Tujse hi har subha ho meri,
Tujse hi har sham,
Kuch aisa rishta ban gaya tujhse,
Ki Har saaso mein sirf tera hi naam…
Is saadgi pe kaun na mar jaaye ai khuda
ladte hain aur haath mein talwaar bhi nahi
Aankho ki Awaaz Kuch Or Hoti Hai
Aansuo ki Aag kuch Or Hoti Hai
Kon chahtaa Hai bichadna Apne Pyar Se
Magar Kismat Ki Baat Kuch Aur Hoti Hai
Is nazaaqat ka bura ho vo bhale hain to kya
haath aave to unhe haath lagaaye na bane
Ummeed to hamne ye ki thi,
Mai Raanjha tera, tu meri heee bane,
Par shayad khuda ko ye majoor na tha,
ki tu meri takdir bane……
Ishq par zor nahi hai ye vo aatash ‘Ghalib’
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
Bas….! Ek yahi Baat Uski Mujhe Achhi
Lagti Hai….
UDAAS Kerke Kehta Hai…’Naraz Toh Nahi
Ho Na….
Kitna Ajeeb Hai Uska Andaaz Mohabbat
Ka….
Roz Rula Ker Kehta Hai….’Apna Khayal
Rakhna’…
Ek to teri aawaz yaad aayegi,
Teri kahi huwi har baat yaad aayegi,
Din dhal jayega raat yaad aayegi,
Har lamha pahli mulakat yaad aayegi.
Aashiq hoon pe maashooq-farebi hai mera kaam
majnuun ko bura kahti hai laila mere aage
Roz Ye Dil Beqarar Hota Hai
Kaash K Tum Samajh Sakte K
Chup Rehnay Walo Ko B Kisi Se
Piyar Hota Hai…..
Aata hai daagh-e-hasrat-e-dil ka shumaar yaad
mujh se mere gunah ka hisaab ai khuda na maang
Mana ke dil hai ek magar pyaar bohot hai
jab pyaar horaha hai to inkaar bohot hai
her lamha saat rehne ko mein soch raha tha
wo keh rahi hai pyaar me itwar bohot hai…
Kitna Dur Nikal Gaye Rishte Nibhate Nibate,
Khud Ko Kho Diya Humne Apno Ko Pate Pate,
Log Kahte Hai Dard Hai Mere Dil Me,
Aur Hum Thak Gye Muskurate Muskurate….
Aaye hai be-kasi-e-ishq pe rona ‘Ghalib’
kis ke ghar jaayega sailaab-e-balaa mere baad
इस दिल को किसी की आहट की आस रहती
है, निगाह को किसी सूरत की प्यास रहती है,
तेरे बिना जिन्दगी में कोई कमी तो नही, फिर
भी तेरे बिना जिन्दगी उदास रहती है॥
वादे पे वो ऐतबार नहीं करते,
हम जिक्र मौहब्बत सरे बाजार नहीं करते,
डरता है दिल उनकी रुसवाई से,
और वो सोचते हैं हम उनसे प्यार नहीं करते|
Apni gali men mujhko na kar dafan baad-e-qatl
mere pate se khalq ko kyuun tera ghar mile