Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Wafa ka naam na lo yaro,
Wafa dil ko dukahati hai,
Jab bhi Wafa ka naam lete hai,
Hume ek bewafa ki yaad Aati hai.
Mai Chahta Tha Wafa Unse,
Unhone Hume Bhula Diya,
Isi Tadapte Gum Ne Yaro,
Mujhe Shayar Bana Diya.
अब के ज़माने में वफ़ा की तलाश न कर मेरे दोस्त,
वो वक्त और था जब मकान कच्चे और लोग सच्चे हुआ करते थे।
Aaj Achanak Teri Yaad Ne Mujhe Rula Diya,
Kya Karu tumne Jo Mujhe Bhula Diya,
Na Karti Wafa Na Milti Ye Saza,
Shayad Meri Wafao Ne hi tujhe BeWafa Bana Diya.
Kabhi Kisi Ke Chehre Ko Mat Dekho,
Uske Dil Ko Dekho Kyuki,
Agar Safed Rang Mai Wafa Hoti,
To Namak Zakhmo Ki Dawa Hoti.
Kabhi aap subah ko yaad aate ho,
kabhi aap dophar ko yaad aate ho,
kabhi aap sham ko yaad aate ho,
kabhi-2 to itna yaad aate ho ki,
Aaina hum dekte hai najar aap aate ho.
Aaina Bhi Ab To Shikayat Karne Laga Hoga,
Itna Bhi Khud Ka Aks Dekha Mat Kijiye.
Tujhe khawabon se koi dur na kare,
Tujh se narazgi ki koi bhool na kare,
Har sheesha tere chehre ka gulam ho jaye,
Varna tut jaye wo aaina jo tujhe qabool na kare.
Tum Haqeeqat Nahi Ho Hasrat Ho,
Jo Mile Khawab Mein Wahi Doulat Ho,
Kis Liye Dekhti Ho Aaina,
Tum To Khud Se B Jyada Khubsurat Ho.
asar unka kuch is kadar hua he Rafat,
ke unke khayalo se ab hume fursat nahi,
dil ke saath aaina bhi ghulam bana he unka,
ke ek arse se dekhi khudki mene surat nahi.
Juda Juda Sa Milta Hai Mujhko Har Ek Shaks,
Chehare Par Hote Hai Sabke Yaadon Ke Kuchh Naksh,
Halat Kuchh Aisi Hai Ke Dil Kee Yaaro,
Jaise Jalte Aaine Mai Bhujha Hua Sa Aks.
AAina kuch nahi nazar ka DHOKA hai,
Nazar wahi aata hai jo dil me hota hai,
AAINE aur DIL ka ek hi FASANA hai,
ANJAM dono ka toot kar Bikhar jana hai.
आइना कोई ऐसा बना दे,
ऐ खुदा जो,
इंसान का चेहरा नहीं,
किरदार दिखा दे.
Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute,
Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute,
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka,
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute.
Aaina-e-dil tod kar dekh liya tune,
Teri soorat ke siwa aur bhala kya nikla.
Maine socha tha ke fariyaad karunga hakim se,
Woh bhi zalim tera chahne wala nikla.
Agar Apna Kaha Tum Aap Hi Samjhe Tau Kya Samjhe;
Maza Kahne Ka Jab Hai, Ik Kahe Aur Doosre Samjhein;
Kalaam-e-Mir Samjhe, Aur Zabaan-e-Meerza Samjhe;
Magar Inn Ka Kaha, Ya Aap Samjhein Ya Khuda Samjhe!
Mehrabaan Ho Ke Bulaalo Mujhe Chaaho Jis Waqt:
Main Geya Waqt Naheen Hoon Ki Phir Aa Bhee Na Sakoon!
Sozish-e-batin Ke Hain Ahbaab Munkir, Warna Yaan;
Dil Maheet-e-girya Aur Lab Aashnaa-e-khanda Hai!
Jab Yaar Ne Utthaa Kar Zulfon Ke Baal Baandhey;
Tab Mainey Apney Dil Mein Laakhon Khayaal Baandhey!
Dil Kis Qadar Shagufta Hua Thha Ki Raat Meer;
Aai Jo Baat Lab Pey So Fariyaad Ho Gayee