Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Zikar Us Pariwash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Gaya Raqeeb Aakhir, Tha Jo Raazdaan Apna!
Bulbul Ke Kaarobaar Pe Hain Khandahaae Gul;
kahte hain ishq jisko khalal hai dimagh ka!
Zulaam Hai Gar Na Do Sakhun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karo Na Mujhko Payaar;
Aapka Banda Aur Phiroon Nanga;
Aap Ka Naukar Aur Khaaoon Udhaar;
Meri Tankhwah Kijeye Maah Ba Maah;
Ta Na Ho Mujhko Zindagi Dushwaar;
Khatam Karta Hoon Ab Dua Pe Kalaam;
Shaairy Se Nahin Mujhe Sarokaar;
Tum Salaamat Raho Hazaar Baras;
Har Baras Ke Hon Din Pachaas Hazaar!
Hairat Hai Tum Ko Dekh Kar Misjid Main Ae! Insaan;
Aaj Kya Baat Ho Gai Jo Khuda Yaad Aa Gaya!
Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga;
Ke Tujhko Yaad Rakhne Me Mai Kya-Kya Bhool Jata Hun!
Kavkav-e-Sakht Jani Hai Tanhai, Na Puchh;
Subh Karna Sham Ka, Lana Hai Ju-e-Shir Ka!
Qatra Mein Dajla Dikhaai Na De, Aur Juzw Mein Kul;
Khel Larkon Ka Hua, Deeda-e-Beena Na Hua!
Jise Naseeb Ho Roz-e-Seah Mera Sa;
Woh Shakhs Din Na Kahe Raat Ko, Tou Kyonkar Ho!
Baske Hun Ghalib Asiri Mein Bhi Atish Zer Pa;
Mue Atish Dida Hai Halqa Meri Zanjir Ka!
Ik Khel Hai Aurag-e-Sulemaan, Mere Nazdeek;
Ik Baat Hai Ajaaz-e-Maseeha Mere Aage!
Wo Aaye Ghar Mein Hamare Khuda Ki Kudrat Hai;
Kabhi Hum Unko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain!
Tum Na Aaoge Toh Marne Ki Hai Soa Tadbeere;
Maut Kuch Tum Toh Nahi Ho Ki Bula Bhi Na Saku!
Ishq Per Zor Nahin, Yeh Woh Aatish Ghalib;
Ke Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bujhay!
Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat ‘Ghalib’;
Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona!
Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona;
Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona!
Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki;
Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona!