Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Hum Ne Mana Ki Taghaful Na Karoge Lekin;
Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak;
Partawe-e-Khur Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taleem;
Main Bhi Hun Ek Inayat Kee Nazar Hone Tak!
Yak Nazar Besh Nahi Fursat-e-Hasti Ghafil;
Garmi-e-Bazm Hai Ek Raqs-e-Sharar Hone Tak;
Gham-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaz;
Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hone Tak!
Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyon;
Royenge Hum Hazar Baar Koi Humein Sataye Kyon;
Daer Nahi, Haram Nahi, Dar Nahi, Aastaan Nahi;
Baithe Hain Rehguzar Pe Hum Gair Humein Uthaye Kyon!
Jab Woh Jamaal-e-Dilfaroz, Surat-e-Mehr-e-Nim Roz;
Aap Hi Ho Nazara Soz, Parde Mein Munh Chhupaye Kyon;
Dashna-e-Ghamza Jaan Sataan, Naawak-e-Naaz Be Panah;
Tera Hi Aks-e-Rukh Sahi, Samne Tere Aaye Kyon!
Qaid-e-Hayat-o-Band-e-Gham Asal Mein Dono Ek Hain;
Maut Se Pehle Aadmi Gham Se Nijaat Paye Kyon!
Tu Dost Kisi Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha;
Auron Pe Hai Woh Zulm Ki Mujh Par Na Hua Tha;
Chhoda Mah-e-Nakhshab Kee Tarah Dast-e-Qaza Ne;
Khurshid Hanuz Us Ke Barabar Na Hua Tha!
Koi Mere Dil Se Pooche Tere Teer-e-Nim Kash Ko;
Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota!
Yeh Kahan Ki Dosti Hai Ki Bane Hain Dost Naasih;
Koi Chaarasaaz Hota Koi Ghamgusar Hota;
Rang-e-Sang Se Tapkta Woh Lahu Ki Phir Na Thamta;
Jise Gham Samajh Rahe Ho Yeh Agar Sharaar Hota!
Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota;
Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya;
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota!
Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai;
Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai;
Hum Hain Mushtaaq Aur Wo Bezaar;
Ya Ilaahi Yeh Maajra Kya Hai!
Hum Ko Unse Hai Wafa Ki Umeed;
Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai;
Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga;
Aur Darvesh Kee Sada Kya Hai!
Jaan Tum Par Nisaar Karta Hun;
Main Nahi Jaanta Dua Kya Hai;
Maine Maana Ki Kuch Nahi Ghalib;
Muft Haath Aaye To Bura Kya Hai!
Zulmat Kade Mein Mere Shab-e-Gham Ka Josh Hai;
Ek Shamma Hai Daleel-e-Sahar So Khamosh Hai;
Na Muzhda-e-Visaal Na Nazara-e-Jamal;
Muddat Hui Ki Aashti-e-Chashm-o-Ghosh Hai!
Zikar Us Parivash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Geya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna;
Mai Woh Kyon Bahut Peete Bazm-e-Ghair Mein Ya Rab;
Aaj Hi Hua Manzoor Unko Imtihaan Apna!
Manzar Ik Bulandi Par Aur Hum Bana Sake;
Arsh Se Idhar Hota Kaash Ki Makaan Apna;
De Woh Jis Kadar Zillat Hum Hansi Mein Taalenge;
Baare Aashna Nikla Unka Paasban Apna!
De mujh ko shikaayat ki ijaazat ki sitamgar
kuchh tujh ko mazaa bhi mire aazaar mein aave
Husn Ghamze Ki Kashakash Se Chuta Mere Baad;
Bade Aaram Se Hain Ahl-e-Jafa Mere Baad;
Mansab-e-Sheftagi Ke Koi Qabil Na Raha;
Hui Mazooli-e-Andaz-o-Ada Mere Baad!
Thee khabar garm ki ‘Ghalib’ ke udenge purje
dekhne ham bhi gaye the par tamasha na hua
Tere vaade par jiye ham to ye jaan jhoot jaana
ki khushi se mar na jaate agar etibaar hota