Mujhe De Rahen Hain Tasalliyaan
Mujhe de rahen hain tasalliyaan woh har ek taaza payaam se,
kabhi aa ke manzar-e-aam par, kabhi hat ke manzar-e-aam se.
Na gharaz kisi se na wasta, mujhe kaam apne hi kaam se
tere zikr se, teri fikr se, teri yaad se, tere naam se.
Mere saaqiya, mere saaqiya, tujhe marhaba, tujhe marhaba
tu pilaaye ja, tu pilaaye ja, issi chashm-e-jaam-ba-jaam se.
Teri subah-o-aish hai kya bala, tujhe aye falak jo ho hausla
kabhi kar le aa ke muqaabla ghum-e-hijr-e-yaar ki shaam se. !!