Wohi jo haasil-e-hasti hai Nasir ,
Usi ko meherbaaN dekhaa na jaaye.
Kaun is raah se guzarta hai
Dil yun hii intazaar kerta hai
Dekh ker bhi na dekhny walay
Dil tujhe dekh dekh Derta hai
Shehar-e-gul mein kati hai sari raat
Dekhiay din kahan guzerta hai
Dheyan ki seeriyon pe pichly pehar
Koi chupky sy paun dherta hai
Dil to mera udaas hai “Nasir”
Shehar kyun sayein sayein kerta hai,
Ae Dost Humne Tarq-e-Mohabbat Ke Bawjood,
Mehsoos Kee Hai Teri Zaroorat Kabhi-Kabhi!
Use Kehna, NigaaheiN Raah Dekhti HaiN,
MulaqateiN Qayamat Pe To Na Dalo.
naye kapre badal kar jaun kahan aur bal banaun kis k liye,
wo shakhs to shahar hi chor gaya ab khak uraun kis k liye,
jis dhup ki dil ko thandak thi wo dhup usi k sath gai,
in jalti bujhti galiyon main ab khak uraun kis k liye,
wo shahar main tha to us k liye auron se milna parta tha,
ab aise-waise logon k main naz uthaun kis k liye,
ab shahar main is ka badal hi nahi koi waisa jan-e-gazal hi nahi,
aiwan-e-gazal main lafzon k guldan sajaun kis k liye,
muddat se koi aya na gaya sunsan pari hai ghar ki faza,
in khali kamron main ?Nasir? ab shamma jalaun kis k liye.
Teri nigaah ke jadu bikharte jate hain,
Jo zakhm dil ko miley woh bharte jate hain,
Tere bagher woh din bhi guzar gaye akhir,
Tere bagher yeh din bhi guzarte jate hain,
Liye chalo mujhe darya-e-shauk ki maujo,
Ke hamsafar tou mere paar utarte jate hain,
Tamaam umar jahan hanste khelte guzaari,
Ab us gali mein bhi hum darte darte jate hain,
Mein khawhishon ke gharonde banaye jata hoon,
Woh mehntain meri barbaad kiye jate hain.
Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga,
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga,
Aks Beh Jaayein Ge Saaray Dhoop Ke Sailaab Mein,
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga,
Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai,
Raasta Kat Bhee Gaya Tou Faasla Reh Jaaye Ga,
Loog So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Orh Kar,
Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga,
Jo Kubhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar,
Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga.
Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad,
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad,
Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad,
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad,
Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko,
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad,
Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon,
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad,
Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin,
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad.
Sheher sunsaan hai kidhar jaayen,
Khaak ho kar kahin bikhar jayen,
Raat kitni guzar gayi lekin,
Itni himat nahin ke ghar jayen,
Yoon tere dheyaan se laraztaa hoon,
Jaise patey hawaa se didar jayen,
Un ujaalon ki dhun main phirta hoon,
Chhab dikhate hi jo guzar jayen,
Rein andheri hai aur kinaara door,
Chaand nikle to paar utar jayen.
Kya zamana tha ke hum har roz mila karte the,
Raat bhar chaand ke humraah phira karte the,
Jahan tanhaayiyan sar phorr ke so jati hain,
Un makaanon main ajab log raha karte the,
Kar diya aaj zamaane ne unhe bhi majboor,
Kabhi yeh log mere dukh ki dawaa karte the,
Dekh kar jo humen chup chaap guzar jaata hai,
Kabhi uss shakss ko hum pyaar kiya karte the,
Itefaqaat-e-zamana bhi ajab hain “nasir”,
Aaj woh dekh rahe hain jo suna karte the.
Tere aane ka dhoka sa raha hai,
Diya sa raat bhar jaltaa raha hai,
Ajab hai raat se ankhon ka aalam,
Yeh dariyaa raat bhar charrhta raha hai,
Suna hai raat bhar barsaa hai baadal,
Magar woh sheher jo pyaasa raha hai,
Woh koi dost tha ache dinon ka,
Jo pichli raat se yaad aa raha hai,
Kise dhoondo ge in galiyon main “nasir”,
Chalo ab ghar chalen din ja raha hai.