Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Bindas muskurao kya gam hai,
Zindgi me tension kisko kam hai,
Yaad karne wale to bahut hai aapko,
Dil se ‘TANG’ karne wale to sirf HUM hai.
Jab dhoka mila pyaar me,
Zindagi me udasi si chhaa gayi,
Socha chhod dete hai is raah ko,
Tabhi kambhakht mohalley me dusri aa gayi…!!!
Umar ki raah mein JAZBAAT badal jate hai,
Waqt ki AAndhi me HALLAT badal jaate hai,
Sochta hoon kaam kar kar ke Record tod dun,
Lekin kambhakt salary dekhte he KHAYAAL badal jaate hai..
Ishq ki raah me wo kya kamaal karti hain,
wah… wah…..
Ishq ki raah me wo kya kamaal karti hain,
Likh ke “I Love You” send to all karti hain…..!!!
बेझिझक मुस्कुराये जो भी गम है,
जिंदगी में टेंशन किसको कम है,
अच्छा या बुरा तो केवल भ्रम है,
जिंदगी का नाम ही कभी ख़ुशी कभी गम है।
Pyar Bhara Hua Dil Hai Magar Kiseeko De Nahi Sakta,
Vishwas Bhara Hua Mann Hai Magar Kisi ko Dikha Nahi Sakta,
Dil Me Ummeedein Bahuth Hai Jinka Intzaar Nahi Kar Sakta,
Magar Kisi Kone Me Ek Vishwas Hai Jo Kahtha Hai Ki,
Yeh Samay Ka Khel Hai Jise Tu Rok Nahi Sakta.
Ab to hum tere liye ajnabi ho gaye,
Baato ke silsile bhi kam ho gaye,
Khushiyo se jyada hamare paas gam ho gaye,
Kya pata ye waqt bura hai ya bure hum ho gaye.
Najane kyu waqt is trha chala jata hai,
Jo waqt bura hai wo palat ke samne ata hai,
Aur jis waqt ko hum chate hai,
Wo waqt ek lamha bankar beet jata hai.
Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein,
Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein,
Banayein Nayzon Ko Lafz Aur Hum,
Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein…
Aaj Waqt Nahi Hai Unke Paas Hamare Liye
Pehle Waqt Hi Waqt Tha
Waqt-Waqt Ki Baat Hai..!!
Na Wo Din Rahe Na Wo Mehfilain,
Na wo Jaan Se Azeez Log,
Waqt Cheen K Le gya Mujh Se,
Mere Apne KAHAN KAHAN.
Wo Tha To Kahin Waqt Thehrta Hi Na Tha,
Ab Waqt Guzrne Mein Bohat Waqt Lagta Hai
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi,
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi,
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi,
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Waqt se jyada zindagi mein,
Koi bhi apna aur paraya nahi hota.
Agar waqt apna h to sabhi apne hote hai,
Aur agar waqt hi paraya ho to,
Apne bhi paraye ho jate hain.
Beshak Kuch Waqt Ka Intzaar Mila Humko,
Par Khuda Se Badkar Yaar Mila Humko,
Na Rahi Tamanna Kisi Jannat Ki,
Dosti Mein Itna Pyaar Mila Humko.
Tu Hi Bata Ae Zindagi Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi..
Ek tufaan aaya aur sab kuch uda kar chala gaya,
Gujra hua waqt bahut kuch sikha kar chala gaya,
Kabhi socha na tha dunia me aise log bhi hote hai,
Jinhe chup karaya wahi hume rula kar chala gaya.
Zindagi Humse Anjaan To Ho Gayi,
Ek Rishte Ki Pehchaan To Ho Gayi.
Koi Chahat Na Thi Bas Murrawatt Thi,
Woh Khud Ko Samjha Liya Waqt Ki Baat Hai.