Ke Baad.
kabhi meethi yaad bankar hasaata hai,
toh kabhi guzra waqt humko rulata hai,
dunia ke har shai hai waqt ke kabze me,
har cheez ko waqt apna ghulam banata hai.
Hum Saath The Ek Raasta Nazar Aata Tha,
Akasar Koi Saathi Paas Aake Haath Badhata Tha,
Bewajah Hi Hansi Ka Fuwaara Sa Nikal Jaata Tha,
Waqt Kya Hota Kisi Ko Samajh Na Aata Tha.
Jo Mila Waqt To Bulaunga Use,
Us Ke Diye Zakhm Bhi Dikhaunga Use,
Us Ki Ye Tamanna Bhi Puri Karunga Ek Roz,
Jab Niklegi Aakhri Saans Bhool Jayunga Use…
Unka bharosa mat karo,
Jinka khayal waqt ke sath badal jaye,
Bharosa unka karo jinka khayal waise hi rahe,
Jab aapka waqt badal jaye…!!
Kaisa Waqt Hai Use Fursat Nahi Mujhe Yaad Karne Ki,
Kabhi Wo Shaks Meri Hei Sanso Se Jiya Karta Tha.
Apna Rang-e-Mohabbat Hai Sab Se Juda,
Koi Puche To Rashid Kahu Or Kya.
Jis ko Paya Nahi Usko Kho Kar Bhi Main,
Kyu Ussi Ka Raha Waqt Ki Baat Hai..
Jaanu Main Uski Har Ek Baat,
Aaj Bhi Yaad Aati Hai Wo Pehli Mulaqat,
Gujre Wo Lamhe Wo Din Aur Raat,
Yahi To Hai Waqt Ki Mujh Ko Saugaat.
WAQT BaDLa Aur BaDLi KaHaNi Hai,
Sang Mere HaSiN PaLo Ki YAADEiN PuRaNi Hai,
Na LaGaO Mere ZaKhMo Pe MARHAM,
Mere PaaS UnKi Bas YaHi NISHANI Hai.
Waqt Guzarta Raha Par Sans Thami Si Thi,
Muskura Rahe The Hum Par Ankhon Me Nami Si Thi,
Saath Hamare Jahan Tha Sara,
Par Najane Kyu Tumhari Kami Si Thi.
Waqt ko gujarte waqt nahi lgta,
Waqt milne per bhi waqt nahi milta,
Ek hum hai jo waqt nikalkar aapko yaad kerte hai,
Aapko to yaad karne ke liye bhi waqt nhi milta,
Phir Kab Milenge Yeh Unhone Pucha Nahi
Kyu Ho Rahe Hain Juda Yeh Humne Bataya Nahi
Kab Unke Aansuo Ne Humko Bewafa Kaha Pata Hi Nahi
Bus Woh Waqt Hi Kuch Aisa Tha Jisko Humne Pehchana Nahi…
Jo rounga to palkon pe nami reh jayegi,
Zindagi bas naam ki zindagi reh jayegi,
Ye nahi ki tum bin jee na paunga,
Haan magar zindagi mein har waqt ek teri kami reh jayegi.