Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Chahe Wafa Me Thokre Khate Raho,
Fir Bhi Rasme Wade Nibhate Raho,
Yahi To Ishq Ka Dastoor Hai Yaaro,
Ki Jakhm Khate Raho Aur Bas Muskurate Raho.
Khafa Bhi Rehte Hain,
Or Wafa Bhi Krte Hain,
Is Tarha Apne Pyar Ko Bayan Bhi Krte Hain,
Jane Kaisi Narazgi Hai Meri Unse,
Khona Bhi Chahte Hain,
Aur Pane Ki Dua Bhi Karte Hain.
Woh Mera Ho Jo Nighaaon Main Hayya Rakhta Ho,
Umar Bhar Sath Chalnay Ka Azmay Wafa Rakhta Ho,
Naaz Uss Kay Na Utthon To Shikayat Na Kare,
Woh Zakham Kha Ker Bhi Muskranay Ki Adda Rakhta Ho.
Wafa ke naam se woh anjaan the,
Kisi ki bewafai se shayad preshaan the,
Humne wafa deni chaahi to pata chala,
Hum khud bewafa ke naam se badnaam the.
Wo Ro Ro Ke Ham Pe Eljam Lagate Chale Gaye,
Ham Khune Ask Ko Jigar Me Dabate Chale Gaye,
Ab Jab Jalta Hai Dil Asko Ke Aag Se To Kya Gum Hai,
Hum Bhi To Ek Bewafa Se Wafa Nibhate Chale Gaye.
Chaha Hai Is Ko Rooh Ki Gehraiyoon Ke Sath,
Zinda Hoon Apni Zaat Ki Tanhaiyon Ke Sath,
Roka Nahi Tha Us Ko Becharne Ke Waqat Bhi,
Apni Wafa Peh Naaz Tha Sachiyon Ke Sath.
Pyaar ki har rasam nibhayi thi maine,
Tumhe pane k liye har kashti dubayi thi maine,
Tumne kadar na jane meri wafaon ki,
Tumhari chahat me har khushi lutayi thi maine.
Vaade Bhi Usne Kya Khoob Nibhaye Hai,
Zakhm Muft Aur Dard Tohfe Me Bhijwaye Hai,
Is Se Badhkar Wafadari Ki Misaal Kya Hogi,
Maut Se Pehle Vo Kafan Le Aaye Hai.
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain,
Aur phir se laut jati hain,
Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain,
Ya phir laut ke samandar se Wafa nibhati hain..
Taras Gaye Thodi Si Wafaa Ke Liye,
Kisi Se Pyaar Naa Karenge Khuda Ke Liye,
Jab Bhi Lagti Hain Ishq Ki Aadalat,
Hum Hi Kyun Chune Jate Hain Sazaa Ke Liye.
Gazab Ka Khel Hai Mitti Se Bane Logo Ka,
Bewafai Kare To Rote He Aur Wafa Kare To Rulaate He.
Wo naa aaye unki yaadein aakar Wafa kar gayi,
Unse milne ki tamanna sukoon tabah kar gayi,
Aahat huyi aisi ki socha Dua asar kar gayi,
Khol darwaja dekha to majak humse hawa kar gayi.
Sanam mera bada dildaar hai,
Use humse bahut pyaar hai,
Kisi aur ki baahon me hokar bhi,
Dil me uske humara naam hai,
Isi ek wajah se iss jahan mein,
Bewafai ke aage wafa badnaam hai.
Har baar unki salamati ki dua karenge,
unki aarzu me apni hasti fanah karenge,
wo chahe daaman bachale humse lekin,
hum marte dam tak unse wafa karenge.
Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai,
Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai,
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe,
Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taaro Ka Pehra Hai.
Kuch Nahi Milta Jitni Marzi Wafa Karlo Kisi Se,
Jab Waqt Wafa Na Kare,
Toh Wafadar Bhi Bewafa Ho jate Hain…!!
Unki Wafa Kaisi H Pta To Chala,
Thokar Mili Par Zakham Ka Pta To Chala,
Sataya Hume Jisne Har Pal Begano Ki Tarah,
Kon H Apna Kon H Paraya Pta To Chala.
Parwah kar uski jo teri parwah kare,
Zindagi mein jo kabi na tanha kare,
Jaan ban ke utar jaa uski ruh mein,
Jo jaan se bhi jyada tujhse Wafa kare.
Har Saans Ke Saath Mujhe Socha Karoge Tum,
Apne Hi Aks Me Dhoonda Karoge Tum,
Jab Yaad Ayegi Tumko Wafa Meri,
Fir Har Shaks Ko Chahat Se Dekha Karoge Tum,
Aaj Meri Tanhaiyon Pe Hans Rahe Ho Na,
Mujhse Bichad Ke Isi Baat Pe Roya Karoge Tum.
Zindagi Me Hamne Waqt Se Bahot Wafa Kar Li,
Par Waqt Hamse Bewafaai Kar Chala Gaya.
Kuch Hamare Naseeb Bure The,
To Kuch Logo Ka Hamse Mann Bhar Gaya.