Mehfil ar’aa the magar phir kam’numaa ho geya the,
Dekhte hi dekhte hum kya se kya ho gaye the..
Janta hoon Ek aise shakhs ko mein bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi roya nahin..
Bechain bohat phirna ghabraye huye rehna,
Ik aag si jazbon ki dehkaaye huye rehna,
Chalkaaye huye Khushbuu lab-e-laleen ki,
Ik baagh sa sath apne mehkaaye huye rehna,
Ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se,
Ik chaand sa aankhon main chamkaaye huye rehna,
Aadat hi bana li hai tum ne to Munir apni,
Jiss sheher main bhi rehna uktaaye huye rehna.
Apne ghar ko wapis jaa ro ro kar samjhaata hai,
Jahaan bhi jaaun mera saaya peeche aata hai,
Us ko bhi to jaa kar dekho us ka haal bhi mujh sa hai,
Chhup chhup reh kar dukh sehne se to insaan mar jaata hai,
Mujh se mohabbat bhi hai uss ko lekin yeh dastuur hai uss ka,
Ghair se milta hai hanss hanss kar mujh se hi sharmaata hai,
Kitne yaar hain phir bhi Munir is aabaadi main akela,
Apne hi gham ke nashe se apnaa ji behelaata hai.
Awaaz de ke dekh lo shaayad woh mil hi jaaye,
Warna yeh umr bhar ka safar raayegaan to hai.
Laazim nahin ke us ko bhi mera khayal ho,
Mera jo haal hai wohi uss ka bhi haal ho,
Koi khabar khushi ki kahin se mile munir,
Iss roz-o-shab main aesa bhi ik din kamaal ho.
Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya,
Umar meri thi magar us ko bassar us ne kiya,
Main bohat kamzor tha us mulk main hijrat ke baad,
Pr mujhe us mulk main kamzor-tar us ne kiya,
Sheher main woh moatbar meri gawaahi se hua,
Phir mujhe uss sheher main na-moatbar us ne kiya,
Sheher ko barbaad kar ke rakh diya us ne munir,
Sheher pr yeh zulm mere naam pr us ne kiya..
Apna to yeh kaam hai bhai dil ka khoon bahate rehna,
Jaag jaag kr in raaton mei sher ki aag jalaate rehna,
APne gharon se door banon mei phirte huye avaara logo,
Kabhi kabhi jab waqt mile to apne ghar bhi jaate rehna,
Raat ko dasht mai phool khile hain bhuuli-bisri yaadon ke,
Gham ki tez sharaab se un ke teekhe naqsh mitaate rehna,
Khushbuu ki deewar ke peechey kaise kaise rang jamme hain,
Jab tak din kaa suuraj aaye us ka khoj lagaate rehna,
Tum bhi Munir ab un galiyon se apne aap ko duur hi rakhna,
Achaa hai jhoote logon se apna aap bachaate rehna..
Dil ajab mushkil mei hai ab asal raaste ki taraf,
Yaad peeche kheenchti hai aas aagey ki taraf,
Chorr kar nikle they jis ko dasht-e-ghurbat ki taraf,
Dekhna shaam-o-sehar ab ghar ke saaye ki taraf,
Hai abhi aghaaz din kaa is dayaar-e-qaid main,
Hai abhi se dheyaan sara shab ke pehre ki taraf,
Subh ki raushan kiran ghar ke dareechey pr parri,
Ek rukh chamkaa hava main us ke sheeshe ki taraf,
Dooriyon se pur-kashish hain manzilein dono Munir,
Main ravaan hoon khawb main na-paiyd qarye ki taraf..
Dil ka saffar bas ek hi manzil pe bas nahin,
Itnaa khayaal uss ka humen iss barass nahin,
Dekho gul-e-bahaar-e-assar dasht-e-shaam main,
Deewaar-o-dar koi bhi kahin pesh-o-pass nahin,
Aaya nahin yaqeen bohat dair tak humen,
Apne hi ghar ka dar hai ya baab-e-qaffas nahin,
Aisa safar hai jis ki koi intihaa nahin,
Aisaa makaan hai jis main koi hum-naffass nahin,
Aaye gi phir bahaar issi sheher main Munir,
Taqdeer iss nagar ki faqat khaar-o-khas nahin.
Ik taizz teer tha ke lagaa aur nikal geya,
Maari jo cheekh rail ne jungle dehall geya,
Soyaa hua tha sheher kisi saamp ki tarah,
Main dekhta hi reh geya aur chaand ddhal geya,
Khawhish ki garmiyaan theen ajab un ke jism main,
Khuubaan ki sohbaton main mera khuun jjal geya,
Thi shaam zehr-e-rang main duubi hui kharri,
Phir ik zara si dair main manzar badal geya,
Muddat ke baad aaj ussey dekh kar Munir,
Ik baar dil to dharrka magar phir sambhal geya..
Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin,
Tuu ne mujhe ko khho diya maine tujhe khoya nahin,
Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon main tha,
Yuun laga jaise woh shab ko dair tak soyaa nahin,
Har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon ke hujoom,
Keh sake jo dil ki haalat woh lab-e-goyaa nahin,
Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza,
Kaat.taa hoon zindagi bhar main ne jo boyaa nahin,
Jaanta hoon ek aise shakss ko main bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi royaa nahin..
Ranj-e-firaaq-e-yaar main ruswaa nahin hua,
Itna main chup hua ke tamasha nahin hua,
Aesa safar hai jis main koi hamsafar nahin,
Rasta hai is tarah ka ke dekha nahin hua,
Mushkil hua hai rehna humen iss dayaar main,
Barson yahan rahe hain yeh apnaa nahin hua,
Woh kaam shah-e-sheher se ya shehr se hua,
Jo kaam bhi hua yahan acha nahin hua,
Milna tha aik bar usay phir kahin munir,
Aesa main chahta tha pr aesa nahin hua..
Ik aaalam-e-hijraan hi ab hum ko pasand aaya,
Yeh khaana-e-viraaan hi ab hum ko pasand aaya,
Benaaam-o-nishaan rehna ghurbat ke ilaaqe main,
Yeh sheher bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya,
Tha laal hua manzar suuraj ke nikalne se,
Woh waqt tha woh chehra jab hum ko pasand aaya,
Hai qataa-e-talluq se dil khush to bohat apna,
Ik hadh hi banaa lena kab hum ko pasand aaya,
Aana woh Munir uss ka be-khauf-o-khatar hum tak,
Yeh turfaa tamaasha bhi shab hum ko pasand aaya..