Yaad rakh Hum bhi isi Roo-e-zameen par ek din,
Tera ye Zulam kisi ko bhi Na Sehne denge,
Sirf Thodi si Madad Ghaib se mil jaane de,
Hum Tujhe Duniya ke Naqshe pe na rehne denge.
Ek Neewale Ke Liye Maine Jise Maar Diya,
Woh Parinda Bhi Kai Roz Ka Bhukha Nikla.
ये जो कलम दवात लिये कंधों पे फिरा करते हैं,
मर भी जाएं तो भी शायर नही होने वाले..
सारे हवा में घोल दी है नफरतें और हवास अहल ए सियासत ने
मगर न जाने क्यों पानी कुँए का आज तक मीठा निकलता है.
हाय वो दौरे ज़िन्दगी, जिसका लक़ब शबाब था,
कैसी लतीफ़ नींद थी, कैसा हसीं ख़्वाब था…..
यह तो ठीक है तेरी जफ़ा भी है एक अता मेरे वास्ते,
मेरी दुआओं की कसम तुझे, कभी मुस्कुरा के भी देख ले.
एक हालत पर न रहने पायी दिल की हसरते,
तुमने जब देखा नए अंदाज से देखा मुझे.
ख़ुद अपने आपको शादाब करना चाहता है,
ये कलम का फ़क़ीर आपको आदाब करना चाहता है !
ग़ज़ल और शायरी की सल्तनत पर आज भी क़ब्ज़ा हमारा है
इसलिए तो हम अपने नाम के आगे अभी राना लगाते हैं.
मेरी नेकियाँ गिनने की नौबत ही नहीं आएंगी,
मैंने जो माँ पे लिखा है वही काफ़ी होगा…
Kuchh roz se hum sirf yahi soch rahe hain,
ab hum ko kisi baat ka ghum kyon nahin hota.
Patthar hun toh kyon todne waale nahin aate,
sar hun toh tere saamne kham kyon nahin hota.
Jab maine hi shahzaadi ki tasweer banaai,
darbaar mein ye haath kalam kyon nahin hota.
Paani hai toh kyon zaanib-e dariya nahin jaata,
aansoo hai toh tezaab mein zam kyon nahin hota. !!
Halaanky humein laut ke jana bhi nahin hai,
kashti magar iss baar jalaana bhi nahin hai.
Talwaar na chhoone ki kasam khayi hai lekin,
dushman ko kaleje se lagana bhi nahin hai.
Ye dekh ke maqtal mein hansi aati hai mujh ko,
saccha mere dushman ka nishaana nahin hai.
Main hun.. mera baccha hai.. khilono ki dukaan hai,
ab mere paas koi bahaanaa bhi nahin hai.
Pehle ki tarah aaj bhi hain teen hi shaayar,
ye raaz magar sab ko bataana bhi nahin hai. !!
Fazan mein ghol di hai nafratein ahal-e-siyasat ne,
magar pani kuyen se ab tak mitha nikalta hai.
Woh ja raha hai ghar se janaaza buzurg ka,
aangan mein ek darakht puraana nahin raha.
Gum se fursat hi kahan hai ki tujhe yaad karun,
Itni laashen hain ton kandha nahin badla jata,
Umar ek talkh haqeeqat hai dosto phir bhi,
Jitne tum badle ho Utna nahin badla jata.
मियाँ मैं शेर हूँ ,शेरों की गुर्राहट नहीं जाती,
मैं लहजा नर्म भी कर लूँ तो झुंझलाहट नहीं जाती,
मैं एक दिन बेख्याली में कहीं सच बोल बैठा था,
मैं कोशिश कर चुका हूँ ,मुंह की कड़वाहट नहीं जाती!
Mohabbat mein tumhe aansoo bahaana nahin aaya,
banaaras mein rahe aur paan khana nahin aaya.
Na jaane log kaise mom kar dete hain patthar ko,
humein toh aap ko bhi gudgudana nahin aaya.
Shikaari kuchh bhi ho itna sitam achchha nahin hota,
abhi toh chonch mein chidiya ke daana tak nahin aaya.
Ye kaise raaste se le ke tum mujh ko chale aaye,
kahan ka maikada, ek chaaikhana tak nahin aaya. !!
Bas itni si baat par usane hamein balavaai likkha hai,
hamare ghar ke baratan pe aaiesaai likkha hai.
Hawa ke rukh pe rehne do ye chalna seekh jaayega,
ki bachcha ladkhadayega toh chalna seekh jaayega.
Woh pehron baith kar Tote se baatein karta rehta hai,
chalo achchha hai ab nazarein badalna seekh jaayega.
Issi ummeed par hum ne badan ko kar liya chhalni,
ki patthar khaate khaate ped phalna seekh jaayega.
Ye dil bachche ki soorat hai isey seene mein rehne do,
bura hoga jo ye ghar se nikalna seekh jaayega.
Tum apna dil mere seene mein kuchh din ke liye rakh do,
yahan reh kar ye patthar bhi pighalna seekh jaayega. !!
Aap se mil ke ye ehsaas hai baaki,
ki abhi iss siyaasat mein bhi insaan kharaa milta hai,
Ye siyaasat hai toh phir mujh ko izaazat di jaaye,
jo bhi milta hai yahan khwaaza-saraa milta hai!