Ki mere qatl ke baad us ne jafaa se tauba
haaye us zood-pasheemaan ka pasheemaan hona
“na tha kuch to Khuda tha, kuchch na hota to Khuda hota,
duboya mujhko honi ne, na hota main to kya hota?”
Kitne sheereen hain tere lab ki raqeeb
gaaliyaan kha ke be-mazaa na hua
Kaha jo usne ki hum tumhe barbad kardenge,
hamne muskura ke puchha…
Mohabbat karne ka iraada hai kya hamse.
Qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhuun
mai jaanta huun jo vo likhenge jawaab mein
Pyar Ghazal Hai GunGunane Ke Liye,
Pyar Nagma Hai Sunane Ke Liye,
Ye Vo Zajba Hai Jo Sabko Nahi Milta,
Kyoki Haunsla Chahiye Pyar Ko Nibhane Ke
Liye…
Kahaan mei-khaane ka darvaaja ‘Ghalib’ aur kahaan vaaiz,
par itna jaante hain kal vo jaata tha ki ham nikle.
मोहबत को जो निभाते हैं उनको मेरा सलाम
है,
और जो बीच रास्ते में छोड़ जाते हैं उनको,
हुमारा ये पेघाम हैं,
“वादा-ए-वफ़ा करो तो फिर खुद को फ़ना
करो,
वरना खुदा के लिए किसी की ज़िंदगी ना
तबाह करो”
Karz ki peete the may lekin samajhte the ki haan
rang laavegi hamaari faaka-masti ek din
Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Rukk Si Jaati Hai,
Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke
Rehta Hai.
Qat’a keejiye na taalluk ham se
kuchh nahi hai to adaavat hi sahi
Wo zindagi hi kya jisme mohabt nhi,
wo mohabaat hi kya jisme yadein nhi,
wo yadein kya jisme tm nhi,
aur wo tum hi kya jiske sath hum nhi.
Etibar-e-ishq ki khana-kharaabi dekhna
gair ne kee aah lekin vo khafaa mujh par huye
Tujhe Chahta raha mai is kadar,
ki duniya ko bhula baitha,
teri ek hasi ke badle,
apni zindagi bhula baitha…
Un ke dekhe se jo aa jaati hai munh pe raunak
vo samajhte hain ki beemar ka haal achchha hai
Humdum To Sath Sath Chalte Hain,
Raaste To Bewafa Badalte Hain,
Tera Chehra Hai Jab Se Aankhon Mein,
Meri Aankhon Se Log Jalte Hain…
Udhar vo bad-gumani hai idhar ye naa-tavaani hai
na poochha jaaye hai us se na bola jaaye hai mujh se