Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Tere Sheher-E-Wafa K Logon Ne,
Pehle Pyar Kiya Phir Chhor Dia,
Mujhe Sagar Samajh K Peetey Thay,
Jab Piyas Bujhi Tab Torr Diya…?
Dil se roye magar hothon se muskura baithe,
yunhi hum wafa nibha baithe,
woh hume ek lamha na de paye apne pyar ka,
Aur unke liye hum apni zindigi luta baithe.
Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya..
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chhod Diya !!
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De..
Usi Ka Kaam Tha, Us Ki Raza Pe Chhod Diya !!
Ab Us Ki Marzi Bhujha De, Ya Jala De..
Chirag Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chhod Diya !!
Aab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum..
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chhod Diya !!
Is Liye To Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko..
Ki Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhod Diya !!
Wo mohabbat bhi teri thi, wo nafarat bhi teri thi,
wo apnane aur thukrane ki Ada bhi teri thi,
Mai apni wafa ka insaaf kis se maangti…?
wo shehar bhi tera tha, wo Adaalat bhi teri thi .
Yahi Bohat Hai K Qayam Rahe Wafa Ka Bharam,
Koi Kisi Ka Howa Bi Hai Ummer Bhar K Liye.
Ishq Hai Tujhse Hum Bayan Kaise Kare.
Is Haqiqat Ko Lafzo Main Ada Kaise Kare.
Roshan Ho Jayega Sama Agar Tum Ajao.
Apni Wafa Ko Teri Rahon Me Fanaa Kaise Kare..
Tahreer Baich Kar To Kabhi Baat Baich Kar,
Patay Hain Rizaq Soorat-E-Halat Baich Kar,
Waqif Na Thay Tijarat-E-Mahr-O-Wafa Say Jo,
Lotay Hain Pai Pai Main Jazbat Baich Kar.
Taqdir badalte dekha hai,
Har kisiko badalte dekha hai,
Jisne bhi ki hai wafa yaha,
Har wafa ko rote huve dekha hai.
insaano Ke Kandho Par Insaan Jaa Rahe The,
Kafno Me Lipte Kuch Armaan Ja Rahe The,
Jinhe Mili Bewafai Mohabbat Me,
Wafa Ki Talaash Me Wo Kaber-E-Stan Ja Rhe The.
Hum Apni Wafa Ka Yakin Tumko Dila Na Sake,
Tumse Gaye Door Kya, Fir Paas Aa Na Sake,
Iss Kadar Toot Kar Chaha Tujhe,
Key Tere Baad Hum Kisi Aur Ko Chah Na Sake.
Shikwon Ko Utha Rakhna, Aankhon Ko Bichha Rakhna,
Ek Shama Dareeche Ke Chaukhat Pe Jala Rakhna,
Mayoos Na Phir Jaaye, Haan Paas-E-Wafa Rakhna,
Darwaza Khula Rakhna Darwaza Khula Rakhna.
Kabhi To Ayenge Wo Hamari Wafao Se Sharminda Hokar,
Fir Hum Na Milnge Unko Dubara Zinda Hokar,
Kya Mila Unko Hmari Duniya Chodkar,
Khud B Tanha Reh Gye Hume Tanha Chodkar.
Hum Na Rahen Bhi To Humari Yaadain Wafa Karengi Tum Se,
Ye Na Samajhna K Tumhain Chaha Bas 2 Din K Liye.
Ham wafa-e-husan ko rusva nahi karte,
Parda bhi uthe ruh se to dekha nahi karte,
Kar lete he dil apna tassavur se he roshan,
Maang kar chirago se ujala nahi karte.
Qurb Key Na Wafa Key Hote Hain,
Sary Jhagre Ana Key Hote Hain,
Wo Humara Hai Is Tarha Se Faiz,
Jaise Bande Khuda Key Hote Hain.
Mohabbat Ko Dolat Ki Nazar Se Na Dekh Ae GHALIB,
Ahl-E-Wafa Aksar Gareeb Huwa Kartay Hain…!
Khubsurti to bahot di khuda ne tumhe,
Magar hame tumhari wafa na mil saki,
Bahut aag di humne bujte chirag ko,
Magar mohabbat ki sama use jala na sakhi.
Vafaa Ke Khvaab Muhabbat Ka Aasara Le Jaa
Agar Chalaa Hai To Jo Kuchh Mujhe Diyaa Le Jaa
Maqaam-E-Suud-O-Ziyaan Aa Gayaa Hai Phir Jaanaan
Ye Zakhm Mere Sahii Tiir To Uthaa Le Jaa
Yahii Hai Qismat-E-Saharaa Yahii Karam Teraa
Ki Buund Buund Ataa Kar Ghataa Ghataa Le Jaa
Nadaamaten Hon To Sar Baar-E-Dosh Hotaa Hai
‘Faraz’ Jaan Ke Evaz Aabaruu Bachaa Le Jaa
Kya ummid kare hum tum se,
Jinko aapni wafa malum nahi,
Gam dena malum hai lekin,
Gam ki dawa jinko malum nahi.
Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kaafi Hai
Tamaam Umr Yehi Aasra Hi Kaafi Hai
Jahan Kahin Bhi Milo, Mil Ke Muskura Dena
Khushi Ke Wastey Yeh Silsila Hi Kafi Hai
Mujhe Bahaar Ke Mausam Se Nahi Kuch Lena
Tumhare Pyar Ki Rangeen Fiza Hi Kaafi Hai
Yeh Log Kaun Si Manzil Ki Baat Karte Hain?
Musaafiron Ke Liye Tu Raasta Hi Kaafi Hai