Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Raat Ko Jaagta Hu Din Mein Sotaa Hun,
Kuchh Isi Tarah Se Maine Apna Jeevan Bana Liya Hai,
Kya Hua Agar Sooraj Ki Roshni Nahi Hai,
Hamaara Kaam Toh Chandni Mein Bhi Hota Hai,
Ab Toh Hamne Machhron Ko Dost,
Aur Makhiyon Ko Dushman Bana Liya Hai,
Isi Tarah Se Humne,
Apna Jeevan Ka Badlaav Apko Bataa Diya Hai.
Mohabbat ke anjam se darr rahe hain,
Nigahon main apni khoon bhar rahe hain,
Meri jaan ko le udaa hai koyi,
Aur hum yunhi bethe hue sher o shayari kar rahe hain.
Aashiqui Bhi Dosto Kya Classical Sangeet Thi
Raag To Ohi Jaane Kya Tha, Jaane Kya Gaate Rahe
Zindagi Bhar Ishq Ka Izhaar Karne Ke Liye
Voh Bhi Haqlaate Rahe Aur Hum Bhi Haqlaate Rahe.
Kya hua jo usne racha li mehandi,
Hamm bhi ab to sehra sajayenge.
Mujhe pata tha wo apne naseeb main nahi hai,
Ab uski chotti bahen ko fasayenge.
Machhar Ne Jo Kata Dil Mein Mere Janun Tha,
Khujali Itni Huyi Ke Dil Besukun Tha,
Pakda Toh Chhod Diya Yeh Sochkar,
Saale Ki Rago Mein Apna Hi Khoon Tha.
5′ 4” jiski height ho,
Jeans jiski tight ho, Chehara jiska bright ho,
Weight mein thodi light Ho, Umar me difference slight ho,
Thodi si woh quiet ho, aisi apni Wife ho.
Hamne Dhoop Samjhi,
Woh Chhaya Nikali,
Hamne Gaay Samjhi,
Woh Bhains Nikali,
Beda Gark Ho In Beauty Parlaro Ka,
Hamne Toh Unhe Ladki Samjha Tha,
Lekin Woh Ladki Ki Maa Nikali.
Agar manzil ko pana hai to himat saath rakhna,
Agar pyar ko pana hai to aitbar saath rakhna,
Agar hamesha muskurana ho to,
Brush aur paste saath rakhna.
Khat Likhati Ho Gori Ya Likhati Ho Keetab,
Likhna Aata Nahin Likhati Ho Behisaab,
Maaf Karna Parmeshvar Yeh Bhool Hamari Hai,
Puchhne Se Pata Chala Ke Woh Nirdhan Nari Hai.
Wo gulab hi kya hai jis me laali na ho,
Wo gulshan hi kya hai jis me maali na ho,
Wo SASURAL hi kya kai jis me SAALI na ho,
Arre yaaro wo program hi kya hai jis me Taali na ho.
Shaadi Karne Waale,
Kyon Kaath Mein Pair Fansaya,
Bazaar Mein Doodh Bahut Tha,
Kyu Bhains Khareed Laya,
Nadan Hai Woh Jo Mohabbat Kiya Karte Hain,
Hoshiyaar Hai Woh Jo Maje Liya Karte Hain,
Jis Dil Se Tumhe Chaha Woh Dil Hamara Tha,
Tumne Hamein Chaha Woh Dil Udhar Ka Tha.
Zindagi badi udas hai,
Mujhe lagi pyas hai,
Muje duniya se na koi aas hai,
Muje khelni aati taash hai,
Main uska sir fod dunga,
Jisne kaha meri kavita bakvas hai!
Arj Kiya Hai
Samma Parwane Se Kuchh Keh Rahi Hai,
Samma Parwane Se Kuchh Keh Rahi Hai,
Darling Jara Rumaal Dena Meri Naak Bahut Bah Rahi Hai.
School mein ishq ka naya mahaul tyyar ho gaya,
Class ki teacher ko pappu se pyar ho gaya,
Iss baat se sari class ka dil udas ho gaya,
Sari class fail, aur… Pappu pass ho gaya.
Khate Hain Kasam Hum,
Aapko Kabhi Khone Nahin Denge,
Aap Ho Jaao Hum Se Juda,
Hum Aisa Hone Nahin Denge,
Aaapko Bhijwa Rahe Hain,
Keemti Tohfa Machhron Ka,
Jo Raaat Bhar,
Aap Ko Sone Nahin Denge.
Dil ki baat dil mein mat rakhna,
Jo pasand ho usse I LOVE U kehna.
Agar wo ghusse mein aa jaaey to mat darna,
Raakhi nikal ke kehna pyari behna milti rehna.
Yeh Kaisa Tera Pyar Hai Jaalim Dil Na Raha,
Sarkari Daftar Ban Gaya Hai Na Koi Kam Karta Hai,
Aur Na Hi Kisi Ki Baat Sunta Hai.
Unki gali se mera janaza nikla,
Wo na nikle jinke liye janaza nikla,
Unka ghar aaya to mere dost siti bajane lage,
Rakh ke mera janaza kamine usko patane lage.
Miss Karte Hai Aapko Yaad Bhi Bahut Satai Hai,
Karne Ko To Phone Bhi Kar Lete Par,
Costumer Care Ki Ek Ladki Balance Kam Batati Hai.
Tere gham me tadap kar mar jayenge,
Mar gaye to tera naam le jayenge,
Rishwat de ke tujhe bhi upar bulayenge,
Tum upar aaoge to saath baith ke kurkure khayenge.