Hum kisi ko apne amaal ka hisaab kya dete ?
Sawaal saaray ghalat the jawaab kya dete ?
Kharab sadiyon ki be-khwabiyan theen aankhon main,
Ab in be-aant khalaaon main khwaab kya dete ?
Hawa ki tarha musafir thy dilbaron ke dil,
Unhain bus aik hi ghar ka azaab kya dete ?
Sharaab dil ki talab thi sharaab ke pehra main,
Hum itni tangi main us ko sharaab kya dete ?
Munir dasht shuroo se saraab-aasa tha,
Usss aainay ko tamanna ki aab kya dete ?
Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi,
Us Ki Aankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi,
Kitne Maghroor Pahaaron Ke Badan Chaak Huey,
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hui Teeron Jaisi,
Jis Ki Yaadon Se Khayaalon Ke Khazaanay Dekhay,
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi,
Chahatain Lub Pe Machalti Hui Larki Ki Tarah,
Hasratain Aankh Mein Zindaan Ke Aseeron Jaisi,
Hum Anaa Mast, Tahi Dast Bohat Hain MOHSIN,
Ye Alag Baat Ke Aadat Hai Ameeron Jaisi.
Nazar Ka Husan Bhi Husan-e-Butaan Se Kam To Na Tha,
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,
Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna,
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,
Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar,
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,
Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna,
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha,
Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein “Mohsin”,
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha.
Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa,
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa,
Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq,
Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa,
Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia,
Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa,
Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi,
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa,
Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak “Mohsin”,
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa.
Zamane Bhar Ki Nigahon Me Jo Khuda Saa Lagey,
Wo Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagey,
Na Janey Kab Meri Dunya Mai Muskuraaye Ga,
Wo Aik Shakhs,,, Jo Khawabon Mai Bhi Khafaa Sa Lagey,
Ajab Cheez Hai Yaaron Ye Manzilon Ki Hawas,
Ke Raahzan Bhi Musafir Ko Raahnuma Sa Lagey,
Dil-e-Tabah! Tera Mashwara Hai Kya Ke Mujhe,
Wo Phool Rung Sitaara Bhi Bewafa Sa Lagey,
Hoi Hai Jis Se Munnawar,, Her Ek Aankh Ki Jheel,
Wo Chaand Aaj Bhi ,,Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey
Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,
Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,
Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,
Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,
Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak.
Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?
Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay
Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Per Kaisay
Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay
Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay
Junoon Main Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha,
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha,
Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se,
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha,
Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre,
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha,
Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay,
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha,
Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin,
Sakoon Se, So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha…!!
Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha,
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha,
Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye,
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha,
Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha,
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha,
Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay,
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha,
Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!
Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki,
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki,
Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi,
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki,
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha,
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki,
Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna,
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki,
Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”,
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki.